Na kar Alvida... Intezar !

by Intezar on February 28, 2011, 08:47:55 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2091 times)
Intezar
Guest


Badi kash-ma-kash mein hun tu kaise mujhe juda kar jaayega
Aaj jo badli raah tumne jaane phir ye musaafir kidhar jaayega

apne lamho me kuch wakt aur gujaar lun tumhe phir chale jana
Bas yahi tha armaan, phir to har armaan toot kar bikhar jaayega

is kadar bi na baha aansuon ko, mujhe kahin to baaki rehne de
Aankhon se bhi gira diya to bata phir ye katra kidhar jaayega

Kuch aisi bhi gujri hain hasrate apne darmayaan bhulau kaise
Kya khabar thi ke tere dard ka khanjar yun dil me utar jaayega

Koi jazbaat dil ke na khaali rakhna aur na dil ko viraan karna
Phir dhadak uthega dil jab ye shaks teri raahon se gujar jaayega

Dafan hoon in kaagazon me ho sake to kabhi mujhe dohraa lena
hogi is dil ko raahat jab mera koi lafz tumhare hontho par aayega

na najre hata tu, na kar alvida ke saanse meri ab thamne lagi hain
dekh le jee bhar kar aaj, phir tujhse bichhad kar Intezar mar jaayega !


Shukriya
Intezar !


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Alvida by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
~~~~~~~ ALVIDA ~~~~~~~~~~~~~~~~~ by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Alvida by Brijinder in Shayri for Dard -e- Judai
intezar ke haalaat par… Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
kiske Intezar me usne chiraag jalaaye bujhaaye... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
manjum
Guest
«Reply #1 on: February 28, 2011, 08:55:53 AM »
wah wah intezarji..... kya baat hai bahut khub

 Applause Applause Applause
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #2 on: February 28, 2011, 10:47:01 AM »
superb peshkesh intezar ji....
bht bht khoob...
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: February 28, 2011, 05:34:51 PM »
Shukriya Manjum ji aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !

wah wah intezarji..... kya baat hai bahut khub

 Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: February 28, 2011, 06:06:37 PM »
Bahut umda intezar ji...
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: February 28, 2011, 06:13:03 PM »
Shukriya Manzil ji aapka dil se shukriya...

Intezar !

superb peshkesh intezar ji....
bht bht khoob...
Logged
nirala
Guest
«Reply #6 on: February 28, 2011, 06:19:35 PM »
Intezaar :: aapki ek khasiyat hai jo hame behad pasand hai.
sayd bahut kam shayro me hai wo baat--
aapki kalaamo ke har ashaar dusre ashaar ke saath bahut hi baarik tarike se connected hota hai.
yahi chij aapki kalaam ko jhakashhh banati hai--hum koi ek sher select hi nai kar paate--sab apas me mastam jude hokar khubsurat kalaam ban jaate hain.
aapka nagma as usual mast.
daad nhi deta aajkal mai Usual Smile
apko daad ki kya jarurat ji.
"
thanx
"
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #7 on: February 28, 2011, 06:48:41 PM »
Bahut Hi Khubsurat Likha Hai Intezar Ji Aapne
Excellent Creation ApplauseApplause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: February 28, 2011, 06:49:09 PM »
Shukriya geet ji aapne pasand kiya...

Intezar !

Bahut umda intezar ji...
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #9 on: February 28, 2011, 07:05:06 PM »


Badi kash-ma-kash mein hun tu kaise mujhe juda kar jaayega
Aaj jo badli raah tumne jaane phir ye musaafir kidhar jaayega

apne lamho me kuch wakt aur gujaar lun tumhe phir chale jana
Bas yahi tha armaan, phir to har armaan toot kar bikhar jaayega

is kadar bi na baha aansuon ko, mujhe kahin to baaki rehne de
Aankhon se bhi gira diya to bata phir ye katra kidhar jaayega

Kuch aisi bhi gujri hain hasrate apne darmayaan bhulau kaise
Kya khabar thi ke tere dard ka khanjar yun dil me utar jaayega

Koi jazbaat dil ke na khaali rakhna aur na dil ko viraan karna
Phir dhadak uthega dil jab ye shaks teri raahon se gujar jaayega

Dafan hoon in kaagazon me ho sake to kabhi mujhe dohraa lena
hogi is dil ko raahat jab mera koi lafz tumhare hontho par aayega

na najre hata tu, na kar alvida ke saanse meri ab thamne lagi hain
dekh le jee bhar kar aaj, phir tujhse bichhad kar Intezar mar jaayega !


Shukriya
Intezar !



umda kalaam intezar ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: February 28, 2011, 07:11:59 PM »
nirala ji aapka shukriya ada bhi ab nahin kiya jaata... bahut khushi hoti hai aap ka saath jab milta hai... aapne hume kareeb se padha achha laga...

main kuch ban to na saka...
chalo kisi ki khamoshi ka khalal hi sahi...

bas yunhi saath rahiye gujarish hai...

Intezar !

Intezaar :: aapki ek khasiyat hai jo hame behad pasand hai.
sayd bahut kam shayro me hai wo baat--
aapki kalaamo ke har ashaar dusre ashaar ke saath bahut hi baarik tarike se connected hota hai.
yahi chij aapki kalaam ko jhakashhh banati hai--hum koi ek sher select hi nai kar paate--sab apas me mastam jude hokar khubsurat kalaam ban jaate hain.
aapka nagma as usual mast.
daad nhi deta aajkal mai Usual Smile
apko daad ki kya jarurat ji.
"
thanx
"
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: February 28, 2011, 07:23:22 PM »
Rishi ji Shukriya dil se bahut bahut shukriya...

Intezar !

Bahut Hi Khubsurat Likha Hai Intezar Ji Aapne
Excellent Creation ApplauseApplause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: February 28, 2011, 08:24:58 PM »
marhoom bahayaat ji aapka dil se bahut bahut shukriya...

Intezar !

umda kalaam intezar ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: February 28, 2011, 08:54:00 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahaut bahaut acha likha hai dost..
Khush rahiye..!
Logged
nikhil55559
Guest
«Reply #14 on: March 01, 2011, 02:29:14 PM »
Intezar aapki shayri mein wo dard hai jo har koi mehsus kar sakta hai..

aapki shayri ko sachhe dil se salam !!!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:24:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer