Mujhe Maut Ki Talash Hain ...!!

by Kaushal Sharma on September 29, 2012, 03:07:43 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4940 times)
Kaushal Sharma
Guest
Hasrate dil ki puri karne ke liye
Mujhe maut ki talash hai,

Tanhiyo se bana hai  ghar mera
Us ghar ko sajane ke liye mujhe maut ki talash hai,

Yon to har kisi ne thukraya hai mujhe
Es jamane ko thukrane ke liye mujhe maut ki talash hai,

Ji se toot kar chaha mene usi ne mujhe bewafa kah diya,
Apni wafa ko sabit karne ke liye mujhe maut ki talash hai,

Waqt bewaqt yaad aa jate hai apne dil ke jakhm
Un jakhmo ko sukhane ke liye mujhe maut ki talash hai,

Koi shaks de gaya hai, mujhe maut ki dua,
Us khwaish aur apni arzoo ko puri karne ke liye,
Mujhe maut ki talasha hain...!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe Talash Hai... by qakhs in Shayri-E-Dard
MUJHE US NAJAR KI TALASH HAI by amarhellboy in Share Poetry You Like
ab mujhe meri maut by saahill in Shayri-E-Dard
Mujhe Maut Se Nawaaziye....... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
....Mujhe Maut Chahiye..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
aqsh
Guest
«Reply #1 on: September 29, 2012, 03:15:25 PM »
very very nice...
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #2 on: September 29, 2012, 03:19:37 PM »
Tah dil se shukriya  apka Aqsh ji ,.
Logged
sushilbansal
Guest
«Reply #3 on: September 29, 2012, 03:26:03 PM »
Hasrate dil ki puri karne ke liye
Mujhe maut ki talash hai,

Tanhiyo se bana hai  ghar mera
Us ghar ko sajane ke liye mujhe maut ki talash hai,

Yon to har kisi ne thukraya hai mujhe
Es jamane ko thukrane ke liye mujhe maut ki talash hai,

Ji se toot kar chaha mene usi ne mujhe bewafa kah diya,
Apni wafa ko sabit karne ke liye mujhe maut ki talash hai,

Waqt bewaqt yaad aa jate hai apne dil ke jakhm
Un jakhmo ko sukhane ke liye mujhe maut ki talash hai,

Koi shaks de gaya hai, mujhe maut ki dua,
Us khwaish aur apni arzoo ko puri karne ke liye,
Mujhe maut ki talasha hain...!!
Kaushal ji
Mubarik achi rachna hai.
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #4 on: September 29, 2012, 03:45:52 PM »
Tah dil se shukriya apka Sheel didi ji .
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #5 on: September 29, 2012, 03:58:35 PM »
Kaushal ji bahut dard bhari rachana...aahkhon ko bhigane se nahi bacha paye...aap ko bahut-bahut badhayi es rachna k liye aur aap ko ek RAU bhi....
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2012, 04:10:17 PM »
Hasrate dil ki puri karne ke liye
Mujhe maut ki talash hai,

Tanhiyo se bana hai  ghar mera
Us ghar ko sajane ke liye mujhe maut ki talash hai,

Yon to har kisi ne thukraya hai mujhe
Es jamane ko thukrane ke liye mujhe maut ki talash hai,  Applause Applause Applause

Ji se toot kar chaha mene usi ne mujhe bewafa kah diya,
Apni wafa ko sabit karne ke liye mujhe maut ki talash hai,  Applause Applause Applause Applause Applause

Waqt bewaqt yaad aa jate hai apne dil ke jakhm
Un jakhmo ko sukhane ke liye mujhe maut ki talash hai,  Applause Applause Applause Applause

Koi shaks de gaya hai, mujhe maut ki dua,
Us khwaish aur apni arzoo ko puri karne ke liye,
Mujhe maut ki talasha hain...!!  Applause Applause Applause Applause ApplauseBahut khoob
Bahut badhiya...likhte rahiye  Applause Applause Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: September 30, 2012, 12:08:49 AM »
bahut khoob kaushal ji
Logged
Aarish
Guest
«Reply #8 on: September 30, 2012, 01:56:43 AM »
Yon to har kisi ne thukraya hai mujhe
Es jamane ko thukrane ke liye mujhe maut ki talash hai,

in do lines ke alawa mujhe koi line logically samajh nahi aayi.

dil ki hasraten poori karne ke liye maut ki talash hai iska matlab samajh nahi aaya, hasraten mar kar nahi jee kar poori hoti hain,


tanhaiyo se bane ghar ko koi maut se kaise saja sakta hai, maut koi sajawat ka sama nahi, wo to khud apne aap men itni tanhaiyan samete huye hai, aur tanha ghar kisi ki maut ke baad sajta nahi aur tanha ho jata hai,


waise ye meri zaati rai hai, ye meri nasamjhi bhi ho sakti hai.ke me  aapke jazbaat samajh nahi paraha  hun. be takallufi ke liye muafi chahuanga .

yahan mera maqsad aapko criticize karna nahi hai. bas ye kehna chahta hun aap jo bhi likhe wo logically bhi strong hona chahiye, sirf lafzon ko piro dena shayeri nahi hai. aap ke pass achche khayalat hain to unka istemal bhi aap aur behtar kar sakte hain, . agar meri baat buri lagi ho to gustakhi ke liye muafi chahunga.

Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #9 on: September 30, 2012, 04:12:57 AM »
Kaushal Ji Bahut Hi dard bhara hai app ki rachna mein
bahut khubsurti se appne likha hai dil ko chu gaye app ke ehsas
bahut badiya. mubarak baad
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #10 on: September 30, 2012, 04:45:44 AM »
Kaushal ji bahut dard bhari rachana...aahkhon ko bhigane se nahi bacha paye...aap ko bahut-bahut badhayi es rachna k liye aur aap ko ek RAU bhi....

Tah dil se shukriya apka Gaytri ji,,Apko hamarae bikhre hue alafah pasabd aaye aur use RAU diya uske liye ek baar phir se tah dil se shukriya apka Gaytri ji ..



Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #11 on: September 30, 2012, 04:47:47 AM »
Bahut badhiya...likhte rahiye  Applause Applause Applause Applause

Tah dil se shukriya apka Mkv ji ...
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #12 on: September 30, 2012, 04:48:42 AM »
bahut khoob kaushal ji

Tah dil se shukriya apka Nand ji .
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #13 on: September 30, 2012, 05:00:43 AM »
Yon to har kisi ne thukraya hai mujhe
Es jamane ko thukrane ke liye mujhe maut ki talash hai,

in do lines ke alawa mujhe koi line logically samajh nahi aayi.

dil ki hasraten poori karne ke liye maut ki talash hai iska matlab samajh nahi aaya, hasraten mar kar nahi jee kar poori hoti hain,


tanhaiyo se bane ghar ko koi maut se kaise saja sakta hai, maut koi sajawat ka sama nahi, wo to khud apne aap men itni tanhaiyan samete huye hai, aur tanha ghar kisi ki maut ke baad sajta nahi aur tanha ho jata hai,


waise ye meri zaati rai hai, ye meri nasamjhi bhi ho sakti hai.ke me  aapke jazbaat samajh nahi paraha  hun. be takallufi ke liye muafi chahuanga .

yahan mera maqsad aapko criticize karna nahi hai. bas ye kehna chahta hun aap jo bhi likhe wo logically bhi strong hona chahiye, sirf lafzon ko piro dena shayeri nahi hai. aap ke pass achche khayalat hain to unka istemal bhi aap aur behtar kar sakte hain, . agar meri baat buri lagi ho to gustakhi ke liye muafi chahunga.



Sab se pehle hausla afajayi ke liye tah dil se shukriya apka Arsih Sahab ,,,,,,,

Aur Aarish sahab  me koi professional sayar nahi hon bas jo khyalat dil me aate unhe lafjo me piro deta hon ...

Waqt ka maara hon andar se bahut toota hua hon yaha ki  abo hawa me me dil ko kuch sakoon milta hain isilye Aarish sahab kuch lahme aakar yaha gujar leta hon ....

Aap ek great shayar hain apne hume shayari me vajan (weight) ke baare me bataya...

Next time se mein apki is baat ko jaroor yaad rakhunga aur ek baar phir se tah dil se shukriya apka Aarish sahab ...!!
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #14 on: September 30, 2012, 05:04:39 AM »
Kaushal Ji Bahut Hi dard bhara hai app ki rachna mein
bahut khubsurti se appne likha hai dil ko chu gaye app ke ehsas
bahut badiya. mubarak baad


Apne hamare bikhre hue alfajo ke samajha unhe pasand kiya, saraha iske liye tah dil se shukriya apka Sanjeev bhai ...!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:33:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer