Na KiyA HAi Na kArEnGe[meri ek aur khosish!!!]

by roshni246 on May 20, 2006, 02:28:25 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2183 times)
roshni246
Guest
meri ek choti si nanni si pyaari si khoshish!!! Puzzled !  Puzzled !

izhaar-e-tamanna na kiya hai na karen ge
yoon ishq ko ruswaa na kiya hai na karen ge

saathi se taqaaza na kiya hai na karen ge
hum ne kabhi aisa na kiya hai na karen ge

jis baat ke sun'ne ko hai be-taab zamaana
us baat ka charcha na kiya hai na karen ge

jo dil pe sitam dhaate hain, dhaate hi rahen ge
hum ne kabhi shikwa na kiya hai na karen ge

jal jaayenge par aek bhi sho'la na uthe ga
hum ne yeh dikhaawa na kiya hai na karen ge

insaan hain hum, koi farishte to naheen hain
aisa kabhi daa'va na kiya hai na karen ge

hum pehnen ge khud apna kafan apne hi haathon
auron pe bharosa na kiya hai na karen ge


~rosh~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kiya ab bhi meri jhalak Khuwab Mein Aati Hai (Akash) by akash03453400042 in Shayri-E-Dard
~~~ Hum intazar karenge ~~~~ by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jab meri maut ka vo nazaara karenge by sarfira in Songs & Lyrics
Mera dil Ne Meri Saanso Ko Gulam Kiya by pawan16 in Miscellaneous Shayri
HumTum is back
Guest
«Reply #1 on: May 20, 2006, 02:34:35 PM »
hummmm  bahut khoob roshni ji .....  

Kabool 'teh dil se kijiye daad hamari
juthi tareef na kabhi ki hai na karenge !!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #2 on: May 20, 2006, 02:35:23 PM »
shukriya humtum ji!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: May 20, 2006, 05:09:39 PM »
Quote from: "Roshni246"
izhaar-e-tamanna na kiya hai na karen ge
yoon ishq ko ruswaa na kiya hai na karen ge

saathi se taqaaza na kiya hai na karen ge
hum ne kabhi aisa na kiya hai na karen ge

jis baat ke sun'ne ko hai be-taab zamaana
us baat ka charcha na kiya hai na karen ge

jo dil pe sitam dhaate hain, dhaate hi rahen ge
hum ne kabhi shikwa na kiya hai na karen ge

jal jaayenge par aek bhi sho'la na uthe ga
hum ne yeh dikhaawa na kiya hai na karen ge

insaan hain hum, koi farishte to naheen hain
aisa kabhi daa'va na kiya hai na karen ge

hum pehnen ge khud apna kafan apne hi haathon
auron pe bharosa na kiya hai na karen ge




Muhabaat hii ki hai tumse, wafa ka hii sila kiya jafaa
Wadaa bhi diya tha sanam ke ruswa na tumko kabhie karenge

Dil pe naam likha tha tumhara aaur uske sath hamara
Bewafai ki talab nahi humein aur ye gunaah hum naa hii karenge

Mera Dushman saara zamana, pal pal chahe logg mujhe aazmana
Inn se Rubaru tumhari parchai ko na kiya hai ka karenge

Haan Kuch khamiyaan iss TifL ki muhabaat hui zarur
Sabak tumhein manaa ke liya hai, aab na koi tumse khilafiyat karenge!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #4 on: May 20, 2006, 05:31:10 PM »
Kaise kahoon ke apna bana lo mujhe
baahon mein apni sama lo mujhey
Bin tumhare ek pal bhi ab kat-ta nahi
Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe
Zindagi to woh hai sang tumhare jo guzre
Duniya ke ghamo se ab chura lo mujhe
Meri sab se gehri khwahish ho poori
Tum agar paas apne bula lo mujhe
Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai
Tumhara hoon main to sambhalo mujhe
Najaane phir kaise guzregi zindagani
Agar apne dil se kabhi tum nikalo mujhe


~rosh~
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #5 on: May 20, 2006, 10:17:49 PM »
Good job Roshini and Neer!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #6 on: May 21, 2006, 02:04:20 PM »
thxx pankhuri!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #7 on: May 21, 2006, 02:19:21 PM »
ajiz hogaye the hum her dard ko sine se lagane ke liye
alfaaz ro rahe the aaj hamare apna gum sunane ke liye

kitni mayoos aur preshaan thi hamari aankhe
doondti thi koi sathi apna gum batane ke liye

tut ke roya hai dil kaleja cheer cheer hogaya
kat rahi hai zindagi ab ansoo bahane ke liye

jiski khtir hum muskurana bhi bhool gai
wo mila tha aaj hame fir se rulane ke liye

hum to chale uske waste gumnaam raho per bhi
kerdiya bandh sab darwaze usne apna mooh chupane ke liye

dard ki raah main usne mujhe ye kahan laya hai
dhondte hai ab hum nisha wapis aane ke liye

hum ne socha bhi na tha ye hoga humare pyaar ka anjaam
hum to nikle the saath unke saath janum nibhane ke liye

thaam ker haat tera hum to bhool gaye the duniya ki rangat
chor wo gaya hame apni haqeeqat batane ke liye

tere waste to mit rahe hai hum pal pal
deke tujhe sari khushya ker gayi khali daman
waqt ayega ek din tujhe ye samjhane ke liye
ajiz hogaye the hum har dard ko sine se lagane ke liye
alfaaz ro rahe thy aaj hamare apna gum sunane ke liye


~rosh~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 21, 2006, 02:23:29 PM »
Bahoot Khoob Bhai And Bhabi,..

Logged
roshni246
Guest
«Reply #9 on: May 21, 2006, 02:24:12 PM »
thxx a lot!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: May 21, 2006, 02:31:56 PM »
Mohabbat Ko Teri Hum Kuch Is Tarah Nibhaayeinge,.
Na Mitaa Sakeinge Teri Yaadon Gar Aisa Hogaya To Hum Marr Jaayeinge,..

Tere Dum Se Hai Mere Jeene Ki Aas Jaanasheen,..
Gar Tune Chod Diya Hamara Saath To Motee-on Ki Tarah Hum Bikhar Jaayeinge,..

_________________________________________________-Jaanasheen-
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #11 on: May 22, 2006, 06:51:35 AM »
Wahhhhh Roshni sis,kya baat hai,bohat khoob.Very nice neer too.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 22, 2006, 09:08:40 AM »
Koun Jaan Saka Kisi Ka Dard Yahan Pe Jaanasheen,..
Ke Log To Bas Mazaa Lene Ke Liye Poocha Karte Hain,..

_____________________________________-Jaanasheen-
Logged
roshni246
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2006, 12:47:43 PM »
thxx a lot sis !!!
and azeem ji bohot khoob!!!

Tum ne to keh diya.. mohabbat na mili
Mujh ko to yeh bhi kehne ki.. moh'lat bhi na mili

Neendon ke desh jaate.. koi khawab dekhte
Lekin diya jalane se..  hume itni fursat bhi na mili

Tujh ko to khair shehar ke.. logon ka khouf tha
Our mujh ko apne ghar se.. ijazat na mili

Be'zar yoon huye ki.. tere e'had main hamain
Sub kuch mila.. sakoon ki doulat nahi mili


~rosh~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: May 22, 2006, 12:53:01 PM »
Shukriya Roshni Ji,..
And Nice One..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:52:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer