Mujhe Sukoon Chahiye....

by Aryaan on May 03, 2005, 04:24:13 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 6014 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: May 06, 2005, 12:56:24 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
nice aryan

Zuban par naam lete hai to aansu chalak jate hain
Teri yaad ati hai tu ham behak jate hain
Hazaro batein kiya karte thae
Ab to ek aawaaz ke leyae bhi taras jate hai

Thanks Naveed & Nice one......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mujhe kuch nahin chahiye..... by pappu in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mujhe Aisi Duniya Nahi Chahiye.... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
*Mujhe Pyar Chahiye* by Roja in Shayri-E-Dard
mujhe nahin chahiye... by dead heart in Ghazals « 1 2  All »
Mujhe Wo Dard Chahiye.... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
fakharenaveed
Guest
«Reply #16 on: May 06, 2005, 01:09:57 AM »
you welcome



Lehar aati hai or kinare se palat jatee hai,
Yaad aati hai or dil mein simatt jate hai,
Lehar or yaad mein fark sirf itna hai k,
Lehar bewaqt aati hai or yaad har waqt aati hai.....

Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: May 06, 2005, 02:30:06 AM »
Gham ki lehar mein beh kar

Jaisey haarne waale

Be-Qaraar hote hain

Iss tarha se mat rona

Tum Udaas mat hona

Tum Udaas mat hona...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: May 28, 2005, 02:16:43 AM »
Aaj dil mein ek kami si mehsoos huwi
Aaj aankh mein nami si mehsoos huwi
Itna tarpaya teri yaadon ne aaj
Keh aaj teri yaadon ki kami si mehsoos huwi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #19 on: May 28, 2005, 02:30:19 AM »
kuch ker kay dikha dain, ki kaam bohot hain
is jahan main jeetnay walay muqaam bohot hain
mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay
roz marha mitnay walay naam bohot hain
Logged
Meena
Guest
«Reply #20 on: May 28, 2005, 08:56:00 AM »
Quote from: "Aryaan"
Aaj dil mein ek kami si mehsoos huwi
Aaj aankh mein nami si mehsoos huwi
Itna tarpaya teri yaadon ne aaj
Keh aaj teri yaadon ki kami si mehsoos huwi


beautiful!!!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #21 on: May 28, 2005, 05:58:23 PM »
Shukriya Meena............................Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #22 on: June 20, 2005, 03:11:54 AM »
Zindagi ko jo pukara, maut ne awaaz di
Zindagi ki maut tehri doosri pehchaan hai

Aadmi buzdil rahe tau aadmi kis kaam ka
Jo bahadur hai wohi insaan aali-shaan hai

Dekh lena phir uthoon ga peeche tau rehna nahi
Gir ke khoobi se sanmbhalna bhi meri pehchaan hai

Zindagi tau hai magar, kuch aur bhi tau chahiye
Zindagi ko dhaalne ka taur bhi tau chahiye..
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #23 on: June 20, 2005, 04:09:06 AM »
Quote from: "Aryaan"
Zindagi ko jo pukara, maut ne awaaz di
Zindagi ki maut tehri doosri pehchaan hai

Aadmi buzdil rahe tau aadmi kis kaam ka
Jo bahadur hai wohi insaan aali-shaan hai

Dekh lena phir uthoon ga peeche tau rehna nahi
Gir ke khoobi se sanmbhalna bhi meri pehchaan hai

Zindagi tau hai magar, kuch aur bhi tau chahiye
Zindagi ko dhaalne ka taur bhi tau chahiye..
excellent aryaan.....!!!!!

"Ye zindagi hai,jaane kya kya rang dikhayegi,
  kabhi patjhad to kabhi phool ban khil jayegi."
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #24 on: June 20, 2005, 05:59:42 AM »
Quote from: "Aryaan"

Bharak rahi hai aag si hawaaon mein
Sulag raha hoon baadalon ki chaaon mein
Bahaar mujh se chin gayi mujhe bahaar chahiye

Kisi ke dillagi ko pyaar jaan ke
Main lut gaya hoon dil ki baat maan ke
Na mujhko chahiye wafaa na mujhko pyar chahiye

Na jaane kab yeh dil ka dard jaaye ga
Rahoon ga hosh mein tau gham sataye ga
Mere liye tau raat din bas ik khumaar chahiye

Tarap na mere dil kisi ki aas mein
Hazaar talkhiyan hain teri pyaas mein
Tujhe tau saari zindagi ka intezaar chahiye
Mujhe sukoon chahiye mujhe Qaraar chahiye


khool !aryan Usual Smile good work !  :wink:
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #25 on: June 20, 2005, 12:44:29 PM »
Bohat shukriya pasand karne ka Nidhi & SadiQa......Usual Smile
Logged
sanya310
Guest
«Reply #26 on: June 20, 2005, 03:37:44 PM »
Quote from: "Aryaan"

Bharak rahi hai aag si hawaaon mein
Sulag raha hoon baadalon ki chaaon mein
Bahaar mujh se chin gayi mujhe bahaar chahiye

Kisi ke dillagi ko pyaar jaan ke
Main lut gaya hoon dil ki baat maan ke
Na mujhko chahiye wafaa na mujhko pyar chahiye

Na jaane kab yeh dil ka dard jaaye ga
Rahoon ga hosh mein tau gham sataye ga
Mere liye tau raat din bas ik khumaar chahiye

Tarap na mere dil kisi ki aas mein
Hazaar talkhiyan hain teri pyaas mein
Tujhe tau saari zindagi ka intezaar chahiye
Mujhe sukoon chahiye mujhe Qaraar chahiye


bohott hi achhe aryaa...baaki sab ne bhi bohott achha likha hai!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #27 on: June 21, 2005, 12:34:55 AM »
Quote from: "sanya310"

bohott hi achhe aryaa...baaki sab ne bhi bohott achha likha hai!!!

Bohat shukriya Sanya....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #28 on: June 26, 2005, 06:08:53 PM »
Manzoor nahi meri mohabbat tau kya huwa
Aye dost dushmani hi nibhaaney ke liye aa
Maana tere karam ke tau Qaabil nahi rahe
Aa mere dil pe zulm hi dhaaney ke liye aa
Logged
bond
Guest
«Reply #29 on: June 26, 2005, 06:10:21 PM »
Quote from: "Aryaan"
Manzoor nahi meri mohabbat tau kya huwa
Aye dost dushmani hi nibhaaney ke liye aa
Maana tere karam ke tau Qaabil nahi rahe
Aa mere dil pe zulm hi dhaaney ke liye aa

bahut khoob ARYAAN.....................
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:41:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer