MUTHI MEIN BHAR KAR DHOOL, HAWA MEIN UCHAAL DI......

by khwaish on October 04, 2008, 12:31:35 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 9683 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: October 05, 2008, 10:12:32 AM »
Wah wah bhai bahut hi accha likha hai aapne.

Thankyou So Much Sonia..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: October 05, 2008, 10:14:15 AM »
Applause Applause Applause

Bohat khoob khwaish ji kamaal ka likha hai aapne... Thumbs UP


Teh Dil se Shukriya Honeyrose..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: October 05, 2008, 10:19:36 AM »
Bin apno ke Makaan to ban jaate hai par woh Ghar nahi hote....



 Applause ApplauseKHWAISH ji'
Banaa key aashiyaan, samjhaa thaa, ab woh aayengey:
Aur, lamhoun mein, isey apnaa ghar banaayengey;
Magar, wo aaj bhi ghar ban naheen sakaa hai, 'abd',
Aaj hi, un ki khabar aayi hai, "Bataayengey"!!

                                  - abd bundeli


Bahut Bahut shukriya Abdbundeli saheb..aapko hamara likha pasand aaya,  yeh jaankar behad khushi hui...

aur sach mein aapne bahut Khoob Likha Applause Applause Applause


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: October 05, 2008, 10:35:53 AM »
sajid_ghayel ji,
Deykhtaa hoon, haweyliyaan hazaar bantey huye:
Kaamgaaroun ki fouz, jin ko ham sataatey hain!
Un kaa ghar ban naheen paataa hai kabhi bhi shaayad;
Anginat log doosroun ka ghar banaatey hain!!

                              - abd bundeli


 Applause Applause Applause

Iss Duniya Mein Kuch Log Aise Bhi Hote Hai
Jo Beech Sadak Pe Sote Hai,

Unke Haathon Mein Pathar Hote Hue Bhi Woh Khush Hai,
Aur ek Hum Hai Jo Kaanch Bote Hai...

Dusro Ke Makaan Banate-Banate Unki Zindagi Guzar Jaati Hai "KHWAISH"
Halaat Aur Majbooriyon Ke Samundar Mein  Woh Khud Ko Dubote Hai....

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #19 on: October 05, 2008, 10:52:38 AM »
Applause Applause Applause

Iss Duniya Mein Kuch Log Aise Bhi Hote Hai
Jo Beech Sadak Pe Sote Hai,

Unke Haathon Mein Pathar Hote Hue Bhi Woh Khush Hai,
Aur ek Hum Hai Jo Kaanch Bote Hai...

Dusro Ke Makaan Banate-Banate Zindagi Guzar Jaati Hai "KHWAISH"
Halaat Aur Majbooriyon Ke Samundar Mein Khud Ko Dubote Hai....


khwaish ji,
Khoob likha hai! Pahlee chaar laainoun mein to khushgawaaree key yaqeenee ehsaas ki jo tasweer aap ney peish ki hai, asliyat ka lajawaab manzar nazar-e-hosh kartee hai, ki, faqeeroun kaa khyaal aataa hai!
                - abd bundeli
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #20 on: October 05, 2008, 01:59:17 PM »
Maine bi pada aur tarif ki, aapne acknowledge nahi ki?  sad10

Abdbundli jii aapne b bahut bahut accha reply di hai...  Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: October 05, 2008, 02:12:57 PM »
Maine bi pada aur tarif ki, aapne acknowledge nahi ki?  sad10

Abdbundli jii aapne b bahut bahut accha reply di hai...  Applause


Soniaji, 2nd page mein maine sabse pehle, aapko hi thanx kaha,

aapne shayad dekha nahi??

aapne hamesha encourage kiya hai mujhe, aisa ho hi nahi sakta ki main apko acknowledge na karoon..phir se keh deta hoon.thankyou so much sonia happy3
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #22 on: October 05, 2008, 02:34:51 PM »
Sonia01 ji,
Thanks a lot!
          - abd bundeli
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #23 on: October 05, 2008, 02:46:03 PM »
@
abdbundeli jii
welcome welcome jii Usual Smile

@
Khwaish jii abhi dekha maine. sorry aapka dil dukhaya to  sad7

Logged
k.shael
Guest
«Reply #24 on: October 06, 2008, 05:37:17 AM »
BAHUT KHOOB,UMADA AUR LAJAWAAB
KALAM PESH KIYA AAPNE KHAWAISH JI,
REALLY 2 NICE,
BY. K.SHAEL

HAMNE UNHE PAANE KI ZIDD APNE JEHAN SE
NIKAL DI,WO JO BADAL GAYE HAI KISI AUR
KE LIYE TO HAMNE BHI BADAL JAANE KI THAAN
LI, KAB SAK SEHTE RAHE HAM BEWAFAI KE GAMM
KO AAJ HAMNE BHI HASNE MUSKURANE KE ANDAAJ
ME BAAT KI...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #25 on: October 06, 2008, 06:08:24 AM »
Yeh duniyaa hai, jisey jannat sey aagey, ham badhhaayengey!
Mitaa kar dooriyaan saaree, sabhi nazdeek aayengey!
Na mazahab beech mein aayegaa, hongey dost sab insaan;
Ham aisaa kaarwaan-e-ishq choutarfah chalaayengey!!

                                        - abd bundeli
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #26 on: October 06, 2008, 06:48:55 AM »
bohut khoob khwaahish ji Applause
and nice lines abd ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: October 06, 2008, 06:58:56 AM »
Duniya Ke Ek Fakir Ne Kuch Yuh Misaal di,
Muthi Mein Bhar Ke Dhool Hawa Mein Uchaal di

Woh Jo Dosti Ki Kasme Khaate Firthe The,
Aaj Mile To Aapas Mein,Haath Tak Na Mila Sake,
Shukar hai Uss Khuda Ka "KHWAISH"
Yeh Manzar Dekh kar, Tune is Dil Se,
Dosti Karne Ki Hasrat Hi Nikaal di....

Mere Yaar ne Mujhe Aazmaana Bhi Chaha To Kuch Iss Tarah,
Kal Mulaakat Hogi Kehkar Woh To Chal Diye,
Unhe Kya pata, Uss Pal Ke Intezaar mein,
Inn Aankhon Ne Raat Jaag Kar Guzaar di....

Na Puch Mujhse,Kya Mila Mujhe Meri Waffa Ka Sila!!!
Peeche Se Mere Peet Mein Kiya Uss Shaks Ne Waar,
Jisko Maine Zindagi Ke Iss Jung Mein,
Khud Apni Dhaal Di...

Log Puchte Rahe "KHWAISH",
'Bata Dost aur Dushman Mein Kya Fark Hai'??
Mere Jawaab Se Kisi Apne Ka Chehra Na Utar Jaaye,
Yehi Soch Kar Maine Bhi Woh Fakir Ki Misaal Di..

MUTHI MEIN BHAR KE DHOOL,HAWA MEIN UCHAAL DI....


A wonderful creation Khwaish.....Bohot Khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Barbaad yuh Deewar-0-dar Apne nahi hote,
kuch log lootero mein gar apne nahi hote...

Yeh Zindagi hum jeete hai unke liye,
jinhe Hum Apna samajte hai par Woh Apne nahi hote....

Pinjre mein Band, Azaadi ke liye tadapta raha ek Parinda,
Sach hi kehte hai, Paale hue panchi ke pankh bhi Uske apne nahi hote....

Makaan Aalishaan ban bhi jaaye to kya haasil "KHWAISH"
Bin apno ke Makaan to ban jaate hai par woh Ghar nahi hote....

"KHWAISH" Keh Jaata hai woh sach jo dil mein hota hai,
Naap-Tol ke Kehne wale kabhi Sache nahi hote.....


Again a very good one Khwaish  Applause Applause Applause


Logged
baadal102
Guest
«Reply #28 on: October 06, 2008, 07:57:59 AM »
 Applause Applause
bahut khoob khwaish ji



Baadal
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: October 06, 2008, 07:49:18 PM »
@
abdbundeli jii
welcome welcome jii Usual Smile

@
Khwaish jii abhi dekha maine. sorry aapka dil dukhaya to  sad7



Shukar hai aapne dekha!! hum to ghabra gaye.. Shocked Even More

Thankyou
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:42:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer