Mulakat

by Meena on February 27, 2005, 04:06:24 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 4665 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #45 on: March 05, 2005, 11:56:58 AM »
AAB TU WOH HUM S JUDA HONEY KI BAAT KRTA HAI
JO KABHI HUM S LAMHE K LIYE JUDA NA HOTA THA KABHI
Logged
Meena
Guest
«Reply #46 on: March 05, 2005, 05:24:30 PM »
Quote from: "Aryaan"
Happy Birthday Meena......Usual Smile

Khaas din hai aaj ka salgirah hai Meena ki
Harr dam hain khushiyan kya baat hai Meena ki

Dua hai harr gham bhi khushi ban kar aaye tere liye
Fizaa mehak rahi hai salgirah jo hai Meena ki

Andhere mein bhi raushni ki kiran nazar aa rahi hai
Yunhi chamakti damakti rahe zindagi Meena ki

Yeh din Harr baar aaye bahaar ban kar tere liye
Aryaan hazaar baar yeh din zindagi mein aaye Meena ki


oh my Godddddddddddd so sweetttttttt!!!!!!!!!!!! thanx a lotttttt aryaan ji for such a lovely poem!!!!!!!! aap jaise dosto ki waja se hi aaj din itna acha gaya na!!!!!  :D  beautiful!!!!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #47 on: March 05, 2005, 05:39:09 PM »
Quote from: "fakharenaveed"
AAB TU WOH HUM S JUDA HONEY KI BAAT KRTA HAI
JO KABHI HUM S LAMHE K LIYE JUDA NA HOTA THA KABHI


dekh ke kafn mera na nam hui uski ankhen
meri ik jra si Aah pe jo din rat rota tha  kabhi....

HumTum
Logged
pandit
Guest
«Reply #48 on: March 05, 2005, 05:42:37 PM »
wah hum tum................
Logged
Meena
Guest
«Reply #49 on: March 05, 2005, 05:43:28 PM »
wahhhhhhhhhhhhhhhh hum tum ji!!!!!!!!!!!! brillient!!!!!!!!! 2 lines me bohot kuch kehe gaye!!!

koi humse bhi pyar karega kabhi, woh din to gaye,
koi humare naaz uthayega kabhi, woh din to gaye,
jab zindagi hi humse ruth kar chali gayi,
hum zinda rahe kisi aur ke liye, woh din to gaye!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #50 on: March 05, 2005, 05:47:28 PM »
Quote from: "pandit"
wah hum tum................


thanku hai pandit ji.....:D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #51 on: March 05, 2005, 05:50:17 PM »
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhhhhhhhh hum tum ji!!!!!!!!!!!! brillient!!!!!!!!! 2 lines me bohot kuch kehe gaye!!!

koi humse bhi pyar karega kabhi, woh din to gaye,
koi humare naaz uthayega kabhi, woh din to gaye,
jab zindagi hi humse ruth kar chali gayi,
hum zinda rahe kisi aur ke liye, woh din to gaye!!


teraa meraa jhagadaa kyaa jab ik aadgan kii mittii hai
apane badan ko dekh le chhuukar mere badan kii mittii hai

bhuukhii pyaasi bhaTak rahii hai dil mein kahin ummiid liye
"Hum aur Tum" jis mein khaate the us bartan kii mittii hai

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #52 on: March 05, 2005, 05:59:51 PM »
wah ji!!!!!

mitti ki tum mujhe pehechan na do,
mitti bhi rang badalti hai,
sukh jaye to hawa me bikarti hai,
barish me apna ang badalti hai*!

*matlab hard ho jati hai
Logged
pandit
Guest
«Reply #53 on: March 05, 2005, 05:59:53 PM »
dard e dil ka haal na poocho mera,
bura hai waqt ,burae hai haalat ,
jisne pakda tha haath kabhi,
ki thi waade jeene marne ki,
usne hi saath hai choda bhawar me mera.
Logged
Meena
Guest
«Reply #54 on: March 05, 2005, 06:01:32 PM »
Quote from: "pandit"
dard e dil ka haal na poocho mera,
bura hai waqt ,burae hai haalat ,
jisne pakda tha haath kabhi,
ki thi waade jeene marne ki,
usne hi saath hai choda bhawar me mera.


haath chodne ka gum kya kare,
jab dil se dil ka ristha hi na raha,
ladna padega toofano me akhele aab,
saath dene wala koi saathi na raha!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #55 on: March 05, 2005, 06:03:27 PM »
Quote from: "Meena"
wah ji!!!!!

mitti ki tum mujhe pehechan na do,
mitti bhi rang badalti hai,
sukh jaye to hawa me bikarti hai,
barish me apna ang badalti hai*!

*matlab hard ho jati hai


vaade the beshumaar magar ai mizaaj-e-yaar
ham yaad kyaa dilaayen nazaakat yahii to hai

mere talab kii had hai na tere ataa kii had
mujahko tere karam se nidaamat yahii to hai..

HumTum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #56 on: March 05, 2005, 06:05:30 PM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "pandit"
dard e dil ka haal na poocho mera,
bura hai waqt ,burae hai haalat ,
jisne pakda tha haath kabhi,
ki thi waade jeene marne ki,
usne hi saath hai choda bhawar me mera.


haath chodne ka gum kya kare,
jab dil se dil ka ristha hi na raha,
ladna padega toofano me akhele aab,
saath dene wala koi saathi na raha!


apanaa cheharaa na badalaa gayaa
aaiine se Khafaa ho gaye

bevafaa to na vo the na ham
yuunN huaa bas judaa ho gaye

HumTum
Logged
pandit
Guest
«Reply #57 on: March 05, 2005, 06:07:03 PM »
wah meena ji.......
toofano se ladkar bhi hum jeet jaate,
gar saath unka hum paajaate,
ab to doob jaane ka bhi gum nahi,
q ki zindagi me ab wo nahi,.
Logged
Meena
Guest
«Reply #58 on: March 05, 2005, 06:13:36 PM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
wah ji!!!!!

mitti ki tum mujhe pehechan na do,
mitti bhi rang badalti hai,
sukh jaye to hawa me bikarti hai,
barish me apna ang badalti hai*!

*matlab hard ho jati hai


vaade the beshumaar magar ai mizaaj-e-yaar
ham yaad kyaa dilaayen nazaakat yahii to hai

mere talab kii had hai na tere ataa kii had
mujahko tere karam se nidaamat yahii to hai..

HumTum


 sad5  translation pls sad5
Logged
Meena
Guest
«Reply #59 on: March 05, 2005, 06:16:06 PM »
Quote from: "pandit"
wah meena ji.......
toofano se ladkar bhi hum jeet jaate,
gar saath unka hum paajaate,
ab to doob jaane ka bhi gum nahi,
q ki zindagi me ab wo nahi,.


to kya hua woh saath nahin hai,
yuh har man kar bhi koi baat nahin hai,
kab tak gum kare unke jane ka hum,
aur chotte khane ke liye hum betaab nahin hai!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:03:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer