Na Jaane Kya Hai Yeh.....!!!!!!!

by badnaam_shayar on July 21, 2006, 07:04:00 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1186 times)
badnaam_shayar
Guest
Well Friends.....Professor Badnaam Shayar ne ek new type ka Dard khoja hai....Jisme kahin jayada IShQ hai......na judai hai na hee nakaami hai Mahobbat ki...par DARD hai.........let c...

Na Chunn saka moti teri Palkon ke saye me......
Khawab bane HaQiQat jaise teri Zulfon ke parchaye me....

Rahi tum sada saath mere......
Par yeh Dil phir bhi tadapta raha.....

Jab jab dekha tumhe aur kareeb se maine.....
Na jaane kyu mera yeh Dard machalta raha.....

Thi Dushwar kuch Kismat aise......
Jaise Dil tumhare liye aur bhi pighalta raha......

Laga ki jaise phoot pada ho Ankur beej me se.....
Aise me tujhme basar karta raha.....

Paana chaha tah tujhe par bas Haasil hee kar paya.....
Thi Shantraj ki kuch Mohare bas waise hee teri Raah badalta aya......

Karna maaf mujhe ki hum ab tumse aur kuch na keh payenge......
Hai ek Dard iss Seene me bhi jise hum aur na Jala payenge........!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaane kya bimaari hai ... by Bulla Ki Jaana in Ghazals
~~**JAANE DO**~~ by ALONE BAD in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~Dil Ki Bekari Na Jaane~~ by honeyrose in Shayri-E-Dard
JAANE TU YA JAANE NA by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
eh KAZAA uske jaane tak to, THAHAR jaane de...!! by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ranjana
Guest
«Reply #1 on: July 21, 2006, 07:11:26 AM »
WAH!!!!!!!! Professor Badnaam Shayar  bahut khoob .........its really very beautiful............. Usual Smile
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: July 21, 2006, 08:30:49 AM »
bohot ache BS ji...

 :D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: July 21, 2006, 04:22:12 PM »
Thnx a lot Meena ji...aap Badnaam Mehfil me aayi....and thnx a lot Ranju

Na Jaane yeh Kya tha.....
Jo yeh Dard kuch Iss Kadar humse Judaa tha.....

Thi ek Khamoshi harr Lamhe me saji......
Par naa jaane kyu harr Pal humse Ruswa tha.....

Jeena nahi tha hume...Phir bhi Saansein Chalti rahi.....
Tha main Zinda phir bhi Dunia ke sab rasm-o-riwaz se Juda tha.....

Na Jaane yeh kya tha......

Thi Sanam jo woh ek Khawab hee bankar reh Chali hai.....
Bas ab Justju Zindagi ne Maut ki pakdi hai.....

Karta hu Dua ki aye Khuda utha le humko bhi.....
Na jaane yeh Konse Dard ko konse Zakhm konsi ghadi hai......!!!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #4 on: July 22, 2006, 06:29:23 AM »
ishq kuch bhi nahi hai maanle tu
is chaliye ko pehchan le tu
na hua na ho sakega kisi ka
bas apna apna muqaddar hai aaj pehchan le tu

na sun tu iss dil ki kabhi
hamesha veeraniyan hi dega tujhe
aur dega maza do pal ka
aur saza zindagi ki dega ye tujhe
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: July 22, 2006, 09:29:01 AM »
pyaar mein bas naam aur jagah badal jaati hai
sabke hisse wahi aansu wahi tanahai hi aati hai

kab chadata hai ishq ka janun kisi ke sirr per
toh fir duniya usko rangeen nazar aati hai

paa jaate hai  sirf chand log jab apni  manzil
toh rahe wafa ki ronak kuch aur badh  jaati hai

mat suna karo raato ko tum ishq ke kisse kisi se
suna hai ki inko sunane se raato ki neend udd jaati hai!!!!!!
Logged
harshit101
Guest
hi
«Reply #6 on: July 22, 2006, 12:10:12 PM »
u r the best as always bs bhai
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:56:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer