murjhaane do phooloN ko bahaaroN ke gumaaN meiN ... (zarraa)

by zarraa on November 02, 2012, 07:30:05 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1954 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
yooN khul ke n sach bola karo daur-e-khizaaN meiN
murjhaane do phooloN ko bahaaroN ke gumaaN meiN


kab fark bhi tum ne tha kiya sood-o-ziyaaN meiN
ab poochhte kya paaya hai kya khoya jahaaN meiN

(sood-o-ziyaaN = profit and loss)


maana ke hawaoN pe dhuNwe ki hai hukoomat
khushboo bhi magar ghol raha koyee fizaaN meiN


ummeed n dil meiN thi n wo baat laboN par
phir jaate bhi kya le ke bhala us ke makaaN meiN


duniya se bhi ruswa huwe yaaroN se bhi maayoos
ab dekho ke kya hoga dar-e-raahat-e-jaaN meiN

(dar-e- raahat-e-jaaN = door of the beloved)


dil meiN hai reham us ke use rabt bhi hum se
koyee to kamee hogee  hamaaree hi fughaaN meiN

(rabt = affinity, fughaaN = cry of help)


dikh jaate haiN nairaNg-o-fareb un ke sabhi jab
kuchh aur bhi aa jaatee kashish husn-e-butaaN meiN

(nairaNg = enchantment / trickery, kashish = attraction, butaaN = the beautiful ones)


ab haq n raha mujh ko khud apni hi anaa par
warna to n kam bechne ko maal dukaaN meiN

(anaa = ego / self)


teshe to koh-e-zindagi pe toot chuke haiN
sar phorne aaye haiN dar-e-peer-e-mughaaN meiN

(teshe = axe, koh-e-zindagi = mountain of life, dar-e-peer-e-mughaaN = the door of the tavern keeper)


yooN to the hamesha hi lab-e-"zarraa" pe shikwe
talkhee to n aisee thi kabhi us ki zubaaN meiN

(lab-e-zarraa = lips of zarraa, talkhee = bitterness)


- ZARRAA

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: November 03, 2012, 01:22:04 AM »
waah waah zarraa saheb badee haseen peshkash hai dili daad qubool farmaayen
Logged
Aarish
Guest
«Reply #2 on: November 03, 2012, 01:26:56 AM »
yooN khul ke n sach bola karo daur-e-khizaaN meiN
murjhaane do phooloN ko bahaaroN ke gumaaN meiN


kab fark bhi tum ne tha kiya sood-o-ziyaaN meiN
ab poochhte kya paaya hai kya khoya jahaaN meiN

(sood-o-ziyaaN = profit and loss)


maana ke hawaoN pe dhuNwe ki hai hukoomat
khushboo bhi magar ghol raha koyee fizaaN meiN


ummeed n dil meiN thi n wo baat laboN par
phir jaate bhi kya le ke bhala us ke makaaN meiN


duniya se bhi ruswa huwe yaaroN se bhi maayoos
ab dekho ke kya hoga dar-e-raahat-e-jaaN meiN

(nihaaN = hidden, raahat-e-jaaN meiN = beloved)


dil meiN hai reham us ke use rabt bhi hum se
koyee to kamee hogee  hamaaree hi fughaaN meiN

(rabt = affinity, fughaaN = cry of help)


dikh jaate haiN nairaNg-o-fareb un ke sabhi jab
kuchh aur bhi aa jaatee kashish husn-e-butaaN meiN

(nairaNg = enchantment / trickery, kashish = attraction, butaaN = the beautiful ones)


ab haq n raha mujh ko khud apni hi anaa par
warna to n kam bechne ko maal dukaaN meiN

(anaa = ego / self)


teshe bhi koh-e-zindagi pe toot chuke haiN
sar phorne aaye haiN dar-e-peer-e-mughaaN meiN

(teshe = axe, koh-e-zindagi = mountain of life, dar-e-peer-e-mughaaN = the door of the tavern keeper)


yooN to the hamesha hi lab-e-"zarraa" pe shikwe
talkhee to n aisee thi kabhi us ki zubaaN meiN

(lab-e-zarraa = lips of zarraa, talkhee = bitterness)


- ZARRAA


kya baat hai zarra jee behad umda ghazal hai, sabhi ashaar
khoobsurat rahe. yoindia par itna shandaar kalaam kam hi padhne ko milta hai...itni shandaar ghazal hai ke andaza lagana mushkil hai ke hasile ghazal shair konsa hai... dherrrroooonnn daaaaaaaaad qubool kijiye aur ek rau bhi.....
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: November 03, 2012, 01:27:25 AM »
bahut khoob, dhero dad
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: November 03, 2012, 01:46:55 AM »
yooN khul ke n sach bola karo daur-e-khizaaN meiN
murjhaane do phooloN ko bahaaroN ke gumaaN meiN


kab fark bhi tum ne tha kiya sood-o-ziyaaN meiN
ab poochhte kya paaya hai kya khoya jahaaN meiN

(sood-o-ziyaaN = profit and loss)


maana ke hawaoN pe dhuNwe ki hai hukoomat
khushboo bhi magar ghol raha koyee fizaaN meiN


ummeed n dil meiN thi n wo baat laboN par
phir jaate bhi kya le ke bhala us ke makaaN meiN


duniya se bhi ruswa huwe yaaroN se bhi maayoos
ab dekho ke kya hoga dar-e-raahat-e-jaaN meiN

(nihaaN = hidden, raahat-e-jaaN meiN = beloved)


dil meiN hai reham us ke use rabt bhi hum se
koyee to kamee hogee  hamaaree hi fughaaN meiN

(rabt = affinity, fughaaN = cry of help)


dikh jaate haiN nairaNg-o-fareb un ke sabhi jab
kuchh aur bhi aa jaatee kashish husn-e-butaaN meiN

(nairaNg = enchantment / trickery, kashish = attraction, butaaN = the beautiful ones)


ab haq n raha mujh ko khud apni hi anaa par
warna to n kam bechne ko maal dukaaN meiN

(anaa = ego / self)


teshe bhi koh-e-zindagi pe toot chuke haiN
sar phorne aaye haiN dar-e-peer-e-mughaaN meiN

(teshe = axe, koh-e-zindagi = mountain of life, dar-e-peer-e-mughaaN = the door of the tavern keeper)


yooN to the hamesha hi lab-e-"zarraa" pe shikwe
talkhee to n aisee thi kabhi us ki zubaaN meiN

(lab-e-zarraa = lips of zarraa, talkhee = bitterness)


- ZARRAA


nice
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #5 on: November 03, 2012, 02:44:14 AM »
super creation  Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: November 03, 2012, 04:37:09 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
lajawab
Logged
laaiba
Guest
«Reply #7 on: November 03, 2012, 09:16:12 AM »
waah waah be had khubsurat kawish paish ki aap ne , bohat bohat c daad,........
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: November 03, 2012, 11:07:59 AM »
bahut khoob,zarra saheb.khuda aap ke qalam ko aisi hi khubsurat ghazlon se nawazta rahe.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: November 03, 2012, 06:38:58 PM »
waah waah zarraa saheb badee haseen peshkash hai dili daad qubool farmaayen

Saini sahab ....  hauslafzaayee ka ehsaanmand hoon aur apke saath ke liye tah e dil se shukrguzaar hoon
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: November 03, 2012, 06:42:37 PM »
kya baat hai zarra jee behad umda ghazal hai, sabhi ashaar
khoobsurat rahe. yoindia par itna shandaar kalaam kam hi padhne ko milta hai...itni shandaar ghazal hai ke andaza lagana mushkil hai ke hasile ghazal shair konsa hai... dherrrroooonnn daaaaaaaaad qubool kijiye aur ek rau bhi.....


Janaab Aarish ji ... Bas ye apki nazar e inayat aur badappan hai ki apne is ko kisi layak samjha. Jis tarah apne bande ki hauslafzaayee ki uske liye behad shukrguzaar hoon aur apki daad sar ankhon pe rakhta hoon.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: November 03, 2012, 06:43:37 PM »
bahut khoob, dhero dad

Apka bahaut bahaut shukriya nandbahu ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: November 03, 2012, 06:44:18 PM »
nice

Thanks manoj ji
Logged
mkv
Guest
«Reply #13 on: November 03, 2012, 07:02:21 PM »
aadaab zarraa saheb
bahut hi dilkash ghazal pesh kee hai aapne.
dil daad qubool farmaayen
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: November 03, 2012, 07:03:20 PM »
super creation  Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Thank you ripan ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:38:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer