Mujhe Marne Do.....

by Alam Qazi on December 29, 2008, 10:39:52 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4999 times)
Alam Qazi
Guest
Meri Khamosh sadao'n ko, khamosh hi Rehne do,
zindagi jeee na sakaa mai, Abb mujhko marne do,

Baaa Hayaat thaa, Tou Jisme Faani ko sawaar na paaya
Abb Laash ko tou meri, Zaraa sawarne do,

Machalte khwaaab jo dekhi thee, Kabhi Aankhein
Ashk bankar meri palko'n se, Abb use girne do,

Tootkar bikhra hai, Tukdo mein wajud mera
Aalam-E-Jaa'n ko abb, Zarro mein bikharne do...

 tearyeyed tearyeyed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
marne ke baad..... by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
AAJ MARNE DO by kinitrupti in Shayri for Dard -e- Judai
Kash Woh Shakhs Mujhe Doob K Marne Deta......!!!! by Sirf Meri Chahat in Share: Poetry of Pain
M to aanso hu mujhe Marne De.......masoom by masoom shahjada in Shayri-E-Dard
marne ki aarzoo by Dineshkumarjonty in Miscellaneous Shayri
fairy2633
Guest
«Reply #1 on: December 29, 2008, 10:56:30 AM »
bahut khoob qazi ji....mashallah...
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: December 29, 2008, 11:11:03 AM »
kya dardila likha .....alam qaziji--


toote dil ki juban,
nikal hi jaaye meri jaan.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: December 29, 2008, 11:31:16 AM »
bahut hi khoob kaha hai aap neh QAZI

Jasbir Singh
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #4 on: December 29, 2008, 11:35:21 AM »
thanks ! fairy , cara & jasbir
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: December 29, 2008, 11:43:50 AM »
Azeem hain aapka kalam Aalam Subhan_allah khuda aapki shayri ko lambi umar de.....

zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
go apanii tabiyat me.n baGaavat bhii bahut thii

vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
dil ke liye tho.Dii sii inaayat bhii bahut thii

yuu.N hii nahii.n mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaKhs ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii

kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil me.n bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

har shaam sunaate the hasiino.n ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

bulavaa ke ham 'Ajiz' ko pashemaa.N bhii bahut hai.n
kyaa kiijiye kam_baKht kii shoharat bhii bahut thii

                 -Kaleem Ajiz-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: December 29, 2008, 12:08:55 PM »
Bohat Bohat Badhiya Hai,.
Aalam Qazi Ji,.
Nice One,.
And Nice One Sajid Bhaiya,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 29, 2008, 12:29:33 PM »
Ye Kaisaa Rog Lagaa Liya Tune,.
Dard Se Rishta Banaa Liya Tune,.

Maut Bhi Ab Apna Na Sakegi Tujhe,.
Mohabbat Ko Jo Dil Mein Jagaa Liya Tune,.






,.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #8 on: December 29, 2008, 01:01:27 PM »
Meri Khamosh sadao'n ko, khamosh hi Rehne do,
zindagi jeee na sakaa mai, Abb mujhko marne do,

Baaa Hayaat thaa, Tou Jisme Faani ko sawaar na paaya
Abb Laash ko tou meri, Zaraa sawarne do,

Machalte khwaaab jo dekhi thee, Kabhi Aankhein
Ashk bankar meri palko'n se, Abb use girne do,

Tootkar bikhra hai, Tukdo mein wajud mera
Aalam-E-Jaa'n ko abb, Zarro mein bikharne do...

 tearyeyed tearyeyed

Kitna dard hai is sher mein...  sad7
Bahut accha likha hai aapne Qazi ji...  Applause
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #9 on: December 29, 2008, 01:22:45 PM »
shukriyaaa .. aaap sabhi ka dosto.
basss abb dard hi zindagi hai....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: December 29, 2008, 02:07:39 PM »
Meri Khamosh sadao'n ko, khamosh hi Rehne do,
zindagi jeee na sakaa mai, Abb mujhko marne do,

Baaa Hayaat thaa, Tou Jisme Faani ko sawaar na paaya
Abb Laash ko tou meri, Zaraa sawarne do,

Machalte khwaaab jo dekhi thee, Kabhi Aankhein
Ashk bankar meri palko'n se, Abb use girne do,

Tootkar bikhra hai, Tukdo mein wajud mera
Aalam-E-Jaa'n ko abb, Zarro mein bikharne do...

 tearyeyed tearyeyed

Good Work Alam Qazi Ji..
It was really very touching... very very sentimental..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: December 29, 2008, 02:08:46 PM »
Great Sharing Sajid Ji... and

Good reply Azeem...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: December 29, 2008, 09:24:05 PM »
Meri Khamosh sadao'n ko, khamosh hi Rehne do,
zindagi jeee na sakaa mai, Abb mujhko marne do,

Baaa Hayaat thaa, Tou Jisme Faani ko sawaar na paaya
Abb Laash ko tou meri, Zaraa sawarne do,

Machalte khwaaab jo dekhi thee, Kabhi Aankhein
Ashk bankar meri palko'n se, Abb use girne do,

Tootkar bikhra hai, Tukdo mein wajud mera
Aalam-E-Jaa'n ko abb, Zarro mein bikharne do...

 tearyeyed tearyeyed
Good one Alam Ji
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #13 on: December 30, 2008, 03:41:43 AM »
thanks mahiya and rajesh..
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: December 30, 2008, 06:19:15 AM »
 Applause Applause

Bohat khoob Alam ji..

Bohat khoob sajid ji nice sharing...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:01:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer