Musafir Tufaano Se Kab Ghabraye Hai "Khwaish"

by khwaish on November 05, 2011, 12:10:53 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2304 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Dil Naa-Umeed Toh Nahin, Nakaam Hi To Hai!!!
Lambii Hai Gham ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai…
          ~~Faiz Ahmed faiz~~

The Heart is Not Hopeless,
It has just Lost this Fight,
And Though the Night is Long
Remember It is Just a Night.(Meaning it will end For Sure)



Yeh Sher Mere Kisi Apne Ne Mujhe Kaha Tha jab Main bahut
Maayus Tha Kuch Duniyavi Baaton Ko Lekar.Phir Waqt Guzarta
Gaya, Halaat Badalte Rahe,Aur Aaj Zindagi Ka Aaena Kuch Aur
Kehta hai..!!!Yeh Ek Aisi Haqeeqat Hai
Jisse Main Bahut Kareeb Se Rubaroo Hua Hoon..
 Kuch Aise jazbaat Jo Aap Beeti Hai..
Zaroor Waqt
Dijiyega....


Kal Tak Jo The Apne Aaj Paraye Hai
Apno Ne hi Apno ke Dil Dukhaye Hai

Roshan Savera Bhi Kahan Naseeb Hai usse Ab!
 Jisne Na Jaane Kitno Ke Dil jalaye Hai

Isse Bada Zindagi mein Koi Gham Nahi Yaaron!!
Jo Apne Dard Par Khul ke Bhi Na Ro Paye hai

Main Jaanta Hoon Tanha Rehne Ka Woh Dard!!!
Ashq Aankhon mein Chupakar Hum Muskuraye Hai

Badle Mein Roshni Ke Humein Mile Andhere...!!!
Par Afsos nahi Musafir Tufaano Se Kab Ghabraye hai

Yeh Zindagi Bahut Lambi Hai Eh Mere Dost....!!!!
Woh Khwab Zaroor poore Honge Jo Aankho Mein Jhilmilaye Hai

"Khwaish" Muflisi Jaisi Bhi Ho Umar Bhar Saath Nahi Rehti!!!
Khuda Ka Shukar Hai,Hum Woh Daur Bhi Guzaar Aaye Hai

                ~~~~Khwaish~~~~~
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: November 06, 2011, 01:45:38 AM »
Bahut Dard bhare ehsaas hai is gajal me.
Bahut khoob Khwaish ji

baar baar kyo yahi afsaana dohraaya jata hai
ulphat ka vaada kisi se aur
hamsafar jindgi me kisi aur ko banaya jata hai


Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #2 on: November 06, 2011, 04:37:37 AM »
Dil Naa-Umeed Toh Nahin, Nakaam Hi To Hai!!!
Lambii Hai Gham ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai…
          ~~Faiz Ahmed faiz~~

The Heart is Not Hopeless,
It has just Lost this Fight,
And Though the Night is Long
Remember It is Just a Night.(Meaning it will end For Sure)



Yeh Sher Mere Kisi Apne Ne Mujhe Kaha Tha jab Main bahut
Maayus Thi Kuch Duniyavi Baaton Ko Lekar.Phir Waqt Guzarta
Gaya, Halaat Badalte Rahe,Aur Aaj Zindagi Ka Aaena Kuch Aur
Kehta hai..!!!Yeh Ek Aisi Haqeeqat Hai
Jisse Main Bahut Kareeb Se Rubaroo Hua Hoon..
 Kuch Aise jazbaat Jo Aap Beeti Hai..
Zaroor Waqt
Dijiyega....


Kal Tak Jo The Apne Aaj Paraye Hai
Apno Ne hi Apno ke Dil Dukhaye Hai

Roshan Savera Bhi Kahan Naseeb Hai usse Ab!
 Jisne Na Jaane Kitno Ke Dil jalaye Hai

Isse Bada Zindagi mein Koi Gham Nahi Yaaron!!
Jo Apne Dard Par Khul ke Bhi Na Ro Paye hai

Main Jaanta Hoon Tanha Rehne Ka Woh Dard!!!
Ashq Aankhon mein Chupakar Hum Muskuraye Hai

Badle Mein Roshni Ke Humein Mile Andhere...!!!
Par Afsos nahi Musafir Tufaano Se Kab Ghabraye hai

Yeh Zindagi Bahut Lambi Hai Eh "Dost",Woh Khwaab Zaroor
 Poore Honge Jo Aankho Mein kabhi Jhilmilaye Hai

"Khwaish" Muflisi Jaisi Bhi Ho Umar Bhar Saath Nahi Rehti!!!
Khuda Ka Shukar Hai,Hum Woh Daur Bhi Guzaar Aaye Hai

                ~~~~Khwaish~~~~~

khuwais ji ,,,har lafz par dher sare daad ke haqdaar hain ap ,,,,bakai ,,,isse padhkar laga ki,,,udaasi bhari kali ghani raat mai ek assa ki kiran jagai hai aapne ,,fir se jeene ka hausla kayam rahne diya hai apke in nayab ahisaason ne ,,,bahut khub ,,,,peskash hai ,,,,,keep writting 4ever
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: November 06, 2011, 11:40:34 AM »
Bahut Dard bhare ehsaas hai is gajal me.
Bahut khoob Khwaish ji

baar baar kyo yahi afsaana dohraaya jata hai
ulphat ka vaada kisi se aur
hamsafar jindgi me kisi aur ko banaya jata hai




Aapne Apna keemti Waqt Diya, Aapka Bahut Bahut Shukriya Mkv ji..Yuhi saath Nibhaate Rahiyega icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: November 06, 2011, 11:47:16 AM »
khwaish ji,Bahut dard bhara,lekin khoobsurat kalaam hai.Aur ash'aar  maein kai haqeeqaton ki tarjumaani hai.Mubarakbad qubool karein.Hasan]
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: November 06, 2011, 01:10:07 PM »
Dost,
Aksar hum ek kalam parrte hai aur ek ya do shaer behad choo jate hai..
Iss kalam ka har ek shaer mujhe choo gaya..
Apne ANMOL jazbaton ko piroya hai..Main bata nahin sakta kitni khubsoorat
kalam kahi hai apne..Koi mol nahin hai iss kalam ka..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: November 06, 2011, 06:49:15 PM »
Khawahish Jee Aadaab!


Janab aapki yeH kalaam behad houNsla bakhshti hai...
Aapne jo presentation diya jo Qita meiN sher kaha ..
Bahut achcha raha.. Aur waqai mayus diloN ko aapki
yeH kalaam houNsla bakhne meiN madatgar sabit hoNgi.. Usual Smile

Waise puri kalaam hume behad achchi lagi.. ahsaas O
khayaal khoob rahe aur ashar bhi achche kahe hai aapne... Usual Smile

par hume yeH ashaar behad umdaa laga..
Is ashaar par hazaaroN dili daad hazir hai janab..Usual Smile



Isse Bada Zindagi mein Koi Gham Nahi Yaaron!!
Jo Apne Dard Par Khul ke Bhi Na Ro Paye hai


Likhate rahiye.. Aate rahiye.. Aapse bazm ki
ronak hai ... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 07, 2011, 07:40:54 AM »
khuwais ji ,,,har lafz par dher sare daad ke haqdaar hain ap ,,,,bakai ,,,isse padhkar laga ki,,,udaasi bhari kali ghani raat mai ek assa ki kiran jagai hai aapne ,,fir se jeene ka hausla kayam rahne diya hai apke in nayab ahisaason ne ,,,bahut khub ,,,,peskash hai ,,,,,keep writting 4ever

Sunil Ji, Aapne Apna keemti waqt Diya Aapka bahut Bahut Shukriya...Agar Mera Likha yeh Kalaam kisi Ke Hauslo Ko Buland Kar Sake Usse Chale Rehne Ki Himmat De Sake To main Samjhunga Yehi Iss Kalaam ka Sabse Bada Inaam,yehi Uska haasil Hai..Izzat-Afzai ke Liye Tehhh Dilll Se Shukriya icon_flower icon_flower
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: November 07, 2011, 07:44:55 AM »

khwaish ji,

Waah waah bahut khoob kaha
hai.

Dili mubarakbaad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 07, 2011, 11:28:24 AM »
khwaish ji,Bahut dard bhara,lekin khoobsurat kalaam hai.Aur ash'aar  maein kai haqeeqaton ki tarjumaani hai.Mubarakbad qubool karein.Hasan]

Aapne Apna Waqt Diya Aapka tehhhh Dil Se Shukriya Siddiqui Ji..

Yuhi Humesha  Saath Dete Rahiyega icon_flower icon_flower
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #10 on: November 07, 2011, 02:36:56 PM »
Bhaut badiya kaha tha kisi ne aapse khwaish ji...
really the nice one
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: November 09, 2011, 11:46:12 AM »
Dost,
Aksar hum ek kalam parrte hai aur ek ya do shaer behad choo jate hai..
Iss kalam ka har ek shaer mujhe choo gaya..
Apne ANMOL jazbaton ko piroya hai..Main bata nahin sakta kitni khubsoorat
kalam kahi hai apne..Koi mol nahin hai iss kalam ka..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye!

Dost Rahim Aapka Huemsha Ki Tarah Bahut bahut Aur Bahut Shukriya...Izzat-Afzai Ke Liye Teh Dil Se Main Aapka Shukar-Guzaar Hoon icon_flower icon_flower icon_flower

Dost Yuhi Humesha Saath Dete Rahiyega
Logged
malli
Guest
«Reply #12 on: November 09, 2011, 11:53:15 AM »
Bahut hi dard hai and all lines touched my heart. wonderful creation  Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: November 13, 2011, 01:10:16 PM »
Khawahish Jee Aadaab!


Janab aapki yeH kalaam behad houNsla bakhshti hai...
Aapne jo presentation diya jo Qita meiN sher kaha ..
Bahut achcha raha.. Aur waqai mayus diloN ko aapki
yeH kalaam houNsla bakhne meiN madatgar sabit hoNgi.. Usual Smile

Waise puri kalaam hume behad achchi lagi.. ahsaas O
khayaal khoob rahe aur ashar bhi achche kahe hai aapne... Usual Smile

par hume yeH ashaar behad umdaa laga..
Is ashaar par hazaaroN dili daad hazir hai janab..Usual Smile



Isse Bada Zindagi mein Koi Gham Nahi Yaaron!!
Jo Apne Dard Par Khul ke Bhi Na Ro Paye hai


Likhate rahiye.. Aate rahiye.. Aapse bazm ki
ronak hai ... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile



Parwaaz Ji Aapka Teh Dil Se Shukriya Jo Aapne Apna Waqt Diya..Behad Khushi Hoti Hai Mujhe Jab Aap Humari Likhi Kalaamo Ko Apna Waqt dete Hai..Yuhi Humesha Saath Dete Rahiyega..Aapka Phir Se Bahut Bahut Shukriya icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: November 13, 2011, 01:40:38 PM »
khwaish ji,

Waah waah bahut khoob kaha
hai.

Dili mubarakbaad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 

Aapka Tehh Dil Se Shukriya Satishji  icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:21:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer