my last shayari~~ SAAHIL

by salil2002 on July 24, 2009, 11:54:25 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1368 times)
salil2002
Guest
doston yeh yoindia par meri last shayari hai ..main member ab bhi rahoonga magar shayari nahin likhoonga .kyunki kucch baaton se mujhe takleef pahunchi hai asha karta hoon kii aap sab dost log mujhe yaad rakehnge......


mere doston jab dard is kadar bad jaaye
kii malham bhi dard mein izaafa kar de
tab zakhm nasoor ban jaata hai
aur log kehte hain kii oos hisse ko kaat k alag kar de

zakhm khaaye hain maine kucch yahan
magar main shikwa apno se kyun karoon ab
kucch khata meri rahi toh maaf kar dena mujhko
main begaana hoon yahan ruk k kya karoon ab

chhod jaunga chand yaadein ,kucch nazmo kii shakl mein
jab dil chahe oonhe padna aur mujhe yaad karna
bhar paaya kabhi yeh zakhm toh phir lautega " SAAHIL"
tab tak k liye mere doston mujhe maaf karna
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Saahil by Azedmeer in Critics and Review only Forum
**** HAADSA ****~~~Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
WOH SHARAABI---- SAAHIL by salil2002 in Shayri-E-Dard
Saahil~~~ Dard by salil2002 in Shayri-E-Dard
Saahil~~ Saahil by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
chitralsony
Guest
«Reply #1 on: July 24, 2009, 12:05:50 PM »
doston yeh yoindia par meri last shayari hai ..main member ab bhi rahoonga magar shayari nahin likhoonga .kyunki kucch baaton se mujhe takleef pahunchi hai asha karta hoon kii aap sab dost log mujhe yaad rakehnge......


mere doston jab dard is kadar bad jaaye
kii malham bhi dard mein izaafa kar de
tab zakhm nasoor ban jaata hai
aur log kehte hain kii oos hisse ko kaat k alag kar de
zakhm khaaye hain maine kucch yahan
magar main shikwa apno se kyun karoon ab
kucch khata meri rahi toh maaf kar dena mujhko
main begaana hoon yahan ruk k kya karoon ab
chhod jaunga chand yaaein ,kucch nazmo kii shakl mein
jab dil chahe oonhe padna aur mujhe yaad karna
bhar paaya kabhi yeh zakhm toh phir lautega " SAAHIL"
tab tak k liye mere doston mujhe vida karna
saahil bhayi jin baton sai app ko takleef ponchi ,hum bhi afsurda hain yaqeen karain kai ab yay mehfil wo nahi hai jisay hum nay join kiya tha ,hum to apnay haan kai halaat say tang aker shayeri ki duniya mai panah laitay thay nahi khaber thi kai nafratain her janib phail gayi hain,hum qalam othatay hain to lafz sath chor jatay hain,apna khyal rakhiyay ga
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: July 24, 2009, 12:12:09 PM »
Sahil aur Sony ji

aap loog itne afsurda kaun hain
ager munsib samjhain to mujh se bata dain shayed main tadaruk ker skoon

waise aap logon ke merzi hai




javed
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: July 24, 2009, 12:36:48 PM »
aesa shaayar kabhi nahin  bolta.......    saahil ji....

saahil dost, jab dard is kadar bad jaaye,
 shayar ko toh aur likhne main majaa aaye.

jisne zakham diya hai,teri raha main chalte tujhko,
apne hi shayeron se uttha ke ,apni raha se fekk le usko.

woh shaayer hi kya jiske dil main dard nahin,
woh shaayar hi kya jo likhna band karde kahin.



Logged
poppoetry
Guest
«Reply #4 on: July 24, 2009, 02:48:13 PM »
kya kahe aapse Saahil ji........chitra ji ne kha hai k ye mehfil ab pahele jaise nahi rahi....shayad aap isliye yha se ja rahe hai..lekin agar aap jaise umda shayar is mehfil ko chodne lagege to ye mehfil kaisi rahegi....kahiye Saahil ji.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: July 24, 2009, 06:43:10 PM »
Bahaut acha likha hai Salil bhaijan... Applause :clap:Hmm apko takleef ponchi hai yeh baat se bahaut dukh hua mujhe par ek baat kehna chahunga...aapki shayri ko miss karke mujhe bhi bahaut takleef hogi...Aap bahaut ache shayar hai aur bas yehi kehna chahunga likhna mat chorrna bhai...Sabse zada takat uske pas hoti hai jiske pas kalam hoti hai aur paki kalam toh MASHALLAH!!!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: July 25, 2009, 05:00:26 AM »
saahil bhayi jin baton sai app ko takleef ponchi ,hum bhi afsurda hain yaqeen karain kai ab yay mehfil wo nahi hai jisay hum nay join kiya tha ,hum to apnay haan kai halaat say tang aker shayeri ki duniya mai panah laitay thay nahi khaber thi kai nafratain her janib phail gayi hain,hum qalam othatay hain to lafz sath chor jatay hain,apna khyal rakhiyay ga
Sahil aur Sony ji

aap loog itne afsurda kaun hain
ager munsib samjhain to mujh se bata dain shayed main tadaruk ker skoon

waise aap logon ke merzi hai




javed
kya kahe aapse Saahil ji........chitra ji ne kha hai k ye mehfil ab pahele jaise nahi rahi....shayad aap isliye yha se ja rahe hai..lekin agar aap jaise umda shayar is mehfil ko chodne lagege to ye mehfil kaisi rahegi....kahiye Saahil ji.
dear frnds we all know that our site is facing a
big problem.
aise vaqt me hume saath khada hona chahiye site ke.
Dear Saahil aap purane members hain,
aur mere se bhi senior member hain.
i dn think isse mahaul acha hoga.
asha hai aap hamari baat samjhen.
poem bahot achi likhi hai aapne.

Bahaut acha likha hai Salil bhaijan... Applause :clap:Hmm apko takleef ponchi hai yeh baat se bahaut dukh hua mujhe par ek baat kehna chahunga...aapki shayri ko miss karke mujhe bhi bahaut takleef hogi...Aap bahaut ache shayar hai aur bas yehi kehna chahunga likhna mat chorrna bhai...Sabse zada takat uske pas hoti hai jiske pas kalam hoti hai aur paki kalam toh MASHALLAH!!!
aap sab doston ka shukriya aap sabne mujhe itni ahmiyat di uske liye bahut bahut shukriya.....kaash dear main yo chhod nahin raha hoon bas yahan par likhna chhod raha hoon aap sabki post par main barabar comment karta rahoonga
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: July 25, 2009, 09:30:01 AM »
Salil Aapki lines bahut hi aachi hai, magar aapne na likhne wali baat karke dil dukha diya..becoz we love to read ur poetries..baat chahe kuch bhi ho magar use itna mat bhado ki wo tumhari kalam ko rok de..plz salil don't stop writting i know u r a very intelligent person so just is it okay Huh?

i must say as my opinion it's not okay, so my advise to u is plz keep writting..

Shally.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: July 25, 2009, 09:47:11 AM »


Sahil Ji ...

YO INDIA BHI EK FAMILY HAI
YAHA HAMEY BAHUT SI KHUSHIYA MILI HAI

FAMILY MEH TOH TAKRAAR HOTEY HI RAHENGEY
KYA INSEY HUM GHABRATEY RAHENGEY ?

GHAR MEH BHI TOH HAMARE LADAYI HOTI HAI
KYA ISSEY RISHTOH MEH DOORIYAA HOTI HAI ?

BHAI BEHAN SEY HUM BHI AKSAR LADTEY HAI
KYA ISSEY HUM GHAR CHODD KEY NIKAL PADTEY HAI ?

YAHA BHI TOH EK FAMILY KI TARAH HUM MILTEY HAI
TOH KU NAHI HUM YEH LADAYI BHI EK LIFE KA HISSA SAMATJEY HAI ?

YO SEY TOH JANEY KI BAAT ABB AAP SOCHOGEY BHI NAHI
WADA KARO AISI BAAT ABB AAGEY SEY KAROGEY BHI NAHI. ...

KUCH SAMJEY MERE BHAI
BHOOL JAO WOH KAL KI LADAYI

ABB EK PYARA SI POEM SUNA DOH
HAMAREH SAB KEY DIL FIR SEY MEHKA DOH



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com


Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:58:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer