mujhse ek raabta rakhna... Intezar !

by Intezar on May 08, 2012, 06:46:29 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2733 times)
Intezar
Guest


baawafa ho tum to mujhse ek raabta rakhna
mere in aansuon se jaraa sa waastaa rakhna

khwaab jo na simat sake meri aankhon me
unhe tum apni palkon par araastaa rakhna

koi puchhe wafa to, tum naashaad na hona
sabki nazar me, mujhe hi shikastaa rakhna

dafan kar dena chahe tum mere wajood ko
aabaad magar meri yaadon ka gulistaa rakhna

darmayaan baahon ke ye jism rahe na rahe
apni aagosh me meri rooh ko wabastaa rakhna

phir na lautenge kabhi tumhari raah ‘Intezar’
tum magar meri marqad se apna raastaa rakhna…!


Shukriya
Intezar !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Na Salaam Yaad Rakhna, Na Paigaam Yaad Rakhna, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Jaane Walon Se Raabta Rakhna by ishhh in Shayri for Dard -e- Judai
raabta(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
kiske Intezar me usne chiraag jalaaye bujhaaye... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Na Ahad karo tum mujhse milne ka... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: May 08, 2012, 06:48:34 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: May 08, 2012, 07:06:25 PM »
Bahut Khoob Intezar saheb.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: May 09, 2012, 03:43:53 AM »
 Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: May 09, 2012, 04:32:43 AM »
waaaahhhhh
lajawaabb nagma Intezaar sahab
janaab thora jada waqt dia karen Yoindia Shayariadab ko
khus rahen
muskurate rahen
aate rahen
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #5 on: May 09, 2012, 05:17:11 AM »
Bahot khoob Intezar sahab!
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: May 09, 2012, 06:30:06 AM »
boht khub
Logged
Anahita
Guest
«Reply #7 on: May 09, 2012, 06:44:00 AM »
Bahut Khoob Intezar jee
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #8 on: May 09, 2012, 08:54:45 AM »


baawafa ho tum to mujhse ek raabta rakhna
mere in aansuon se jaraa sa waastaa rakhna

khwaab jo na simat sake meri aankhon me
unhe tum apni palkon par araastaa rakhna

koi puchhe wafa to, tum naashaad na hona
sabki nazar me, mujhe hi shikastaa rakhna

dafan kar dena chahe tum mere wajood ko
aabaad magar meri yaadon ka gulistaa rakhna

darmayaan baahon ke ye jism rahe na rahe
apni aagosh me meri rooh ko wabastaa rakhna

phir na lautenge kabhi tumhari raah ‘Intezar’
tum magar meri marqad se apna raastaa rakhna…!


Shukriya
Intezar !


good Applause Applause
Logged
dolly
Guest
«Reply #9 on: May 09, 2012, 01:19:20 PM »
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause..bahut khoob....
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: May 10, 2012, 07:13:18 PM »
Hriday ji, Iftekar ji, Sksaini ji, sarfira ji, quateel ji, sahill ji , anahita ji, adil ji aur dolly ji...
Shukriya aap sabhi ka aap sabhi ne pasand farmaya !

Intezar !
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: May 10, 2012, 07:22:33 PM »
Intezaar Sahaab Aadaab!


Achche khayaalaat hai janab... behad gehre aur khoob
khayaaloN ko piroya hai aapne.. Usual Smile

humari dili daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye... aate rhaiye..
Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile                  

Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: May 10, 2012, 07:34:28 PM »
Shukriya Parwaz sahab aapka sath mila... aapne pasand farmaya  tahe dil se bahut bahut shukriya !
Intezaar Sahaab Aadaab!


Achche khayaalaat hai janab... behad gehre aur khoob
khayaaloN ko piroya hai aapne.. Usual Smile

humari dili daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye... aate rhaiye..
Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile                   


Logged
sbechain
Guest
«Reply #13 on: May 10, 2012, 07:38:25 PM »


baawafa ho tum to mujhse ek raabta rakhna
mere in aansuon se zaraa sa waastaa rakhna
abb bawafa hone ki ye kaun si shart rakh di tumne. main to hamesha se aisi hi thi. tum apni baat pe na rahe icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
khwaab jo na simat sake meri aankhon me
unhe tum apni palkon par araastaa rakhna
koshish karoo.n gi waise mere bhi kuch khawaab hai apne jinhein tumne na kabhi dekha aur na samajhne ki koshish hi ki. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
koi puchhe wafa to, tum naashaad na hona
sabki nazar me, mujhe hi shikastaa rakhna
mujhe kya karna hai main bakhoobi jaanti hoon ji. icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
dafan kar dena chahe tum mere wajood ko
aabaad magar meri yaadon ka gulistaa rakhna
aise kaise ho sakta hai. jiska gulistaan hai uss baghbaan ka hona bhi zaruri hai ji icon_flower icon_flower icon_flower
darmayaan baahon ke ye jism rahe na rahe
apni aagosh me meri rooh ko wabastaa rakhna
ye to bahut mushkil kaam hai. Embarrased Embarrased Embarrased
phir na lautenge kabhi tumhari raah ‘Intezar’
tum magar meri marqad se apna raastaa rakhna…!
kyon nahin lauto ge. mujhe wajah chaahiye. baaqi baatein baad mein...! Embarrased Embarrased Embarrased Winking Winking

Shukriya
Intezar !


intezaar bahut khoob.....! mere comments ka buraa mat maan na maine sirf sher ko jawaab diya hai. tumhaara kalaab bahut acha lagaa.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #14 on: May 10, 2012, 07:51:52 PM »
Sheba ji bahut bahut shukriya aapka aur aapke jawaab ka... aur hum bura nahi maante kisi baat ka... yuhi saath dete rahiyega intezar rahega ...

Intezar !

intezaar bahut khoob.....! mere comments ka buraa mat maan na maine sirf sher ko jawaab diya hai. tumhaara kalaab bahut acha lagaa.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:05:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer