Mujhe Sukoon Chahiye....

by Aryaan on May 03, 2005, 04:24:13 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 6015 times)
Aryaan
Guest

Bharak rahi hai aag si hawaaon mein
Sulag raha hoon baadalon ki chaaon mein
Bahaar mujh se chin gayi mujhe bahaar chahiye

Kisi ke dillagi ko pyaar jaan ke
Main lut gaya hoon dil ki baat maan ke
Na mujhko chahiye wafaa na mujhko pyar chahiye

Na jaane kab yeh dil ka dard jaaye ga
Rahoon ga hosh mein tau gham sataye ga
Mere liye tau raat din bas ik khumaar chahiye

Tarap na mere dil kisi ki aas mein
Hazaar talkhiyan hain teri pyaas mein
Tujhe tau saari zindagi ka intezaar chahiye
Mujhe sukoon chahiye mujhe Qaraar chahiye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mujhe kuch nahin chahiye..... by pappu in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mujhe Aisi Duniya Nahi Chahiye.... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
*Mujhe Pyar Chahiye* by Roja in Shayri-E-Dard
mujhe nahin chahiye... by dead heart in Ghazals « 1 2  All »
Mujhe Wo Dard Chahiye.... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
pandit
Guest
«Reply #1 on: May 03, 2005, 04:26:50 PM »
wah arayan ji............................................... .......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: May 03, 2005, 04:28:56 PM »
Quote from: "pandit"
wah arayan ji............................................... .......

Shukirya Pandit.....
Logged
pandit
Guest
«Reply #3 on: May 03, 2005, 04:50:08 PM »
kaato se bhara hai ye safar gar tum door ho,
kabhi paas aakar to dekho main kitna mazboor hoo,
ye pyaar cheez kaisi hai ki dard me bhi maza deti hai,
yehi dard  sah sah kar to aaj bhi main jindaa hoo.+
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: May 03, 2005, 05:33:55 PM »
Quote from: "pandit"
kaato se bhara hai ye safar gar tum door ho,
kabhi paas aakar to dekho main kitna mazboor hoo,
ye pyaar cheez kaisi hai ki dard me bhi maza deti hai,
yehi dard  sah sah kar to aaj bhi main jindaa hoo.+

Bohat khoob Pandit.....
Logged
nice_off_me
Guest
«Reply #5 on: May 03, 2005, 05:44:21 PM »
Quote from: "Aryaan"

Bharak rahi hai aag si hawaaon mein
Sulag raha hoon baadalon ki chaaon mein
Bahaar mujh se chin gayi mujhe bahaar chahiye

Kisi ke dillagi ko pyaar jaan ke
Main lut gaya hoon dil ki baat maan ke
Na mujhko chahiye wafaa na mujhko pyar chahiye

Na jaane kab yeh dil ka dard jaaye ga
Rahoon ga hosh mein tau gham sataye ga
Mere liye tau raat din bas ik khumaar chahiye

Tarap na mere dil kisi ki aas mein
Hazaar talkhiyan hain teri pyaas mein
Tujhe tau saari zindagi ka intezaar chahiye
Mujhe sukoon chahiye mujhe Qaraar chahiye


shabdo ko buhut pyaare dhang se piroya hai i really like ur post keep writing dear

jinki yaad mein hum deewane hu gaye
wo hum hi se begaane hu gaye
shayad unhe talash hai ab naye pyarr ki
kyuki unki nazar mein hum purane hu gaye.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: May 03, 2005, 06:06:49 PM »
Thank you Simran.... aap ne bhi khoob reply kiya hai.....nice one!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #7 on: May 04, 2005, 11:48:57 AM »
nice one aryan jee n pandit n simran ..................!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: May 04, 2005, 12:09:20 PM »
Quote from: "salma4u"
nice one aryan jee n pandit n simran ..................!

Thank you Salma.....
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: May 04, 2005, 03:34:54 PM »
Quote from: "Aryaan"

Bharak rahi hai aag si hawaaon mein
Sulag raha hoon baadalon ki chaaon mein
Bahaar mujh se chin gayi mujhe bahaar chahiye

Kisi ke dillagi ko pyaar jaan ke
Main lut gaya hoon dil ki baat maan ke
Na mujhko chahiye wafaa na mujhko pyar chahiye

Na jaane kab yeh dil ka dard jaaye ga
Rahoon ga hosh mein tau gham sataye ga
Mere liye tau raat din bas ik khumaar chahiye

Tarap na mere dil kisi ki aas mein
Hazaar talkhiyan hain teri pyaas mein
Tujhe tau saari zindagi ka intezaar chahiye
Mujhe sukoon chahiye mujhe Qaraar chahiye


bohot ache!!!!

 :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: May 04, 2005, 09:22:49 PM »
wah!! bahoot khooob Aryaan!!! kamal likha hai apne!!! nice_off_me ne sahi likha hai ki apne shabdo ko bahoot hi achi tarah se apni kaviota mai piroya hai!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2005, 02:02:38 AM »
Bohat shukriya Meena & Pooja.....

Pooja meri hamesha se yehi koshish rahi hai keh main jo bhi likhoon woh harr khaas-o-aam ki samajh mein aa jaye, iss mein kahan tak kamyaab rehta hoon yeh aapke replys se pata chalta hai... ek baar phir aap sabka teh-e-dil se shukriya adaa karna chahta hoon keh aap sab itni izzat detey hain...Usual Smile
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #12 on: May 05, 2005, 07:17:24 AM »
wah aryaan,bohat hi accha likha hai,apka work bohat bohat accha lagta hai,aise hi likhte rahiye,very nice simran also.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: May 06, 2005, 12:27:57 AM »
Shukriya Nidhi....Usual Smile

Aankh nam na kar mere dard ki khatir aye mehboob
Tere ik aansoo par mere hazaar dard Qurbaan hon..
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #14 on: May 06, 2005, 12:32:36 AM »
nice aryan

Zuban par naam lete hai to aansu chalak jate hain
Teri yaad ati hai tu ham behak jate hain
Hazaro batein kiya karte thae
Ab to ek aawaaz ke leyae bhi taras jate hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:47:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer