muskurahat meri

by anjani_si on November 12, 2006, 04:57:41 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Author  (Read 4471 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #30 on: November 27, 2006, 03:23:04 PM »
Ehsaas Ehsaas me humne yeh Zindagi Gawa dee......
Ab rone se bhi kya Faida Badnaam......
Tarannum ne toh unki sab Yaadein bhi mita dee......


Agar hota pata hume yeh sab pehle.......
Toh kon Husn se Dil lagata......

Jala dete khambhakht ko hum......
Par tab bhi yeh tum binn kabhi Jee nahi pata.........!!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
muskurahat by mnajmi in Shayri-E-Dard
Voh meri muskurahat par nisar ho gaye by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Teri muskurahat meri dhadkan by siddharth in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*~ Woh meri muskurahat legaya ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghar mein meri bitia ki muskurahat by SURESH SANGWAN in Ghazals
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #31 on: November 28, 2006, 05:40:23 AM »
nice faree ji ,nice xpression.........& gaurav bhai nice 1 indeed............

jis pal se usne hai meri chahat se apna muh moda
mere labo ne khamoshi ka daman hai tab se odda

chup ho gayi hai nigaahein bhi hoker tanha is   qadar
uthaati nahi hai palke ,hai ashko ka bhi saath choda

luta di apni hasti usne ,sirf meri khusiyo ke liye
per uske bina bus gumo ne mujhse hai naata joda

kehne ko to unki jafaoa ke charche the sareaam
per unki  eklauti wafa ne hi mera nazuk dil hai toda

.................................@fahi@........................................
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #32 on: November 29, 2006, 10:51:57 PM »
uske bina abbh sabh suna suna laghta hai
haste hain yeh labh magar dil rota hai

mujhe jabse usne hai akela chora
aisa laghta hai maine ghum se nata hai jora

kehti hai zubaan kuch, magar yeh khwahishein khamosh hain
sunati hai dil mera koyi afsana tu hum rote hain

jabh hastein hain yeh labh tu uski yaad atti hai
uske bina yeh muskan bhi adhori laghti hai :D:D:D:D
Logged
FAREE
Guest
«Reply #33 on: November 30, 2006, 08:16:22 PM »
Quote from: "anjani_si"
uske bina abbh sabh suna suna laghta hai
haste hain yeh labh magar dil rota hai

mujhe jabse usne hai akela chora
aisa laghta hai maine ghum se nata hai jora

kehti hai zubaan kuch, magar yeh khwahishein khamosh hain
sunati hai dil mera koyi afsana tu hum rote hain

jabh hastein hain yeh labh tu uski yaad atti hai
uske bina yeh muskan bhi adhori laghti hai :D:D:D:D
kyun hume tere aane ka intzar besabab hai
in ankhon me sirf tere hone ka khwaab hai
najaane mulakaat kaisi hogi humari
jab milne se pehle tumse mohobbat behisab hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #34 on: December 07, 2006, 11:31:24 PM »
milke yunh muskura denge
tere chehre pe bhi muskan la denge
mohabbat ki koyi haad nahi hogi
isse dil ki koyi sarhad nahi hai
muskura denge,,,,tujhe bhi hassa denge :D
Logged
FAREE
Guest
«Reply #35 on: December 08, 2006, 06:15:20 PM »
Quote from: "anjani_si"
milke yunh muskura denge
tere chehre pe bhi muskan la denge
mohabbat ki koyi haad nahi hogi
isse dil ki koyi sarhad nahi hai
muskura denge,,,,tujhe bhi hassa denge :D
Apnay Ahsas Say Choo Kar Mujhay Sandal Kar Do
Main Sadiyon Say Idhoora Ho Mukamal Kar Do
Na Tumhay Hoosh Raha Na Mujhay Hoosh Raha
Iss Qader Toot Ker Chaho K Mujhay Pagal Kar Do
Tum Hathali Ko Mara Pyaar Ki Mehndi Say Rang Do
Apni Ankhon Main Mara Naam Ka Kajal Kar Do
Dhoop Hi Dhoop Hon Main Iss Tarha Too Kar Bersoo Mujh Per
Main To Sehra Ho Mujhay Pyaar Ka Badal Kar Do
Iss K Saya Main Mara Khawab Mahek Jayin Ga
Mare Chehray Per Umeddon Ka Anchal Kar Do
Apna Honton Ki Moher Lagaoo Mujh Per
Ek Nazer Pyaar Say Deakho Mujhay Ghayal Kar Do
Logged
paani
Guest
«Reply #36 on: December 09, 2006, 04:51:44 AM »
Nice Anjani
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #37 on: December 09, 2006, 05:02:57 AM »
teinku :D
Logged
FAREE
Guest
«Reply #38 on: December 10, 2006, 06:23:28 PM »
mohabbat ki hawa chalati hai, har patte ko hawaa lagti hai,
inkar kare wo chaahe kitna, seene main aag to sulagti hai...

tere naam se saans chati hai,yaadon me shaam dhalti hai,
kabhi wafaon ki doli utthi, kabhi armanon ki artthhi sajti hai..

saaki hum tere dar pe ate hai, pine nahi use bhulne ate hai,
aur tu deke du'haai usi be'wffa yaar ki, har jaam bharti hai...

katl karna tha to khanjar se kiya hota, jaan nikalti ek hi bar,
til-til marta dekh hanske kahate hai log, lash bhi marti hai....

are bedardi!! chala to gaya magar khata kya hui ye batata,
kami thi meri wafa me? ye saval kar kar ke ruh pighalti hai..

sarmaya de gaya dukhon ka, khushiyan uu’dhaar le gaya,
na aana samne, tujhe dekhne se nazar bhi sharm karti hai…

tabaahii kaa aalam dekh dekh tuu muskuaata raha wahan,
sab jal gayaa “Faree”,rakh karke ab sirf dhunva utth'ti hai.
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #39 on: December 11, 2006, 10:26:02 PM »
rely nice!!! :D:D:D

mohabbat ki gali mein humne bhi choth laghi hai
teri ashiqi mein.....humhe bhi aagh laghi hai...

haar pal...tujhe sirf yeh sans yaad karti hai
na milne par meri jaan nikalti hai

juda hokar tujhse meri ankhoin se ansu ki barat nikalti hai...
dekh ke tujhe yeh hassi rangh badalti hai...

dard ki mehfil mein meri teri kahan sajh thi hai...
dekh ke tujhe haar kisi ki jaan nikalti hai ....

meri barat ke bahane mera janaza uth tha hai...
tujhe dorh dekh ke haar pal mauth marti hai :D
Logged
FAREE
Guest
«Reply #40 on: December 11, 2006, 10:45:41 PM »
Thank You


Salam!
i m fine n h r u?main tu day time office aur night time yaheen hota hoon.



dil ki dhadkano per hai jiska pehra
khayalon mein bhi hai ushi ka basera
khwabon mein hai uska aana jaana
aankhon me chupa hai ek undekha chehra

yaad hai mujhe woh pehli mulaqaat
chupke se thama tha usne haath mera

kabhi mile tha kahin ek sune saahil per hum
woh khamosh lehrein, woh mausam sunehra

pagal hai woh ya deewaana koii
khud ko bulata hai chaand mera

raaton ko meri jis ne kiya hai roshan kaash...
din me aaker woh door ker de yeh andhera
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #41 on: December 11, 2006, 10:52:35 PM »
mere saath chalte chalte kahan rokh gaya tum
mere saath jeete jeete kahan chor gaye tum...

meri dholi uthate uthate....janaza legaye tum
mehndi se naam apna rachate rachate kahan ghoom gaye tum....

hum muskurate muskurate kahan chor aye mukurahat apni tum....
mujhe se wafa dar karte karte kahan bewafa ban gaye tum....

saath dene ka wada kar ke kyun morh aye tum
rasta dhoondhte dhoondhte kahan ghoom hogaye tum.....

dil laghate laghate kahan pe chor aye tum....
yunh maarte maarte kyun aye tum....
dekh ke meri halat kyun laut gaye tum....

aikh e-shara kar ke kyun chale aye tum....:D
Logged
Tosha
Guest
«Reply #42 on: December 11, 2006, 11:09:51 PM »
Quote from: "anjani_si"
isse duniya ki bheerh mein kho gayi hoon
meri muskurahat isse be-dard zindagi mein kho gayi hoon

na jaane kaunsi manzil dhoondh rahi hoon
na jaane kis raaste pe chalne laghi hoon

pohrani yaadoin ke sahare jeeye ja rahi hoon
usse haasi ko maine dhoond rahi hoon

jazbaat hain, lekin lafz dhoond rahi hoon
dhadkhan hai,,,magar dil dhhond rahi hoon

ansu hain,,,maghar nighayein milane ke liye dhoond rahi hoon
ansu ko anmol moti samajhti hoon

hont hai lekin woh muskurahat nahi....
labh hain lekin woh muskan nahi.....
ankhein hai lekin woh nazara nahi.....

muskurahat meri isse bheerh mein kho gayi hai......
isse be rukhi si duniya mein ANJANI kho rahi hai.....
na jaane kis bheerh mein ANJANI anjan ho gayi hai.....

:D:D:D


amazing chuttki!!! :twisted:
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #43 on: December 11, 2006, 11:12:32 PM »
Quote from: "Tosha"
Quote from: "anjani_si"
isse duniya ki bheerh mein kho gayi hoon
meri muskurahat isse be-dard zindagi mein kho gayi hoon

na jaane kaunsi manzil dhoondh rahi hoon
na jaane kis raaste pe chalne laghi hoon

pohrani yaadoin ke sahare jeeye ja rahi hoon
usse haasi ko maine dhoond rahi hoon

jazbaat hain, lekin lafz dhoond rahi hoon
dhadkhan hai,,,magar dil dhhond rahi hoon

ansu hain,,,maghar nighayein milane ke liye dhoond rahi hoon
ansu ko anmol moti samajhti hoon

hont hai lekin woh muskurahat nahi....
labh hain lekin woh muskan nahi.....
ankhein hai lekin woh nazara nahi.....

muskurahat meri isse bheerh mein kho gayi hai......
isse be rukhi si duniya mein ANJANI kho rahi hai.....
na jaane kis bheerh mein ANJANI anjan ho gayi hai.....

:D:D:D


amazing chuttki!!! :twisted:


teinku teinku :cool:

appne nahi likha....not fair didi.... :evil:
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #44 on: December 18, 2006, 03:03:09 AM »
Quote from: "FAREE"
Thank You


Salam!
i m fine n h r you?main tu day time office aur night time yaheen hota hoon.



dil ki dhadkano per hai jiska pehra
khayalon mein bhi hai ushi ka basera
khwabon mein hai uska aana jaana
aankhon me chupa hai ek undekha chehra

yaad hai mujhe woh pehli mulaqaat
chupke se thama tha usne haath mera

kabhi mile tha kahin ek sune saahil per hum
woh khamosh lehrein, woh mausam sunehra

pagal hai woh ya deewaana koii
khud ko bulata hai chaand mera

raaton ko meri jis ne kiya hai roshan kaash...
din me aaker woh door ker de yeh andhera


vry niceeeeeeee
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:58:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer