Na Jaan Rahi Na Zindagi

by Roja on April 05, 2009, 01:29:40 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2323 times)
Roja
Guest
Na wo aaj mujhe khat likhta
nai mai dilse royee hoti

Na wo purani bathon ko dohrata
Na mai aaj bikri yaadon main koyee hoti

Na wo mujhe Jaan kehta
Na mai unhe Yaara

Na woh mujhe beech raah chodta
Na mai aaj adhuri hoti

Mere jeevan ka ek sunhera pal tha, Unka Jaan bulana
Aur mujhe laga meri zindagi hai mera yaara

Aaj....

Na Jaan rahi Aur na Zindagi..


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ZINDAGI - CHALTI - RAHI by harishsharmapilot in Shairi - E - Zindagi
Na rahi zindagi......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Apni jaan maang rahi hu...Geet... by brokenbyluv in Shairi - E - Zindagi
MERI JAAN SAJ RAHI HAI by saahill in Shayri for Dard -e- Judai
!!!..Jaan nikal rahi hai..!!! by nashwani in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 05, 2009, 01:34:17 PM »
Nice one roja...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: April 05, 2009, 01:43:31 PM »
Dil to mera bhi kare hain ke thoda ro lu
Par kaun pochega mere aasoo main yeh sochu

Tum to keh bhi lete ho sare mehfil dard apna
Main to tanha hu dard main apna kisse kahu

Hasata tha hamesha aaj thoda rula diya to kya hua
Tujhe phir hasane ki khatir, tu kahe to GHAYEL ki jaan le lu

-SG-
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: April 05, 2009, 02:25:32 PM »
ak koshish meri taraf se bhi

Na jaan rahi na Zindagi
Bas tum  ak vada karte jana

jana hai tho chale jao tum
Par apni yaado ko na le jana

Tumse hi Bani yea Divya hai
yaad aau agar tho laut kar aa jana
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: April 05, 2009, 02:39:01 PM »
GHAYEL bhi tere hone ki daleel hain jaana
Tune nahi shayed par humne tujhe dil se hain apna mana

Bula lena jab bhi pass na ho koi
Jitna marzi mujhe tu sari umr aazmana

Na wali hu na sant hu, main bhala insaan bhi nahi
Main jaisa hu tera hu, kya hua jo bura hu janaa

-SG-
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: April 05, 2009, 02:45:03 PM »
ha ha ha . too gud Sajid ji..

hmmm.......

Asmana kyun chahungi mein tume
Jo ab Dost tumko maan liya hai

kehti rahe duniyan ab kuch bhi mujhe
maine tho tume sudarne ka taan liya hai
 
Winking


Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: April 05, 2009, 03:09:49 PM »
Ab yeh kismat hain, kaun sudhre kaun bighad jaye

Jaise bhi ho zindagi GHAYEL ki, sath tere guzar jaye
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: April 05, 2009, 03:19:54 PM »
Gud one sajid Ji!
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: April 05, 2009, 03:42:22 PM »
Ye wada karo ki na jaoge chodkar
Meri haat chodkar, mujhse muh modkar
Tum Jane-Zindagi, tum hi sab kuch mere
Pehle ki tarah na jaana dil mera todkar..
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: April 05, 2009, 03:48:40 PM »
Humko kasam hain apni, dil na dukhayge
Jaisa chahti ho tum, waise nazar aayege
Par itna bhi sunlo bura GHAYEL bhi nahi hain
Yeh alag baat hain logh yaha usko na jaan payege
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: April 05, 2009, 03:56:45 PM »
Zindagi dhoop ka hai safar tum saat chalo
Na ho sakegi akele guzer tum saat chalo

Zamana jeene na dega, karega ruswa hame
Banker mere raahber, tum saat chalo

Rahe ulfat mein wafa ki saugaat liye haaton mein
Ye mere pyare humsafar, tum saat chalo

Meri aankhon mein raho, base raho saanson mein meri
Meri dhadanon mein  hai tera asar tum saat chalo

Chalo ki dhur kahi dhur, bahut dhur kahi
Ho na dushmanon ko khaber tum saat chalo

Aashiyan apna basayenge pyar ke chaman mein kahi
Khushboown se ter hai, raah guzer tum saat chalo

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: April 05, 2009, 04:03:48 PM »
Sawal mujhse kare, aur mera nam bhi na le
Sawal Safar-e-zindagi ka, aur himmat se woh kam bhi na le

-SG-
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: April 05, 2009, 04:19:23 PM »
Sare raah jab unka didar ho gaya
Sookhe huwe phoolon ke bhi sringar ho gaya

Juban se kehte huwe aati hai unhe sharam
Magar unka khat kehta hai ke pyar ho gaya

Achanak jab chale aaye vo ghar mere
Soona aangan mein bahar ho gaya

Dekhkar unka umadta pyar doston
Dil aur dimag bekaraar ho gaya..

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #13 on: April 05, 2009, 08:31:16 PM »
very very nice roja ji and my jaan ghayel,
bahut acha laga ye shayaris .keep it aap.
madhuwesh
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: April 06, 2009, 02:11:26 AM »
very very nice roja ji and my jaan ghayel,
bahut acha laga ye shayaris .keep it aap.
madhuwesh

Thank you very much Madhuwesh ji..Keep coming.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:38:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer