MUJHE HAR MAUJ KE AAGOSH MEIN SAHIL NAZAR AAYA ! REHAN MUBARAK "TANHAA"

by haan on February 21, 2013, 06:19:44 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1977 times)
haan
Guest
SHAHJAHANPUR , U.P , MEIN HONE WALE MUSHAYRE KA DIYA GAYA MISRA HAI...
MUJHE HAR MAUJ KE AAGOSH MEIN SAHIL NAZAR AAYA !
ISS KA ARKAAN HAI..........
MA-FAA-II-LUN

.ISS MISRE PER MAINE GHAZAL KAHNE KI EK
KOSHISH KI HAI ,MAI'N SABHI BAHER KE JAANKAR SHAYRO'N SE GUZARISH KARTA HU'N KI WO ISS GHAZAL PE NAZAR E SAANI KARE'N AUR ISLAH KAR KE RAHNUMAI KARE'N MAI'N UN SAB KA SHUKR GUZAAR RAHUNGA .

MUHABBAT MEIN BATAU'N KAYA ,KE KAYA HASIL NAZAR AAYA !
TADAP, AANSU, UDAASI  AUR  ZAKHM E DIL NAZAR AAYA !

NAZAR  QATIL, ADAA QATIL, ZABA'N JAADU  BHARI  USKI !!
MUHABBAT KE HAR EK PAHLU SE WO QATIL NAZAR AAYA !!

NA JAANE KITNE RANGO MEI'N  RANGI LAGTI HAI YE DUNIYA !
DUSHALA   PEYAAR   KA  ODHEY  HUE   BATIL   NAZAR   AAYA !!

KALAM  E  PAAK  KI  AAYAAT  LABO'N  PER JAB  MERE  AAYI'N !
MUJHE HAR MAUJ KE AAGHOSH MEI'N SAHIL NAZAR AAYA !!

MAI'N TASHNA LAB CHALAA AAYA HU'N "TANHAA"  MAUJ E DARIYA SE !
MUJHE  JAB  PEYAAS  KA  MAARA  HUA  SAHIL  NAZAR  AAYA !!

REHAN MUBARAK "TANHAA"
Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: February 21, 2013, 07:06:13 PM »
janaab mai to koi Behr ka jankaar nhi hoon
lekin
aapki ye ghazal mujhe behad pasand aayee
bht khoob ghazal likhi h aapne
Logged
Farhan Sohail
Guest
«Reply #2 on: February 21, 2013, 08:20:52 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

wah wah wah wah buht hi khoob,,, buht hi umda andaz e bayan

Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #3 on: February 21, 2013, 11:46:04 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bhut khub
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #4 on: February 22, 2013, 12:32:48 AM »
bahut khoob
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: February 22, 2013, 04:11:49 AM »
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: February 22, 2013, 04:32:11 AM »
Rehan saheb , aap ki koshish kaamyaab hi nahin qabil e sataish hai . Bahut khubsurat ,pukhta ashaar pe mabni is ghazal ke liye jitni mubarakbaad aapko di jaaye kam hai. Haan , mere khayaal mein ,teesre sher ke pahle misre se  lafz HUE hata dijye to Bahr ka taqaza pura ho jaayega.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: February 22, 2013, 08:54:52 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut bahut khoob likha hai aapne. har sher kabil e tareef raha. aapko hamari dili mubarakbad qubool ho.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: February 23, 2013, 09:58:00 PM »
Rehaan Sahaab Aadaab!


bahut khoob janab badi hi khobsurat aur umdaa kalaam kahi hai aapne...
gazab ke ashaar rahe .. behad gehrai hai aapke ashaaroN meiN pur asar
shayari ka mutalbaa kiya hai aapne... Usual Smile

Is khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

haaN dusre ashar meiN mohobbat ke "har" lafz par bher tuti hai.. usmeiN
tarmeem kar lijiye..


Likhate rahiye... aate rahiye shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
laaiba
Guest
«Reply #9 on: February 24, 2013, 12:34:46 AM »
waah bohat oomda ghazal ,..............bohat c daad
Logged
haan
Guest
«Reply #10 on: February 24, 2013, 04:06:13 AM »
SHAHJAHANPUR , U.P , MEIN HONE WALE MUSHAYRE KA DIYA GAYA MISRA HAI...
MUJHE HAR MAUJ KE AAGOSH MEIN SAHIL NAZAR AAYA !
ISS KA ARKAAN HAI..........
MA-FAA-II-LUN

.ISS MISRE PER MAINE GHAZAL KAHNE KI EK
KOSHISH KI HAI ,MAI'N SABHI BAHER KE JAANKAR SHAYRO'N SE GUZARISH KARTA HU'N KI WO ISS GHAZAL PE NAZAR E SAANI KARE'N AUR ISLAH KAR KE RAHNUMAI KARE'N MAI'N UN SAB KA SHUKR GUZAAR RAHUNGA .

MUHABBAT MEIN BATAU'N KAYA ,KE KAYA HASIL NAZAR AAYA !
TADAP, AANSU, UDAASI  AUR  ZAKHM E DIL NAZAR AAYA !

NAZAR  QATIL, ADAA QATIL, ZABA'N JAADU  BHARI  USKI !!
MUHABBAT KE HAR EK PAHLU SE WO QATIL NAZAR AAYA !!

NA JAANE KITNE RANGO MEI'N  RANGI LAGTI HAI YE DUNIYA !
DUSHALA   PEYAAR   KA  ODHEY  HUE   BATIL   NAZAR   AAYA !!

KALAM  E  PAAK  KI  AAYAAT  jo  LAB  PER  MERE  AAYI'N !
MUJHE HAR MAUJ KE AAGHOSH MEI'N SAHIL NAZAR AAYA !!

MAI'N TASHNA LAB CHALAA AAYA HU'N "TANHAA"  MAUJ E DARIYA SE !
MUJHE  JAB  PEYAAS  KA  MAARA  HUA  SAHIL  NAZAR  AAYA !!

REHAN MUBARAK "TANHAA"
F.H SIDDIQUI SAHAAB ,SAINI SAHAAB ,PARVAAZ SAHAAB AAP SAB KA RAHNUMAI KARNE KE LIYE AUR DAD DENE KE LIYE MAI'N TAH E DIL SE SHUKRIYA ADAA KARTA HU'N
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:31:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer