Na ab wo raah hai.....na ab wo hum....!!

by Talat on May 02, 2007, 10:35:21 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2954 times)
abdulqadeer
Guest
«Reply #15 on: February 05, 2009, 08:03:12 AM »
Subhan allah kya kahene is chuti se nazam ke !!

"Waqath de raha hai eak naye insaan ko janabm " wah wah kya hausla diya hai is asher ne ghazal ko Talat JI !! bahoth acha laga padke !!

Qadeer Toopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
RAAH by hifrnd20 in Miscellaneous Shayri
raah by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
RAAH by srikant in Shayri-E-Dard
Raah by daljeet_faqeer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
RAAH by Rakeshanub in Shayri for Khumar -e- Ishq
Roja
Guest
«Reply #16 on: February 05, 2009, 08:52:39 AM »
Badal sa gaya kuch,na rahe ab wo hum
Kho gaye khyaal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !!


Wah wah Talat... bahut khoob..  Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: February 05, 2009, 01:44:52 PM »
Subhan allah kya kahene is chuti se nazam ke !!

"Waqath de raha hai eak naye insaan ko janam " wah wah kya hausla diya hai is asher ne ghazal ko Talat JI !! bahoth acha laga padke !!

Qadeer Toopchi


Qadeer Ji,

Lagta hai aap un saari yaadon ko taaza kar denge, jo Yoindia pe ek arse se dafan hain....ye sab nazm/ghazal dil ke behad qareeb aur ehsasat se bhari hui hain.....Bohot bohot shukriya aapki hauslaafzai aur izzar-paziraai ka !
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: February 05, 2009, 01:45:19 PM »
Wah wah Talat... bahut khoob..  Applause Applause

Thanks a lot Roja dear
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #19 on: February 05, 2009, 01:49:55 PM »
Talat ji eak ashar jo mere dil bahoth qarib hai apki nazar karta hon !!

Kitni andhiyan ayi aur chali gayi "Qadeer"
eak charag humne ab tak jala rakha hai !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: February 05, 2009, 01:53:27 PM »
Waah Waah Waah./
Kya Baat Hai, Nice One Talat Sis,.
Great Lines Qadeer Bhaiya,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: February 05, 2009, 01:55:47 PM »
Basne Lage Hain Ghar Ujde Hue Shehar Mein,.
Aye "Qadeer" Tere Aane Baad,.

_____________________-Jaanasheen-
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: February 05, 2009, 01:58:10 PM »
Talat ji eak ashar jo mere dil bahoth qarib hai apki nazar karta hon !!

Kitni andhiyan ayi aur chali gayi "Qadeer"
eak charag humne ab tak jala rakha hai !!

Qadeer Toopchi

Bohot Khoob...bohot khoob Qadeer Ji

Lut gayin chahatain, jal gaye hain wo khwaab
Raakh ke dher ko is dil main chupa rakha hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: February 05, 2009, 01:58:49 PM »
Waah Waah Waah./
Kya Baat Hai, Nice One Talat Sis,.
Great Lines Qadeer Bhaiya,.



Shukriya Azeem

Basne Lage Hain Ghar Ujde Hue Shehar Mein,.
Aye "Qadeer" Tere Aane Baad,.

_____________________-Jaanasheen-

Sach kaha, Bohot Khoob !
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #24 on: February 05, 2009, 02:10:13 PM »
Bohot Khoob...bohot khoob Qadeer Ji

Lut gayin chahatain, jal gaye hain wo khwaab
Raakh ke dher ko is dil main chupa rakha hai


subhan allah talat bahen kya likha hai apne kasam se maza agaya !! allah tumhe khush rakhe bahen !!

Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: February 05, 2009, 02:13:49 PM »
Shukriya Qadeer Bhai Usual Smile
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #26 on: February 07, 2009, 02:26:01 PM »
waah meri nazar der se parhi par bahut khoob likha talat ji
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #27 on: February 07, 2009, 02:29:44 PM »
Bohot Khoob...bohot khoob Qadeer Ji

Lut gayin chahatain, jal gaye hain wo khwaab
Raakh ke dher ko is dil main chupa rakha hai

uth rahin ummeedein nayi, khwaab wahi purana hai
dill hai udaas aaj chehre par chehra naya laga rakkha hai.
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: February 10, 2009, 11:06:12 AM »
waah meri nazar der se parhi par bahut khoob likha talat ji

Shukriya Rawat Ji

uth rahin ummeedein nayi, khwaab wahi purana hai
dill hai udaas aaj chehre par chehra naya laga rakkha hai.

Bohot Khoob Rawat Ji

Apne ghum ko hansi main chupaane waale,
Teri aankhon se dard chalak jaata hai !
Logged
deewaani
Guest
«Reply #29 on: February 10, 2009, 11:19:32 AM »


wah celmira ji kya khoob likha hai aapnay!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:55:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer