MUTHI MEIN BHAR KAR DHOOL, HAWA MEIN UCHAAL DI......

by khwaish on October 04, 2008, 12:31:35 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Author  (Read 9685 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Duniya Ke Ek Fakir Ne Kuch Yuh Misaal di,
Muthi Mein Bhar Ke Dhool Hawa Mein Uchaal di

Woh Jo Dosti Ki Kasme Khaate Firthe The,
Aaj Mile To Aapas Mein,Haath Tak Na Mila Sake,
Shukar hai Uss Khuda Ka "KHWAISH"
Yeh Manzar Dekh kar, Tune is Dil Se,
Dosti Karne Ki Hasrat Hi Nikaal di....

Mere Yaar ne Mujhe Aazmaana Bhi Chaha To Kuch Iss Tarah,
Kal Mulaakat Hogi Kehkar Woh To Chal Diye,
Unhe Kya pata, Uss Pal Ke Intezaar mein,
Inn Aankhon Ne Raat Jaag Kar Guzaar di....

Na Puch Mujhse,Kya Mila Mujhe Meri Waffa Ka Sila!!!
Peeche Se Mere Peet Mein Kiya Uss Shaks Ne Waar,
Jisko Maine Zindagi Ke Iss Jung Mein,
Khud Apni Dhaal Di...

Log Puchte Rahe "KHWAISH",
'Bata Dost aur Dushman Mein Kya Fark Hai'??
Mere Jawaab Se Kisi Apne Ka Chehra Na Utar Jaaye,
Yehi Soch Kar Maine Bhi Woh Fakir Ki Misaal Di..

MUTHI MEIN BHAR KE DHOOL,HAWA MEIN UCHAAL DI....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: October 04, 2008, 12:48:04 PM »
bahoot khoob.....khwaish ji
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #2 on: October 04, 2008, 01:14:01 PM »
khoob likha hai apne khwaish ji. Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: October 04, 2008, 01:27:08 PM »
aapki pehli 2 line bohat bohat wazan rakhti hain par uske fauran baad aapne line 5 kar di aur uske baad 4 line aapke is kalam me sirf yeh cheeze mel kha rahi jisne bohat mushkil is kalam ko jod ke rakha hain pehli uchaal nikaal dhaal aur misaal.

aapki soch bohat khoobsurat hain bohat umda hain aur ghazal ek soch se hi banti hain bas aap agar thoda lafzo se khelna seekh jaye to maza aa jaye. plz dont mind i would advise you to take some tips from abd saheb he would really help you in this regard.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: October 04, 2008, 03:23:43 PM »
bahut bahut shukriya bekararji, saurabhji & sajid saab..

thankyou sajid saab for appreciating and for your kind words and sugesstions..

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: October 04, 2008, 03:30:43 PM »
Barbaad yuh Deewar-0-dar Apne nahi hote,
kuch log lootero mein gar apne nahi hote...

Yeh Zindagi hum jeete hai unke liye,
jinhe Hum Apna samajte hai par Woh Apne nahi hote....

Pinjre mein Band, Azaadi ke liye tadapta raha ek Parinda,
Sach hi kehte hai, Paale hue panchi ke pankh bhi Uske apne nahi hote....

Makaan Aalishaan ban bhi jaaye to kya haasil "KHWAISH"
Bin apno ke Makaan to ban jaate hai par woh Ghar nahi hote....

"KHWAISH" Keh Jaata hai woh sach jo dil mein hota hai,
Naap-Tol ke Kehne wale kabhi Sache nahi hote.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: October 04, 2008, 04:34:47 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob khwaish ji
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #7 on: October 04, 2008, 04:49:38 PM »


Mere Yaar ne Mujhe Aazmaana Bhi Chaha To Kuch Iss Tarah,
Kal Mulaakat Hogi Kehkar Woh To Chal Diye,
Unhe Kya pata, Uss Pal Ke Intezaar mein,
Inn Aankhon Ne Raat Jaag Kar Guzaar di....

Na Puch Mujhse,Kya Mila Mujhe Meri Waffa Ka Sila!!!
Peeche Se Mere Peet Mein Kiya Uss Shaks Ne Waar,
Jisko Maine Zindagi Ke Iss Jung Mein,
Khud Apni Dhaal Di...

MUTHI MEIN BHAR KE DHOOL,HAWA MEIN UCHAAL DI....


Wah wah bhai bahut hi accha likha hai aapne.
Logged
Kanta
Guest
«Reply #8 on: October 04, 2008, 04:54:46 PM »
acha likha he khwaish but ye fakir ka misal jara explain kero?
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: October 04, 2008, 05:15:22 PM »
 Applause Applause Applause

Bohat khoob khwaish ji kamaal ka likha hai aapne... Thumbs UP
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 04, 2008, 07:58:06 PM »
acha likha he khwaish but ye fakir ka misal jara explain kero?

Thankyou for Appreciating Kantaji..

Aapne yeh poetry padhi hai, isme insaan ke jazbaaton par roshni daalne ki koshish ki gayi hai..

Woh insaan jisne gehri dosti ko apni aankhon ke saamne toothte hue dekha

Jisne mohabbat mein khud ko tadapte hue Dekha,

jisne zindagi ki ladaai mein apno se chot khai ho...

Yeh ek imagination hai ki uss par jo beeti hai, wahi jaanta hai..

YAHA PAR EK FAKIR KI BAAT KI GAYI HAI, KE JAB UNSE YEH SAWAAL PUCHA GAYA KI INSAANI RISHTE KITNE MAZBOOT HOTE HAI?? KYA YEH RISHTE HAR HAAL MEIN NIBH JAATE HAI??

TO USS FAKIR NE ISKA  JAWAAB EK MISAAL KE ROOP MEIN DIYA : INSAANI RISHTE DHOOL  KI TARAH HOTE HAI, HAWA (MUSHKILE) KA SAAMNA KARNA PADE TO KAYI RISHTE UMAR BHAR SAATH NAHI DE PAATE HAI,WOH DOST YA WOH APNE BHI MUSHKILO MEIN APNO KA SAATH CHOD JAATE HAI...

......
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: October 05, 2008, 07:03:55 AM »
Bin apno ke Makaan to ban jaate hai par woh Ghar nahi hote....



 Applause ApplauseKHWAISH ji'
Banaa key aashiyaan, samjhaa thaa, ab woh aayengey:
Aur, lamhoun mein, isey apnaa ghar banaayengey;
Magar, wo aaj bhi ghar ban naheen sakaa hai, 'abd',
Aaj hi, un ki khabar aayi hai, "Bataayengey"!!

                                  - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: October 05, 2008, 07:22:38 AM »
bohat khoob abd jee
Bin apno ke Makaan to ban jaate hai par woh Ghar nahi hote....



 Applause ApplauseKHWAISH ji'
Banaa key aashiyaan, samjhaa thaa, ab woh aayengey:
Aur, lamhoun mein, isey apnaa ghar banaayengey;
Magar, wo aaj bhi ghar ban naheen sakaa hai, 'abd',
Aaj hi, un ki khabar aayi hai, "Bataayengey"!!

                                  - abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: October 05, 2008, 08:08:52 AM »
sajid_ghayel ji,
Deykhtaa hoon, haweyliyaan hazaar bantey huye:
Kaamgaaroun ki fouz, jin ko ham sataatey hain!
Un kaa ghar ban naheen paataa hai kabhi bhi shaayad;
Anginat log doosroun ka ghar banaatey hain!!

                              - abd bundeli
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 05, 2008, 10:04:53 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob khwaish ji

Thankyou So Much Pooja..

ur appreciation is valued a lot.. icon_salut
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:59:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer