My Shayari Collection ~~Kuch Khaamosh AshQ~~ (NM)

by angel4u on May 22, 2008, 02:45:04 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 4347 times)
jhonienglish
Guest
«Reply #30 on: May 23, 2008, 11:01:59 AM »
good collection, all are really good.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch Meethi si Shayari by Kumkum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
AshQ..AshQ..likhi...Kahaani...!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
Kuch ashq hi to hai.... by manzil-e-ishq in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
angel4u
Guest
«Reply #31 on: May 24, 2008, 05:13:28 AM »
Thanks dear Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: May 25, 2008, 05:17:45 AM »



Tumhari Bheegti Palkon Se Maine Baarha Puchha,
Ke Dilke Khel Mein Kya Jeetne Wale Bhi Rote Hai?

Wo Jinki Chashm-E-Khud Bhi Auron Ko Dekha Nahi Karti,
Bhala Kis Gam Se Dil Ke Taar Mein Moti Parote Hai?

Tumhari Bheegti Palkon Se Maine Baarha Puchha,
Kya Maanind-E-Sheesha Patthar Mein Bal Aata Hai?

Agar Angez Hai Ab Tak Mohabbat Ka Wohi Jazba,
Jo Aise Hoshmandon Ko Bhi Yun Pagal Banata Hai?

Tumhari Bheegti Palkon Se Maine Baarha Puchha,
Mizaaj-E-Husn Mein Yun Yak-Ba-Yak Kya Inqalaab Aaya?

Sitaara Dekhna Aur Dekh Ke Afsurda Ho Jana,
Badi Takheer Se Tumko Sitaron Ka Hisaab Aaya,

Tumhari Bheegti Palkon Se Maine Baarha Puchha,
Kya Tarq-E-Rabt Par Mujhse Wehshi Yaad Aate Hai?

Taaluq Todna Aasan Tha To Kyon Aankh Ye Nam Hai,
Ana Parwar, Jafa Pesha Bhi Yun Aansu Behte Hai?

Tumhari Bheegti Palkon Se Maine Baarha Puchha,
Ke Jalne Aur Jalane Mein Bhala Kyon Lutf Aata Hai?

Bas Ek Jhuthi Aana Ke Waste Barbaad Ho Jana,
Khudi Ke Zaum Mein Insan Itne Dukh Uthata Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: May 25, 2008, 05:18:12 AM »



Paas Reh Kar Juda Si Lagti Hai,
Zindagi Ab Bewafa Si Lagti Hai,

Main Tumhare Bagair Bhi Jee Lunga,
Ye Dua Bad Dua Si Lagti Hai,

Naam Iska Likha Hai Aankhon Par,
Aansuon Ki Khata Si Lagti Hai,

Wo Abhi Is Taraf Se Guzra Hai,
Ye Zameen Aasman Si Lagti Hai,

Pyaar Karna Bhi Jurm Hai Aamir,
Aaj Duniya Khafa Si Lagti Hai...

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #34 on: May 25, 2008, 05:18:33 AM »



Yaadon Se Rishta Kal Bhi Tha Yaadon Se Rishta Aaj Bhi Hai,
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha Aur Afsarda Sa Aaj Bhi Hai,

Wo Ishq Jo Hum Tum Karte The Wo Ishq To Zinda Ab Bhi Hai,
Kal Tak Ji Hijr Satata Tha Us Hijr Ka Pehra Aaj Bhi Hai,

Tum Door Hue Majboori Mein Hum Toot Gaye Is Doori Mein,
Kabhi Waqt Mile To Aa Jana Dilka Darwaza Khula Aaj Bhi Hai,

Wo Saahil Wo Geeli Mitti, Mitti Ke Gharonde Sahil Par,
Wo Naam Darakhton Par Likhna Wo Khwab Suhana Aaj Bhi Hai,

Tum Khush Rehna Dil Ki Duniya Apni To Chalo Barbaad Hui,
Dil Gam Ka Maara Kal Bhi Tha Aur Gam Ka Maara Aaj Bhi Hai,

Ye Ashq Nahi Hai Aankhon Mein Ye Taare Jhilmil Karte Hai,
In Aankhon Mein Jo Kal Tak Tah Wo Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai,

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila,
Gam Kal Bhi Mera Sarmaya Tha Gam Mera Warsa Aaj Bhi Hai...

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: May 25, 2008, 05:18:58 AM »



Zindagi Hai Meri Jaise Ek Toofan,
Kiye Jaa Raha Hoon Gunaah Pe Gunaah,
Koi Roke Mujhe Koi Toke Mujhe,
Kya Ye Karne Ko Main Bheja Gaya,
Do Char Din Ka Hoon Mehmaan,
Aao Ikattha Karein Kuch Wapsi Ka Saman,
Khul Ke Ro Le Ab To Aankhein Khol,
Zindagi Hai Ek Tohfa Ise Yun To Na Rula...
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #36 on: May 25, 2008, 05:19:36 AM »


Tujhse Bichhadkar Zindagi Kaate Nahi Katti,
Dilse Yaad Aur Aankhon Se Surat Nahi Hatti,

Khushi Dhundne Nikli To Gam Hi Itne Mile,
Muskurane Ki Ab To Fursat Nahi Milti,

Zindagi Se Hai Wabasta Teri Yaadein Itni,
In Yaadon Se Ab Hamein Fursat Nahi Milti,

Tujhe Yaad Karna Ab Meri Rooh Mein Sama Gaya Hai,
Yaad Karna Meri Aadat Hai Aur Kabhi Aadat Nahi Badalti...

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: May 25, 2008, 05:20:56 AM »


Jahan Bhi Rahe Ek Hi Baat Hai,
Tum Paas Nahi Ek Hi Baat Hai,

Kabhi Bin Tumhare Roya Karte The,
Ab Tum Door Ho Ek Hi Baat Hai,

Dil Mein Pehle Wali Baat Nahi,
Sau Jatan Karo Ek Hi Baat Hai,

Dil Ke Aayine Mein Tumhe Dekh Liya,
Ab Jo Bhi Roop Dharo Ek Hi Baat Hai,

Bharam Saare Ab Tumne Kho Diye,
Bahar Ho Ya Khizaan Ek Hi Baat Hai,

Wo Waqt Tha Jab Hum Mila Karte The,
Waade Sare Wafa Ke Kiya Karte The,
Rishta Chah Ka Tha Jo Tumne Mita Diya,
Ab Subah Ho Ya Shaam Ek Hi Baat Hai,

Ab Nahi Wo Dil Hai Na Hi Tum,
Jaisi Bhi Rut Ho Ek Hi Baat Hai,

Bin Tumhare Jeena Bhi Kya Jeena Hai,
Zindagi Ho Ya Maut Ho Ek Hi Baat Hai...

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #38 on: May 25, 2008, 05:21:16 AM »


Ye Dil Bhulata Nahi Mohabbatein Uski,
Padi Hui Thi Mujhe Kitni Aadatein Uski,

Ye Mera Sara Safar Uski Khushbuon Mein Kata,
Mujhe To Raah Dikhati Thi Chahatein Uski,

Ghiri Hui Hoon Main To Chehron Ki Bhid Mein Lekin,
Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski...
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: May 25, 2008, 05:21:39 AM »



Kaun Rok Sakta Hai,
Lakh Zabt Khwahish Ke,
Beshumar Dawe Ho,
Usko Bhool Jane Ke,
Be Panah Irade Ho,
Aur Us Mohabbat Ko Tarq Kar Ke Jeene Ka,
Faisla Sunane Ko,
Kitne Lafz Soche Ho,
Dilko Uski Aahat Par,
Barmala Dhadkane Se Kaun Rok Sakta Hai...
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #40 on: May 25, 2008, 05:22:09 AM »



Ek Adna Sa Shabnam Ke Moti Ke Manind,
Ek Aansu Aata Hai Milne,
Jab Pehle Palkon Ko Chhuti Hai,
Aur Phir Ek Dusre Ke Sath Shor Dete Hai,
To Wo Moti Mere Gaal Par Janam Leta Hai,
Wo Lamha Kabhi Khushi Le Kar Aata Hai,
To Kabhi Gam Ki Khabar Sunkar Milne Aata Hai,
Ab To Usne Bhi Aana Chhod Diya,
Wo Qatra Hum Se Rooth Gaya,
Royein Bhi To Ek Maddham Si Awaz Jo Nikal Jaate Hai,
Qatra Hum Se Rooth Gaya Ye Soch Kar Ruk Jaate Hai,
Ke,
Abhi Bahar Ka Mausam Nahi Aaya Aur
Khizaan Mein Shabnam Ke Moti Girte Nahi Hai...
nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: May 30, 2008, 07:45:05 PM »
good collection Angel!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #42 on: June 05, 2008, 02:25:37 PM »
Thanks...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #43 on: June 21, 2008, 01:38:25 PM »

Zindagi Tum Ho,
Log Kehte Hai Ajnabi Tum Ho,
Ajnabi Meri Zindagi Tum Ho,
Dil Kisi Aur Ka Na Ho Paya,
Aarzu Meri Aaj Bhi Tum Ho,
Mujhko Apna Sharik-E-Gam Kar Lo,
Yun Akele Bahut Dukhi Tum Ho,
Doston Se Wafa Ki Ummidein,
Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho,
Main Zameen Pe Ghana Andhera Hoon,
Aasmano Ki Chandni Tum Ho,
Log Aate Hai Log Jaate Hai,
Meri Aankhon Mein Aaj Bhi Tum Ho...

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #44 on: October 13, 2008, 04:25:56 AM »
X?X?X?
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:24:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer