- Muskura Nahin Rahe -

by Meena is back on March 19, 2007, 02:19:33 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1664 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: March 21, 2007, 03:33:11 PM »
Quote from: "Meena is back"
ek nayi koshish...

Lab pe hasi hai par dil se hum muskura nahin rahe,
Ankhon me samundar hai jisse hum baha nahin rahe,

Kahi kahaniyan, kahi dard dabaye hai is dil me humne,
Hogaye purane woh afsane jine hum suna nahin rahe,

Door se dekhoge hume, to kush dikhayi denge hum,
Par mile hai apno se aise zakhm jine hum dikha nahin rahe,

Rah-e-zindagi ko chahiye aab sirf maut ki gaud "Meena",
Zinda lash hai hum phir bhi log hume jala nahin rahe!



Very very touchy Meena ji.. Nice reading you..
Esp. following lines too good... keep up...
_____________________________________________

Kahi kahaniyan, kahi dard dabaye hai is dil me hamne
Hogaye purane woh afsane jine hum suna nahin rahe,
____________________________________________


"Roja" tum jalthi rahi shamma ki tarah,
Woh bhi tadapta raha mere intezar main..
Wohi milan, mili judayee hai,
Her din tadapthi rahi unke pyar main..!!
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUM JO MUSKURA RAHAY HO........ by muneeb in Shayri-E-Dard
(¨`v´¨)Kyun Aapko Hum Bhool Nahin Paa Rahe Hain(¨`v´¨) by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard
~~~~~ THORA SA MUSKURA DO ~~~~~ by kashiif in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Muskura diya by CoolGirl in Shayri for Khumar -e- Ishq
kyooN muskura rahe ... Zarraa by zarraa in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Meena is back
Guest
«Reply #16 on: March 28, 2007, 12:35:04 PM »
shukriya roja ji Usual Smile nice one!!

manjoor tha hume tadapna unki judai me,
par jee nahin payenge hum ki hui bewafai me,
aab to bas maut ko bulate hai har roz "Meena",
aba der na hogi is rooh ki vidai me!
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: March 28, 2007, 12:44:53 PM »
Kya baat hai Meena,

Har dil main tooti deewrain nazar aati hain
Kyun har aankh main aansuon ki jhadi hai
Mohhabaton par se yaqeen uth sa chala
Bewafai ki aag kyun har dil main lagi hai
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #18 on: March 28, 2007, 12:49:12 PM »
wah bohot khoob!!!

vishwas ke daage jab toote hai,
tab hi deewaren uthti hai,
jisse apni zindagi samajhte hai hum,
uski bahon me bhi dadkane gutti hai!
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: March 28, 2007, 12:54:15 PM »
Hum ho gaye ruswa jinki mohabbat main aaj
Wo khade hain mehfil main muskura rahe hain
Ghum phir bhi na hota jo baat hoti yahi khatm
Wo zamane ke sang teer-e-tanz chala rahe hain !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #20 on: March 29, 2007, 12:24:39 PM »
mind blowing talat kuddiye!!!!!

kar rahe hai woh aaj hume badnam gali gali,
jiske liya kabhi lad pade the woh zamane se,
kabhi humari dukh me dukhi hone wala humdard,
aaj laga hai humari himmat aur mihabbat azmane me!
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: March 29, 2007, 10:43:24 PM »
Thank You Meenu Usual Smile Good one

Humnawa dekhe hain humne badalte hue
Zamane ke rivaaj se aaj hum wakhif hue
Dost mila karte the jo, jaan lutaane waale
Dekha unhi ko haath main khanjar liye hue !!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #22 on: March 30, 2007, 06:26:44 PM »
Quote from: "Meena is back"
ek nayi koshish...

Lab pe hasi hai par dil se hum muskura nahin rahe,
Ankhon me samundar hai jisse hum baha nahin rahe,

Kahi kahaniyan, kahi dard dabaye hai is dil me humne,
Hogaye purane woh afsane jine hum suna nahin rahe,

Door se dekhoge hume, to kush dikhayi denge hum,
Par mile hai apno se aise zakhm jine hum dikha nahin rahe,

Rah-e-zindagi ko chahiye aab sirf maut ki gaud "Meena",
Zinda lash hai hum phir bhi log hume jala nahin rahe!



wahhh kya baat hai sis....zinda laash hain fir bhi log hamein jala nahi rahe...bohat ache.TalaT aapne bhi bohat acha likha hai...

"Ek kahani banke reh gaya hai wo afsaana mera,
     na jaane kahan chod k aayi hun wo nazrana mera,
     jahan nas-nas me meri mohabbat raha karti thi,
     kabhi in nazron se hi muskuraahat chalka karti thi,
     kyon aaj ye lab muskura nahi rahe,main nahi janti,
     kuch bhi mehsoos kar nahi rahe,kya ban gai zindgi,
     pathar dil banke reh gayi hun,haal kuch yun hai mera,
     na raaton ki khabar hai,na ab meri zindgi me savera,
     chaah bohat kuch rahi hun par kar nahi paa rahi,
     kaun si wo raah hai,jise main dhoond nahi paa rahi."
Logged
Jiya
Guest
«Reply #23 on: March 31, 2007, 06:20:53 AM »
Quote from: "Meena is back"
ek nayi koshish...

Lab pe hasi hai par dil se hum muskura nahin rahe,
Ankhon me samundar hai jisse hum baha nahin rahe,

Kahi kahaniyan, kahi dard dabaye hai is dil me humne,
Hogaye purane woh afsane jine hum suna nahin rahe,

Door se dekhoge hume, to kush dikhayi denge hum,
Par mile hai apno se aise zakhm jine hum dikha nahin rahe,

Rah-e-zindagi ko chahiye aab sirf maut ki gaud "Meena",
Zinda lash hai hum phir bhi log hume jala nahin rahe!


wah meena ji bohot hi khub likha hai aapne,daad haazir hai.
kaafi geherai se apne ehesaas likhe hain aapne
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #24 on: April 04, 2007, 09:45:48 AM »
Quote from: "Meena is back"
ek nayi koshish...

Lab pe hasi hai par dil se hum muskura nahin rahe,
Ankhon me samundar hai jisse hum baha nahin rahe,

Kahi kahaniyan, kahi dard dabaye hai is dil me humne,
Hogaye purane woh afsane jine hum suna nahin rahe,

Door se dekhoge hume, to kush dikhayi denge hum,
Par mile hai apno se aise zakhm jine hum dikha nahin rahe,

Rah-e-zindagi ko chahiye aab sirf maut ki gaud "Meena",
Zinda lash hai hum phir bhi log hume jala nahin rahe!



waah Meena -Ji mind blowing ....  as usual .... bahut der baad aapki poem pe reply dene ke liye hum muafi chahte hain ... actually .....  baad mud'dat ke iss mehfil mein aana hua ...... zindgi ki uljano mein thoda ulje rhe aur kucch karne ka mouka nhi mila ..... khiar yeh sab to chalta hi rhega ...  aap ki tehreer bahut pasand aayi .... kucch hamari taraf se bhi!!


Samjate hai tere jazbatoon ko 'e mere humkadam
Afsoos, tere ansoon apni ankhon se bha nahin sakte

Yeh to majboriyon ne rok diye panv hamare, warna
kiski kasam hai humko ke tere paas aa nahin sakte

Milne ko to aur kya kya na mila hai humko phir bhi
Ranj yhi hai kismat se apna ke tumko pa nahin sakte

Kyunkar na uthegi lash hamari tere janaze ke sath
Tere bina ik saans bhi iss jism mein laa nahin sakte !!


HumTum
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: April 04, 2007, 08:11:50 PM »
wowowow bahoot khoob Meena and Humtum ji.... hamesha ki tarah lajawab...

bahoot khuishi hui apko mehfil mai wapis dekh kar!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #26 on: April 05, 2007, 05:21:39 AM »
Gr8 Meena. niraj n all u guys..
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #27 on: August 29, 2007, 11:15:10 AM »
nice talat, nidhi!!

thanx Jiya!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #28 on: August 29, 2007, 11:16:59 AM »
Quote from: "HumTum is back"

waah Meena -Ji mind blowing ....  as usual .... bahut der baad aapki poem pe reply dene ke liye hum muafi chahte hain ... actually .....  baad mud'dat ke iss mehfil mein aana hua ...... zindgi ki uljano mein thoda ulje rhe aur kucch karne ka mouka nhi mila ..... khiar yeh sab to chalta hi rhega ...  aap ki tehreer bahut pasand aayi .... kucch hamari taraf se bhi!!


Samjate hai tere jazbatoon ko 'e mere humkadam
Afsoos, tere ansoon apni ankhon se bha nahin sakte

Yeh to majboriyon ne rok diye panv hamare, warna
kiski kasam hai humko ke tere paas aa nahin sakte

Milne ko to aur kya kya na mila hai humko phir bhi
Ranj yhi hai kismat se apna ke tumko pa nahin sakte

Kyunkar na uthegi lash hamari tere janaze ke sath
Tere bina ik saans bhi iss jism mein laa nahin sakte !!


HumTum


chalo der se hi sahi par likha to hai na...shukriya janab...apne bhi bohot khoob likha hai!!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:44:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer