<NA KAHO DARD KO SHAYARI> IT IS A MUST

by harshit101 on March 03, 2006, 04:57:33 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2320 times)
harshit101
Guest
NA KAHO DARD KO SHAYARI,
MUJHE SHAYAR NAAM NA DO.
SISAKTA HAI DIL HAR LAFZ KE SAATH,
YUN WAH WAH KARKE SALAAM  NA DO.

KARI HAI MAINE MAR KE BHI WAFA,
MUJHE AB BEWAFAA NAAM NA DO.
YEH RUSWAI MERA REHNUMA,
MUJHE YUN SAREAAM NA DO.

KASAM DI THI TUMNE NA PINE KI,
AB HAS HAS KE MERE HAATHO ME JAAM NA DO.
MAI JI LUNGA BIN TERE HI TANHA,
MUJHE YE YADON KI KHAIRAAT NA DO.

NAHI LA SAKA DOLI TERE DAR PAR,
AB MUJHE YEH NIKAH KA PAIGAM NA DO.
NA DE SAKE KHUSHION KI SUBAH,
KAM SE KAM AANSUON KI SHAAM NA DO.

NA KAHO DARD KO SHAYARI,
MUJHE SHAYAR NAAM NA DO.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Allah Kaho Raam Kaho Ya Kaho Bhagwaan by Azeem Azaad in Shayari-e-Parastish « 1 2 3  All »
shayari-e-dard by mital in Gujarati
*HoneyRose Dard Shayari Collection --NM* by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
shayari-e-Dard by md.ayad in Shayri-E-Dard
Ab kaho, kaisey kahain: dard kahaan hotaa hai? by abdbundeli in Ghazals
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: March 03, 2006, 09:54:11 AM »
Awesome wordings harshit........bahut khhoob...........

Dard bhi ajab ajab khel dikhata hai.......
Kisi ko Sharabi toh kisi ko Shayar banata hai.....
Lutttte hain Khawab is Dil k saare aam......
Par woh Sanam toh dekho....yoon hee has k chala jata hai.......!!!!!!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: March 03, 2006, 10:05:41 AM »
wah   bahot  khoob Harshit............Badnam  Shayar....  very  nice  wordings.....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #3 on: March 03, 2006, 01:46:37 PM »
kya khoob kaha harshit ji and badnaam ji!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #4 on: March 03, 2006, 01:52:56 PM »
Dard mein doobey huey dilon ko dekh ke jee ghabraata hai,
Na jaane pyar kyon aise dilon se khel yeh rachata hai,
Mil na paana ho kisi ne to kyon yeh dil milata hai,
Dard-e-Judai mein siskiyon ke saath jeene ko tanhaa chodh jaata hai,
Iltijaa rabb se yahi aaj fir se karte hai,
Dhadkey jab do dil saath milkey kabhi unper apni dayaa rakhna sada.........

gesu's dua!!!!!!!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: March 03, 2006, 06:13:45 PM »
Quote from: "harshit101"
NA KAHO DARD KO SHAYARI,
MUJHE SHAYAR NAAM NA DO.
SISAKTA HAI DIL HAR LAFZ KE SAATH,
YUN WAH WAH KARKE SALAAM  NA DO.

KARI HAI MAINE MAR KE BHI WAFA,
MUJHE AB BEWAFAA NAAM NA DO.
YEH RUSWAI MERA REHNUMA,
MUJHE YUN SAREAAM NA DO.

KASAM DI THI TUMNE NA PINE KI,
AB HAS HAS KE MERE HAATHO ME JAAM NA DO.
MAI JI LUNGA BIN TERE HI TANHA,
MUJHE YE YADON KI KHAIRAAT NA DO.

NAHI LA SAKA DOLI TERE DAR PAR,
AB MUJHE YEH NIKAH KA PAIGAM NA DO.
NA DE SAKE KHUSHION KI SUBAH,
KAM SE KAM AANSUON KI SHAAM NA DO.

NA KAHO DARD KO SHAYARI,
MUJHE SHAYAR NAAM NA DO.


Waahhh kya baat hai hashit,dard hi dard,bohat khoob likha.BS n gesu ji,aapne bhi bohat acha likha hai.

"Kuch yun mohabbat me log dard paa jaate hain,
      dard banke wo shabd shayri k roop me aa jate hain,
      na jaane kitnon ko aur ye pyaar dard dega,
      ye silsila kabse chala hai,lagta nahi ye kabhi khatm hoga."
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: March 03, 2006, 08:28:10 PM »
Shukriya Waheed bhai.......Gesu.....Nidhi...... tongue3

Mahobbat mill jaye toh har khushi mil jaati hai.......
Mahobbat na mile toh har gum Ashiq k naam kar jaati hai......!!!!!!!!!!!!!
Logged
harshit101
Guest
«Reply #7 on: March 04, 2006, 06:25:32 AM »
TAHNKS BS,WAHEED BHAI,GESU N NIDHI BAHUT KHOOB

NA HOTA DARD TO KYA MERE ALFAZ HOTE,
MERE ARMAAN KABHI DIL TO KABHI ASHKO ME KHAAK HOTE.
Logged
harshit101
Guest
HI
«Reply #8 on: March 13, 2006, 06:41:47 AM »
KHATM HO  RAHI HAI SHAYARI,
YEH SHAYAR BHI KHATM HO RAHA HAI,
MAR RAHE HAI JASBAAT SAB,
HAR KHWAB DAFAN HO RAHA HAI.
Logged
harshit101
Guest
HI
«Reply #9 on: August 04, 2006, 02:43:41 PM »
KAL MAIKHANE ME JAAM KUCH JUDA MIL GAYA,
MANGI JO MAYE MAINE PAIMANE ME KHUDA MIL GAYA.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 10, 2006, 01:03:52 PM »
Bahoot Khoob,..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: August 12, 2006, 03:43:01 PM »
Gud Going all

Karunga jab Ruksat iss Jahan se......
Tab bhi labon par Naam tumhara hoga.....

Ki Bewafai tumne meri Mahobbat se toh kya.....
Tab bhi meri harr Nazm me Ehsaas tumhara hoga......!!!!!!!!
Logged
harshit101
Guest
«Reply #12 on: August 17, 2006, 07:37:26 AM »
WAH BADNAM BHAI
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 23, 2006, 07:19:03 AM »
Dard Dil Mein Jal Raha Hai Aag Bankar,..
Toot Rahi Hai Zindagi Meri Khwaab Bankar...
Usne To Aane Ka Wada Hi Nahi Kiya Mujhse "Jaanasheen",..
Phir Bhi Das Rahi Hai Tanhaaian Mujhe Yaad Bankar,..

_____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:03:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer