Mujhe Marne Do.....

by Alam Qazi on December 29, 2008, 10:39:52 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 5051 times)
smardia
Guest
«Reply #15 on: December 30, 2008, 09:30:46 AM »
Meri Khamosh sadao'n ko, khamosh hi Rehne do,
zindagi jeee na sakaa mai, Abb mujhko marne do,

Baaa Hayaat thaa, Tou Jisme Faani ko sawaar na paaya
Abb Laash ko tou meri, Zaraa sawarne do,

Machalte khwaaab jo dekhi thee, Kabhi Aankhein
Ashk bankar meri palko'n se, Abb use girne do,

Tootkar bikhra hai, Tukdo mein wajud mera
Aalam-E-Jaa'n ko abb, Zarro mein bikharne do...

Is it SO! Shocked Even More  Is it SO!

Lagta hai badi chot khayi he janab ne.....
Kehte ho
Abb mujhko marne do,Zarro mein bikharne do...

me kehta hu..
Abhi tou jindgi ki dopehar bhi nahi hui
Abhi se maan kar haar kehte ho marne do
Maana jindgi jee nahi sake jaisa chaha tha
Ek manzil nahi mili tou kyon sanjida is kadar
Manzile aur bhi hain,dhund le kuye-yaar me
Fir se naya safar shuru kar tu mere yarr
Hamrahi koi mil he jayega chalet-chalte




 tearyeyed tearyeyed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
marne ke baad..... by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
AAJ MARNE DO by kinitrupti in Shayri for Dard -e- Judai
Kash Woh Shakhs Mujhe Doob K Marne Deta......!!!! by Sirf Meri Chahat in Share: Poetry of Pain
M to aanso hu mujhe Marne De.......masoom by masoom shahjada in Shayri-E-Dard
marne ki aarzoo by Dineshkumarjonty in Miscellaneous Shayri
Alam Qazi
Guest
«Reply #16 on: December 30, 2008, 09:41:10 AM »
shukriya shihab & smardia

mai apna gham, aap logo se hi tou share kar leta hoon.

your friend Alam
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: December 30, 2008, 09:21:37 PM »


na gubar main na gulab main mujhe dekhana
mere dard ki ab-o-tab main mujhe dekhana

kisi waqt sham malal main mujhe sochana
kabhi apane dil ki kitab main mujhe dekhana

kisi dhun main tum bhi jo bastiyon ko tyag do
isi rah-e-KhanaKharab main mujhe dekhana

kisi rat mah-o-najuum se mujhe puchhana
kabhi apani chashm purab main mujhe dekhana

isi dil se ho kar guzar gaye kai karavan
ki hijraton ke zab main mujhe dekhana

main na mil sakun bhi to kya hua ke fasana hun
nai dastan naye bab main mujhe dekhana

mere Khar Khar saval main mujhe Dhundna
mere git main mere Khvab main mujhe dekhana

mere ansuon ne bujhai thi meri tashnagi
isi bargzida sahab main mujhe dekhanaa

wohe ik lamha deed tha ke ruka raha
mere roz-o-shab ke hisab main mujhe dekhana

jo tarap tujhe kisi aine main na mil sake
to phir aine ke javab main mujhe dekhana


ADA JAFRI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: December 30, 2008, 09:24:41 PM »
bahoot khoob lil bro.. good sharing
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: December 30, 2008, 09:28:08 PM »
Thank U Didijaan,.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #20 on: January 01, 2009, 08:36:18 PM »


na gubar main na gulab main mujhe dekhana
mere dard ki ab-o-tab main mujhe dekhana

kisi waqt sham malal main mujhe sochana
kabhi apane dil ki kitab main mujhe dekhana

kisi dhun main tum bhi jo bastiyon ko tyag do
isi rah-e-KhanaKharab main mujhe dekhana

kisi rat mah-o-najuum se mujhe puchhana
kabhi apani chashm purab main mujhe dekhana

isi dil se ho kar guzar gaye kai karavan
ki hijraton ke zab main mujhe dekhana

main na mil sakun bhi to kya hua ke fasana hun
nai dastan naye bab main mujhe dekhana

mere Khar Khar saval main mujhe Dhundna
mere git main mere Khvab main mujhe dekhana

mere ansuon ne bujhai thi meri tashnagi
isi bargzida sahab main mujhe dekhanaa

wohe ik lamha deed tha ke ruka raha
mere roz-o-shab ke hisab main mujhe dekhana

jo tarap tujhe kisi aine main na mil sake
to phir aine ke javab main mujhe dekhana


ADA JAFRI

very nice sharing Jahanasheen

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: January 02, 2009, 10:03:45 AM »
Shukriya Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: January 02, 2009, 10:12:40 AM »


har bezaban ko sholanawa kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo

khud ko fareb do k na ho talkh zindagi
har sangdil ko jane-e-wafa kah liya karo

gar chahte ho khush rahen kuch bandagan-e-khas
jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo

insan ka agar qad-o-qamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-ab-o-hawa kah liya karo

apne liye ab ek hi rah-e-nijat hai
har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo

le de k ab yahi hai nishan-e-ziya "Qateel"
jab dil jale to us ko diya kah liya karo

Qateel Shifaai-
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:37:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer