n to aah meri sunaaee de .... (zarraa)

by zarraa on September 01, 2012, 03:01:50 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1720 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile

n to aah meri sunaaee de n hi zakhm mera dikhaaee de
jo bhi mujh se milta hai aaj kal mujhe muskura ke badhaaee de

kabhi khid’kiyoN se hooN dekhta ki ye kis jageh meiN hooN reh raha
kabhi bastiyaaN haiN dikheiN mujhe kabhi dasht mujh ko dikhaaee de

tera naam le le ke log kya kareiN baat ye n mujhe pata
tera naam sun looN jo ik dafa mujhe aur kuchh n sunaaee de

ye alam jo hai tere hijr ka kahooN sach to itna n hai bura
ye najaat de har ummeed se ye har aarzoo se rihaaee de

teri be-wafaaee ke zakhm abhi dil-e-na-samajh meiN bhare naheeN
arey saNg-dil zara kar rehem tu wafa ki ab n duhaaee de

mere hum-safar bade shauq se mujhe deiN qafas ki muba’rakeiN
mera rehnuma saiyyaad ki bhi bade jatan se safaaee de

tujhe log duniya meiN jo mile tujhe sab se kitne rahe gile
to hai khush n kyun jo jahaaN ye ab tujhe lazzat-e-tanhaaee de

koi soorat ek to zeest ki to dikha de mujh ko kaheeN koi
jo naseeb meiN mere zar n de mujhe hausla-e-gadaaee de

koi ek ghar meiN hi de panaah koi ek dil meiN hi de jagaah
bhala kab ye “zarraa” ne tha kaha ke usey tu saaree khudaaee de

- ZARRAA

dasht = wilderness
alam = intense grief
hijr = separation
najaat = salvation
rihaaee = release
qafas = cage
rehnuma = guide
lazzat = taste / delight
gadaaee = beggary
zeest = life
zar = gold / wealth
khudaaee = world


Logged
soudagar
Guest
«Reply #1 on: September 01, 2012, 03:21:18 PM »
lajawab bemisal bahut hi khubsurat qalaam............ hazaro daad zaara sir

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: September 01, 2012, 03:48:45 PM »
n to aah meri sunaaee de n hi zakhm mera dikhaaee de
jo bhi mujh se milta hai aaj kal mujhe muskura ke badhaaee de   Applause Ghazab ka matla kaha hai..waaaaaaaaaaaah

kabhi khid’kiyoN se hooN dekhta ki ye kis jageh meiN hooN reh raha
kabhi bastiyaaN haiN dikheiN mujhe kabhi dasht mujh ko dikhaaee de  Applause Applause Applause

tera naam le le ke log kya kareiN baat ye n mujhe pata
tera naam sun looN jo ik dafa mujhe aur kuchh n sunaaee de  Applause waaaaaaaaaah...kya baat hai...bahut khoob

ye alam jo hai tere hijr ka kahooN sach to itna n hai bura
ye najaat de har ummeed se ye har aarzoo se rihaaee de  Applause Applause Applause

teri be-wafaaee ke zakhm abhi dil-e-na-samajh meiN bhare naheeN
arey saNg-dil zara kar rehem tu wafa ki ab n duhaaee de  Applause wah wah shabda hi nahee mere paas

mere hum-safar bade shauq se mujhe deiN qafas ki muba’rakeiN
mera rehnuma saiyyaad ki bhi bade jatan se safaaee de  Applause Applause kya baat hai

tujhe log duniya meiN jo mile tujhe sab se kitne rahe gile
to hai khush n kyun jo jahaaN ye ab tujhe lazzat-e-tanhaaee de  Applause Applause Applause

koi soorat ek to zeest ki to dikha de mujh ko kaheeN koi
jo naseeb meiN mere zar n de mujhe hausla-e-gadaaee de  Applause Applause Applause

koi ek ghar meiN hi de panaah koi ek dil meiN hi de jagaah
bhala kab ye “zarraa” ne tha kaha ke usey tu saaree khudaaee de   Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

- ZARRAA

dasht = wilderness
alam = intense grief
hijr = separation
najaat = salvation
rihaaee = release
qafas = cage
rehnuma = guide
lazzat = taste / delight
gadaaee = beggary
zeest = life
zar = gold / wealth
khudaaee = world




Bahut jabardast ghazal pesh kee hai.
kya ehsaas hain...gahraai bhare aashaar ...kya kahun..
laajavaab......
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: September 01, 2012, 04:13:44 PM »
n to aah meri sunaaee de n hi zakhm mera dikhaaee de
jo bhi mujh se milta hai aaj kal mujhe muskura ke badhaaee de

kabhi khid’kiyoN se hooN dekhta ki ye kis jageh meiN hooN reh raha
kabhi bastiyaaN haiN dikheiN mujhe kabhi dasht mujh ko dikhaaee de

tera naam le le ke log kya kareiN baat ye n mujhe pata
tera naam sun looN jo ik dafa mujhe aur kuchh n sunaaee de

ye alam jo hai tere hijr ka kahooN sach to itna n hai bura
ye najaat de har ummeed se ye har aarzoo se rihaaee de

teri be-wafaaee ke zakhm abhi dil-e-na-samajh meiN bhare naheeN
arey saNg-dil zara kar rehem tu wafa ki ab n duhaaee de

mere hum-safar bade shauq se mujhe deiN qafas ki muba’rakeiN
mera rehnuma saiyyaad ki bhi bade jatan se safaaee de

tujhe log duniya meiN jo mile tujhe sab se kitne rahe gile
to hai khush n kyun jo jahaaN ye ab tujhe lazzat-e-tanhaaee de

koi soorat ek to zeest ki to dikha de mujh ko kaheeN koi
jo naseeb meiN mere zar n de mujhe hausla-e-gadaaee de

koi ek ghar meiN hi de panaah koi ek dil meiN hi de jagaah
bhala kab ye “zarraa” ne tha kaha ke usey tu saaree khudaaee de

- ZARRAA

dasht = wilderness
alam = intense grief
hijr = separation
najaat = salvation
rihaaee = release
qafas = cage
rehnuma = guide
lazzat = taste / delight
gadaaee = beggary
zeest = life
zar = gold / wealth
khudaaee = world




veriiiiiiiiiiiiiiiiii   naaaaaaaaaaaaaaaaaaaice
Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: September 01, 2012, 08:44:11 PM »
wah wah bahut khoob... Usual Smile
Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: September 01, 2012, 08:45:05 PM »
Zarra Sahaab Aadaab!


Behad Khoob gazal kahi hai janab.... matle se lekar maqte
tak behad umdaa .... sabhi ashaar kabil e daad hai.. Usual Smile

Umdaa soNch aur khoob gehrai hai ashaaroN meiN... Usual Smile
Aur aapne is khoobsurat bher ko nibhayaa bhi behad khoob
hai... Usual Smile

Humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye..

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile                  

Logged
Sps
Guest
«Reply #6 on: September 01, 2012, 09:17:02 PM »
bahot bahot bahot khoob zarra ji
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: September 02, 2012, 12:26:01 AM »
bahut khoob Zarra ji
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #8 on: September 02, 2012, 08:11:57 AM »
 Applause Applause Applause
Logged
suman59
Guest
«Reply #9 on: September 02, 2012, 08:36:08 AM »
bahut acha likha hai zarraa jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: September 02, 2012, 09:42:30 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  laajawaab Zarraa ji.... kya taarif karun, kaise karun, mujhe shabd nahi mil rahe hain taarif ke liye... kuch bhi likhun kam hogaa... bas padhe jaa rahaa hoon aur jhoom rahaa hoon.. bahut khoobsurat ghazal.. ek ek shabd dil ko chhoti hui... sach me ek dhamaakedaar peshkash... aate rahiye likhte rahiye....!!!
Logged
arunmishra
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2012, 03:49:13 PM »
 Applause Applause Applause Applause

Behtareen gazal. Padh kar aanand aaya. Shubhkamnayen.

-Arun Mishra.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: September 03, 2012, 09:47:32 AM »
Wonderful
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: September 03, 2012, 01:08:12 PM »
lajawab bemisal bahut hi khubsurat qalaam............ hazaro daad zaara sir

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thank u dear


 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: September 03, 2012, 01:10:04 PM »
Apne itne dil se taareef ki ... Apka ehsaanmand hoon


Bahut jabardast ghazal pesh kee hai.
kya ehsaas hain...gahraai bhare aashaar ...kya kahun..
laajavaab......
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:22:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.214 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer