Intezar
Guest
|
Kuch dahshat si thi roshni se, chiraagon ko bhi humne bujha diya Khalal hoti thi khamoshi me, aaj dhadkano ko bhi humne mita diya
Baadal chhaye the aasmaa me kahi barsaat in ankhon se kyun huyi Fizul me bahaa kar aansu aaj tere daaman ko bhi humne bhiga diya
Tu mujhe rakhta bhi hai khud me shaamil aur chhupaata bhi hai dekh aansu bankar aaj teri palko se bah kar bhi humne dikha diya
badi aarzoo thi ki main tere shahar ka gumnaam musaafir hota Aaj teri gali se gujar jaane ki khwaahish ko bhi humne jalaa diya
Badal gayi soorat beshak hamaari par ab bhi wahi aawaz hoon main Karke khaamosh khud ko tujhe teri dhadkan se bhi humne mila diya
Maatam kyu hai mere mitne par, kahan tumne meri hayat maangi thi Mehfooz jinhe rakha tha kabi aaj un yaadon ko bhi humne bhula diya
na ahad karo tum mujhse milne ka, ke sab waade tamaam toot jayenge Ab dekh tere liye aaj dafan kar ke ‘ Intezar ’ ko bhi humne sula diya… !
Shukriya Intezar !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
dead heart
Guest
|
|
«Reply #1 on: February 22, 2011, 07:56:22 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #2 on: February 22, 2011, 08:04:22 PM » |
|
Shukriya Rahim bhai... Bahut bahut shukriya... Intezar !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirala
Guest
|
|
«Reply #3 on: February 23, 2011, 05:41:54 AM » |
|
bahut jada khubsurat kavita Intezaar ji. bas aapke poem me hi aisa hota hai ki aakhir tak padhe bina mabhi mai rukta nhi. ek utsukta hoti hai next line padhne ki. umda behad umda poetry wo bhi seedhe alfazon me. dil se daad aapko aur aapki peshkash ko " thanx "
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #4 on: February 23, 2011, 05:58:23 PM » |
|
Shukriya Nirala ji... dil se bahut bahut shukriya ki aap hume pasand karte ho warna log to Intezar ko bhula chuke hain... Shukriya aapka bahut saara shukriya, Nirala ji... Intezar ! bahut jada khubsurat kavita Intezaar ji. bas aapke poem me hi aisa hota hai ki aakhir tak padhe bina mabhi mai rukta nhi. ek utsukta hoti hai next line padhne ki. umda behad umda poetry wo bhi seedhe alfazon me. dil se daad aapko aur aapki peshkash ko " thanx "
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rishi Agarwal
Guest
|
|
«Reply #5 on: February 23, 2011, 06:36:10 PM » |
|
Bahut Khub Intezar Bhai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #6 on: February 23, 2011, 07:45:06 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirala
Guest
|
|
«Reply #7 on: February 24, 2011, 04:33:29 AM » |
|
Intezaar ji--kuch shayars ko bhulaya nhi jata-- aur mere kuch fav. shayro me se ek aap ho. aapki rachnao ka anokhapan bhula dena aasan nhi. Kasak ji--- iss tarah ke post ka reply dena bahut muskil hota hai--lekin aapki khasiyat hi hai jo aap har post ka reply de hi deti ho. kamaal ka reply aur behtareen post tumhara ji. be happy always re intezaar ji aap roz aao bhai god bless u ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
marhoom bahayaat
Guest
|
|
«Reply #8 on: February 24, 2011, 05:32:20 AM » |
|
Kuch dahshat si thi roshni se, chiraagon ko bhi humne bujha diya Khalal hoti thi khamoshi me, aaj dhadkano ko bhi humne mita diya
Baadal chhaye the aasmaa me kahi barsaat in ankhon se kyun huyi Fizul me bahaa kar aansu aaj tere daaman ko bhi humne bhiga diya
Tu mujhe rakhta bhi hai khud me shaamil aur chhupaata bhi hai dekh aansu bankar aaj teri palko se bah kar bhi humne dikha diya
badi aarzoo thi ki main tere shahar ka gumnaam musaafir hota Aaj teri gali se gujar jaane ki khwaahish ko bhi humne jalaa diya
Badal gayi soorat beshak hamaari par ab bhi wahi aawaz hoon main Karke khaamosh khud ko tujhe teri dhadkan se bhi humne mila diya
Maatam kyu hai mere mitne par, kahan tumne meri hayat maangi thi Mehfooz jinhe rakha tha kabi aaj un yaadon ko bhi humne bhula diya
na ahad karo tum mujhse milne ka, ke sab waade tamaam toot jayenge Ab dekh tere liye aaj dafan kar ke ‘ Intezar ’ ko bhi humne sula diya… !
Shukriya Intezar !
bhai intezar sahab itni khoobsoorat ghazal itne behtreen alfaaz mere paas taarif ke lafz nahin hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #9 on: February 24, 2011, 02:12:45 PM » |
|
niraala ji aapka phir se shukriya hume yaad rakhne ke liye aur aap hume pasand karte hain jaan kar bahut khushi huyi... koshish rahegi roz mulaakaat ho aapse...
Intezar !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #10 on: February 24, 2011, 02:14:07 PM » |
|
marhoom bahayaat sahab aap ki hausla afzaayi ka tahe dil se bahut bahut shukriya... gujarish hai ki bas yun hi Milte rehiyega... Intezar ! bhai intezar sahab itni khoobsoorat ghazal itne behtreen alfaaz mere paas taarif ke lafz nahin hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #11 on: February 24, 2011, 02:15:34 PM » |
|
Rishi ji aapka bahut bahut shukriya... har baar saath dene ka tahe dil se shukriya... Intezar ! Bahut Khub Intezar Bhai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
manzil-e-ishq
Guest
|
|
«Reply #12 on: February 24, 2011, 02:39:41 PM » |
|
bht khoob intezaar ji....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #13 on: February 24, 2011, 02:55:34 PM » |
|
Shukriya Manzil ji aapka tahe dil se bahut bahut shukriya... Intezar ! bht khoob intezaar ji....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|