Na jala too mombattiyan.....

by aru12 on April 26, 2013, 07:05:38 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 802 times)
aru12
Guest
desh mein jis tareeke ke haalaat chal rahe hain, abhikuch dino pehle december mein delhi mein ek rape case saamne aaya tha, aur abhi ye bacchi ke saath, in ke alawa bhi pata nahin kitne hote hain, aaye din hum news paper mein aur tv pe dekhte hain...inhi haalaaton ko dekhte hue kuch panktiyan dil se nikli hain........


Na bujha too battiyan,
Na jala too mombattiyan
Jhank apne andar ek baar,
Dekh kahan hain galtiyan...

Kahan gaye cheer badane wale bhagwaan,
Kahan gaye asmat bachane wale krishna mahan,
Roj roj hote cheer haran se,
Kya kam pad gaye unke kapdon ka thaan...

Aaj yahan kal wahan hahakaar hua,
Aaj iska kal uska balaatkaar hua,
Chood do ginna ab unglion pe,
Aaj bahar to kal ghar mein shikaar hua...

kuch tv ka to kuch filmon ka haath batate hain,
kuch ladkiyon ke pehnaave ka dosh batate hain,
ye to tarika hai nimn maansikta ko chipane ka varna,
kahan log apne ko bhediya batate hain,

Jo kal tak ganda vichaar tha aaj charcha-e-bazaar hai,
Jo kal tak chupa tha aaj naachta sare baazaar hai,
Badta hee jayega ab ye na rukega,
Jo kal tak nazar mein tha aaj sasharir tayaar hai...

Pighalta hai mom aur jalta hai dhaga,
Betiyon ka baap rehta hai poori raat jaaga,
Koun jane fir kiski beti ke liye jalegi mombatti,
Kare to kya kare vo bechara abhaga....

Kuch to maa kee kokh mein aansuon tale dab gayin,
 Bachi jo vo vehshi darindo kee bhent chad gayin,
Aadhi rehti hain zindagi bhar dari sehmi,
Baaki aadhi dahez kee aag mein zinda jal gayin,

Koun jaane in paapiyon kee aatma kahan soti hogi,
Na ho kisi kee behan beti, maa jarur hoti hogi,
Are ye neech harkat karne walon sun lo,
Koi roye na roye tumpe tumhari maa jarur roti hogi..

Balaatkariyon kee shikayat na karo balaatkariyon se,
Kya hoga sadak pe khade pradarshankariyon se,
Aage bad ke khud taang do sooli pe sabko,
Mat maango bheekh in bhikhaariyon se...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud Ko Jala Jala Kar Dekha (Jaan) by waheed_rose2004 in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4  All »
dil jala by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
~~~Jala Kar Woh Dil Ko~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
~~:dil na jala to jala kya:~~ by ek_tamanna in Shayri for Dard -e- Judai
dil jala by saahill in Shayri-E-Dard
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #1 on: April 26, 2013, 07:41:18 PM »
Its gud you have poured ur feelings in words, but dear whose soul's r dead, they wont understand a single word.
thanx 4sharing.  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: April 27, 2013, 11:08:25 AM »
Aapki soch ko salaam Aru jee
par sudharne ki shuruaat hame khud se karni hogi?
hai na? to shayad kuch improvement aaye.
Logged
aru12
Guest
«Reply #3 on: April 27, 2013, 08:13:44 PM »
thanx bhupinder jee.....aapne sahi kaha hai kee kuch log ek single word bhi nahin samjhenge, kyonki maine dekha ab tak sirf do reply hee aayin hain....log shayad ise samajh nahin paye....
Logged
aru12
Guest
«Reply #4 on: April 28, 2013, 12:46:51 AM »
thanx mkv jee...aapne bilkul  sahi kaha hai..kee badlaav kee shuruaat apne se hee hoti hai....
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: April 28, 2013, 12:50:46 AM »
thanx mkv jee...aapne bilkul  sahi kaha hai..kee badlaav kee shuruaat apne se hee hoti hai....
Thanks arvind jee.
maine vahee kaha hai jise mai amal karta hun..
par result bhi batata chaluN..
aisa karne par koi aapke saath nahee aata..akele chalne ki himmat honi bahut zaroori hai. SELF CONFIDENCE
Logged
aru12
Guest
«Reply #6 on: April 28, 2013, 12:54:03 AM »
zindagi ka asli safar akele hee hota hai...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: April 29, 2013, 01:10:37 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob likha hai aapne aru ji. ek umda peshkash. dheron daad.
Logged
aru12
Guest
«Reply #8 on: April 29, 2013, 08:39:31 PM »
thanks aqsh jee....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:09:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer