Mujhe patthar bna dena..

by Kohinoor on August 02, 2011, 04:45:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1212 times)
Kohinoor
Guest
Yhi agar zid tumhari hai,
chalo hm bhool jate hain..!
Sabhi wade
sabhi kasmen
mohabbat ki sbhi rasmen...
Nahi manjoor jo tumko,
karen ranjoor jo tumko!
Tumhari shaad mani hi
azeez-e-jaan hai jb to,
tumhe fir tokna kaisa Huh?
Wafayen kasmon ki babat,
bhala fir sochna kaisa Huh?
Chalo hm bhool jate hain !
Mohabbat ki riyazat me
wafaon ki musafat me,
qadam kiske kahaan behke!!?
Hui kisse kahaan larzish!!?
Bsa di kyo tumne ek pal me?
hmari aankhon me barish !
Ki jiski tej boondon ne..
Tejaab ki manind
nishaan-e-manzil-e-dil hi jla dala,
mita dala..!
Magar jaana..
Kahaan aasaan hota hai ?
Jigar ka khoon ashqon me,
bdalna aur baha dena!
mohabbaten chun-chun kar,
gharaunda ik bnana aur...
Usi ko jla dena!
beshumaar sapno ki laashon ko,
aankhon me chupa kar muskura dena!
Khija'yen paalna khud me,
bahaar'en baant te firna..
Kahaan aasaan hota hai..Huh?
Bahut mumkin hai mai bhi haar hi jaun..
zabt jo qayam hai ab tk,
muqabbil gm k aane se dhal jaye!
Aur isme bhi kya tajjub..Huh?
Tumhare laut aane ki...bachi ho aas jo koi..,
nawaaey be-zumaan bn kr,
sisak kr phir se uthey aur...
Tum tk pahunch jaye !
So tumse ye gujarish hai,
tb ik ehsaan tum krna..
Palat kr dekhna yun sard nigahon se...ke
jo bhi aas zinda hon
unhe sire se mita dena..!!
Mujhe...patthar bna dena !!!!!
N/M
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Patthar mujhe kehta hay by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*~Mujhe Patthar Bana Dena~*~ by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mujhe Tum Chod Mat Dena by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
mujhe patthar bana ke by Dineshkumarjonty in Share:Love Poetry
Mere janze pe use na kabhi ane de uski tarah saki mujhe bhi patthar ka ban jane de....m.a..... by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Kohinoor
Guest
«Reply #1 on: August 02, 2011, 04:45:37 PM »
Yhi agar zid tumhari hai,
chalo hm bhool jate hain..!
Sabhi wade
sabhi kasmen
mohabbat ki sbhi rasmen...
Nahi manjoor jo tumko,
karen ranjoor jo tumko!
Tumhari shaad mani hi
azeez-e-jaan hai jb to,
tumhe fir tokna kaisa Huh?
Wafayen kasmon ki babat,
bhala fir sochna kaisa Huh?
Chalo hm bhool jate hain !
Mohabbat ki riyazat me
wafaon ki musafat me,
qadam kiske kahaan behke!!?
Hui kisse kahaan larzish!!?
Bsa di kyo tumne ek pal me?
hmari aankhon me barish !
Ki jiski tej boondon ne..
Tejaab ki manind
nishaan-e-manzil-e-dil hi jla dala,
mita dala..!
Magar jaana..
Kahaan aasaan hota hai ?
Jigar ka khoon ashqon me,
bdalna aur baha dena!
mohabbaten chun-chun kar,
gharaunda ik bnana aur...
Usi ko jla dena!
beshumaar sapno ki laashon ko,
aankhon me chupa kar muskura dena!
Khija'yen paalna khud me,
bahaar'en baant te firna..
Kahaan aasaan hota hai..Huh?
Bahut mumkin hai mai bhi haar hi jaun..
zabt jo qayam hai ab tk,
muqabbil gm k aane se dhal jaye!
Aur isme bhi kya tajjub..Huh?
Tumhare laut aane ki...bachi ho aas jo koi..,
nawaaey be-zumaan bn kr,
sisak kr phir se uthey aur...
Tum tk pahunch jaye !
So tumse ye gujarish hai,
tb ik ehsaan tum krna..
Palat kr dekhna yun sard nigahon se...ke
jo bhi aas zinda hon
unhe sire se mita dena..!!
Mujhe...patthar bna dena !!!!!
N/M
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: August 02, 2011, 04:56:06 PM »
Bahut achhi nazm hai.Agar maaloom ho to shaair ka naam bhi darj karna behtar hai.
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: August 02, 2011, 05:07:57 PM »
gd
Yhi agar zid tumhari hai,
chalo hm bhool jate hain..!
Sabhi wade
sabhi kasmen
mohabbat ki sbhi rasmen...
Nahi manjoor jo tumko,
karen ranjoor jo tumko!
Tumhari shaad mani hi
azeez-e-jaan hai jb to,
tumhe fir tokna kaisa Huh?
Wafayen kasmon ki babat,
bhala fir sochna kaisa Huh?
Chalo hm bhool jate hain !
Mohabbat ki riyazat me
wafaon ki musafat me,
qadam kiske kahaan behke!!?
Hui kisse kahaan larzish!!?
Bsa di kyo tumne ek pal me?
hmari aankhon me barish !
Ki jiski tej boondon ne..
Tejaab ki manind
nishaan-e-manzil-e-dil hi jla dala,
mita dala..!
Magar jaana..
Kahaan aasaan hota hai ?
Jigar ka khoon ashqon me,
bdalna aur baha dena!
mohabbaten chun-chun kar,
gharaunda ik bnana aur...
Usi ko jla dena!
beshumaar sapno ki laashon ko,
aankhon me chupa kar muskura dena!
Khija'yen paalna khud me,
bahaar'en baant te firna..
Kahaan aasaan hota hai..Huh?
Bahut mumkin hai mai bhi haar hi jaun..
zabt jo qayam hai ab tk,
muqabbil gm k aane se dhal jaye!
Aur isme bhi kya tajjub..Huh?
Tumhare laut aane ki...bachi ho aas jo koi..,
nawaaey be-zumaan bn kr,
sisak kr phir se uthey aur...
Tum tk pahunch jaye !
So tumse ye gujarish hai,
tb ik ehsaan tum krna..
Palat kr dekhna yun sard nigahon se...ke
jo bhi aas zinda hon
unhe sire se mita dena..!!
Mujhe...patthar bna dena !!!!!
N/M
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #4 on: August 02, 2011, 05:16:25 PM »
Shayar ka name nhi maloom mujhe siddiqui ji !!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: August 02, 2011, 09:42:12 PM »
Bahut khoob Sharing Kohinoor jee:)

Behad achchi kalaam hai... Ahsaas andaaz aur
sidhi si adaygi ka khoob namunaa hai yeH kalaam
Thanks for sharing... Usual Smile

Keep sharing keep posting.. Usual Smile
Keep visiting... Keep smiling.. Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:49:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer