::Murjha gayi hai zindagi.....::

by nidhi_yadein on June 06, 2006, 05:27:26 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2468 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #15 on: June 10, 2006, 12:31:12 PM »
Marvalous JOb Alll............ Usual Smile ....May i Enter here.....Huh?Huh?Huh?

Murjhaye phool ki tarah Jindagi teri.....
Par aag mein Jhulsa Dil bhi mere paas hai.......

Kyu roti ho Gum apna dekh ke......
Harr Khushi ka Raaz mere paas hai......

Yeh Zindagi ka hai Niyam.....
Do Dard jee bharke phir Khusian kar do thodi kam......

Kehte hain sab raho Dard-O-Gum se door.....
Par humne toh khud ko iski Dariya mein hee baha dia.....

Kya kia humne jiska tune iss kadar mujhe silaa dia......
Manao Jashn.....par na bahao yoon Ashk......

Teri Badnaami ke darr se humne khud ko Badnaam bana dia.....!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi zindagi ho gayi by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindagi meri ek saza ban gayi by Saba_Saba in Shayri-E-Dard
Saari Zindagi Aise Hi Nikal Gayi by Devdas_online in Shayri for Dard -e- Judai
Zindagi hi barbaad ho gayi by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Kyu zindagi tu tham si gayi he... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #16 on: June 10, 2006, 04:42:08 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
"Mere apne jo hamesha mujhse bohat pyaar karne ka daawa karte thhe,
    mere is bure waqt mein mujhe unke daawon ki asliyat nazar aayi hai,
   
    yun to har kisi ki zindagi me aata hi hai bura waqt...............,
    par kab tak?is sawal ka jawab dhoond-2 kar zindagi murjhaai hai,
   
    ankhon me wo pehle si chamak,wo raunak aaj bebasi me badal gayi,
    khwaabon se saji doli khwaabon ki arthi ban hai nikal gayi.........,
 
    bebas si main dekhti rahi apne khwaabon ki arthi ko jaate huye,
    rokne ko mere paas koi wajah , koi bol hi nahi thhe bache.....,
 
    akelepan aur tanhaaiyon me kaed hokar reh gayi zindagi ye meri,
    suraj ki roshni nahi pasand,nahi pasand mujhe chand ki chandni,
 
    ye bura waqt jaldi nikle,ek jagah baith roz yahi kaamna karti hoon.....,
    par kya karun,is bure waqt ko aur bura banane wale bhi mere apne hain,

    log kehte hain main ab pehle si nahi rahi,meri baaton me wo baat nahi rahi,
    jab zindagi mein kuch hai hi nahi,main kya bolun phir?ye samajhte hi nahi,

    bas ek baar meri zindagi ko ek shuruaat mil jaaye...........,
    vaada hai mera khudse,phir kabhi dhalne na dungi ise kabhi."



Too good Nidhi ...
Its a fantastic one ...
Keep up the good work ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #17 on: June 10, 2006, 04:43:12 PM »
Everyone else have also written good here ...
Keep it up all ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #18 on: June 10, 2006, 04:50:22 PM »
Rishto ki jo ek zanzeer bandhi thi aaj toot gayi,
Uski yaad to dil mein samayi thi phir kaise chhoot gayi,
Ye shayad meri taqdeer mein khuda ne likha tha,
Abhi humne use manaya bhi nahi aur wo phir se rooth gayi ...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: June 11, 2006, 08:15:13 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Marvalous JOb Alll............ Usual Smile ....May i Enter here.....Huh?Huh?Huh?

Murjhaye phool ki tarah Jindagi teri.....
Par aag mein Jhulsa Dil bhi mere paas hai.......

Kyu roti ho Gum apna dekh ke......
Harr Khushi ka Raaz mere paas hai......

Yeh Zindagi ka hai Niyam.....
Do Dard jee bharke phir Khusian kar do thodi kam......

Kehte hain sab raho Dard-O-Gum se door.....
Par humne toh khud ko iski Dariya mein hee baha dia.....

Kya kia humne jiska tune iss kadar mujhe silaa dia......
Manao Jashn.....par na bahao yoon Ashk......

Teri Badnaami ke darr se humne khud ko Badnaam bana dia.....!!!!!!!!


Bahoot Khoob Bhai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: June 11, 2006, 08:23:41 AM »
Phool To Jhard Jaayeinge Mausam Ke Bahaane,..
Koi Kanton Se Seekhe Rishte Nibhaane,..

Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:56:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer