<>*Mujhko Gumaan Na Tha*<>

by *KasaK*....Dil Ki on September 09, 2010, 06:36:49 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1379 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Mujhko Gumaan Na Tha*<>

 love9 love9 love9 love9 love9 love9

Har zarra jane hai yahan kitna pyar hai tumse mujhe
Tujhpe hi to nisaar hun main kya nazar tujhko aata nahin

Tere liye zinda hun tere liye hi ab marna mujhe
Kyun keh rahe ho k main ab tumhe chahti nahin

Kiya jo maine yahan tere waste wo kum nahin
Diya tujhe dil mera ,ye jism se to kum nahin

Puja tumhe kanha ki tarah, murli bani rahi teri
Maathe pe sajake rakha tujhe, kehlai fir bhi teri nahin

Keh diya tune sanam, k dikhawa hai ye koi pyar nahin
Kuch chhoda nahin to kya, baki kuch tumko dikha nahin

Ye meri saadgi le legi yun jaan meri, tha mujhe ye pata nahin
Sab janke kahoge mujhe bewafa iska mujhe tha gumaan nahin...!!!

 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9
Logged
sayyed aamir hussain
Guest
«Reply #1 on: September 09, 2010, 06:49:02 PM »
Apnay ghar ki khirkee se main aasman ko dekhon ga
jis par tera naam likha hai , us taray ko dhoondon ga

tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna
main bhi roz aik khwab tumharay shehar ki janib bhaijon ga

hijr k darya main parhna lehron ki tehreerien bhi
pani ki har satar pe main kuch dil ki baatien likhon ga

jis tanha se payre k neechay hum barish mein bheegay thay
tum bhi usko chhoo k guzarna, main bhi us se liptoon ga

khwab musafir lamhon k hain , saath kahan tak jaien gay
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: September 09, 2010, 06:59:07 PM »
waahhh wahhhwahhhh..amir ji kya khub kaha hai aapne...dil lubha gai aapki ye gazal...bht hi umda peshakash hai ye aapki.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: September 09, 2010, 07:40:24 PM »
Kasak Jee AadaaB!

Aik behad dilfareb aur dil ki gehrai se likhi is kalaam per humari dili daad kabool kijiye.....

Thought's and explanation are mindblowing....
It's a real Kasak of heart.... Aise ahsaas dil ki gehrai se nikalte hai
Aur dil cheer dete hai padhne wale ka..... Aapki Kasak jiske liye hai...
Khuda kare woh ise mehsoos zarur kareN....... Usual Smile

 Applause Applause Applause Applause Applause



Firti hai darya daryaa lehroN ka thikana kahiN nahi
Hai parbat ped sab pe likha apna fasana kahiN nahi

Duniyaa ki nazaroN meiN aksar jo jeete hai shaan se
Waqt jo laga duniyaa meiN dil ka lagana kahiN nahi

Mehfil mehfil bewaafa ki bewafi kyuN ujagar karte ho
Hum apni sunaye tum apni sunao baat batana kahiN nahi



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: September 10, 2010, 05:56:00 AM »
hmmmm likha to bahut achcha hai aapne... bahut khoob... par... main mana karta hoon n aapko dard pe likhne ko... zindagi khush rehne ke liye hai.. muskuraate rahiye... hum jitna dard pe likhenge hum udaas hote  rahenge.... aur aapka dekha dekhi maine bhi kuch .. pata nahi kya to bhi likh diya ... hehehheeh... bahut achcha likha hai apne... bahut khoob...


main paake tumhe paa na saka isi ka mujhe afsos hai,
pyaar tumhaara nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

saath mera paake tumne use umra bhar ka saath samjha,
saath main nibha na saka bas isi ka mujhe afsos hai,

mujhpe aetbaar tha tumhe, mujhse hi tumhe pyaar tha,
us aetbaar ko toda hai maine bas isi ka afsos hai,

haari hui thi apno se tum, mujhko tumne apna samjha,
wo apnapan main nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

jaana tha mujhe chhod ke jab haar ke sab kasht se,
tab rok main tumko sakaa na isi ka mujhe afsos hai,

kahaa tha kuch is tarha ki jaana hai kisi aur ghar,
samajh na saka us baat ko bas isi ka mujhe afsos hai,

chali gayi jab dur mujhse mujhko laga bewafa ho hum,
dard tumhaara samajh na sakaa isi ka mujhe afsos hai,

pyaar hi kiya tha tumse aur aaj bhi karta hoon main,
par us pyaar ko nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

tum hi meri aarzoo thi, bas tum hi meri zindagi thi,
par tumko hi samajh na saka isi ka mujhe afsos hai....
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: September 10, 2010, 11:44:14 AM »
mastaam.....both of you....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: September 10, 2010, 03:46:08 PM »
thanks Koyal
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: September 11, 2010, 09:25:19 PM »
<>*Mujhko Gumaan Na Tha*<>

 love9 love9 love9 love9 love9 love9

Har zarra jane hai yahan kitna pyar hai tumse mujhe
Tujhpe hi to nisaar hun main kya nazar tujhko aata nahin

Tere liye zinda hun tere liye hi ab marna mujhe
Kyun keh rahe ho k main ab tumhe chahti nahin

Kiya jo maine yahan tere waste wo kum nahin
Diya tujhe dil mera ,ye jism se to kum nahin

Puja tumhe kanha ki tarah, murli bani rahi teri
Maathe pe sajake rakha tujhe, kehlai fir bhi teri nahin

Keh diya tune sanam, k dikhawa hai ye koi pyar nahin
Kuch chhoda nahin to kya, baki kuch tumko dikha nahin

Ye meri saadgi le legi yun jaan meri, tha mujhe ye pata nahin
Sab janke kahoge mujhe bewafa iska mujhe tha gumaan nahin...!!!

 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9

Wah! bahut khoob Anamika Ji
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #8 on: September 12, 2010, 08:48:02 AM »
mastaam.....both of you....
Wah! bahut khoob Anamika Ji

thnx koyal and sir ji....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: September 12, 2010, 08:51:43 AM »
Kasak Jee AadaaB!

Aik behad dilfareb aur dil ki gehrai se likhi is kalaam per humari dili daad kabool kijiye.....

Thought's and explanation are mindblowing....
It's a real Kasak of heart.... Aise ahsaas dil ki gehrai se nikalte hai
Aur dil cheer dete hai padhne wale ka..... Aapki Kasak jiske liye hai...
Khuda kare woh ise mehsoos zarur kareN....... Usual Smile

 Applause Applause Applause Applause Applause



Firti hai darya daryaa lehroN ka thikana kahiN nahi
Hai parbat ped sab pe likha apna fasana kahiN nahi

Duniyaa ki nazaroN meiN aksar jo jeete hai shaan se
Waqt jo laga duniyaa meiN dil ka lagana kahiN nahi

Mehfil mehfil bewaafa ki bewafi kyuN ujagar karte ho
Hum apni sunaye tum apni sunao baat batana kahiN nahi





shukriya parwaz ji...aapne aaj tareef ki to dil khush khush ho gaya...thnx ji
 icon_flower icon_flower
aur aapne bht hi pyara likha hai ji bht hi pyara...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: September 12, 2010, 07:50:56 PM »
hmmmm likha to bahut achcha hai aapne... bahut khoob... par... main mana karta hoon n aapko dard pe likhne ko... zindagi khush rehne ke liye hai.. muskuraate rahiye... hum jitna dard pe likhenge hum udaas hote  rahenge.... aur aapka dekha dekhi maine bhi kuch .. pata nahi kya to bhi likh diya ... hehehheeh... bahut achcha likha hai apne... bahut khoob...


main paake tumhe paa na saka isi ka mujhe afsos hai,
pyaar tumhaara nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

saath mera paake tumne use umra bhar ka saath samjha,
saath main nibha na saka bas isi ka mujhe afsos hai,

mujhpe aetbaar tha tumhe, mujhse hi tumhe pyaar tha,
us aetbaar ko toda hai maine bas isi ka afsos hai,

haari hui thi apno se tum, mujhko tumne apna samjha,
wo apnapan main nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

jaana tha mujhe chhod ke jab haar ke sab kasht se,
tab rok main tumko sakaa na isi ka mujhe afsos hai,

kahaa tha kuch is tarha ki jaana hai kisi aur ghar,
samajh na saka us baat ko bas isi ka mujhe afsos hai,

chali gayi jab dur mujhse mujhko laga bewafa ho hum,
dard tumhaara samajh na sakaa isi ka mujhe afsos hai,

pyaar hi kiya tha tumse aur aaj bhi karta hoon main,
par us pyaar ko nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

tum hi meri aarzoo thi, bas tum hi meri zindagi thi,
par tumko hi samajh na saka isi ka mujhe afsos hai....

hmmm.....mastammmmmmmmmmmmmmm
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: September 12, 2010, 07:55:35 PM »
Usual Smile

hmmm.....mastammmmmmmmmmmmmmm
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:13:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer