na koi hum zabaan mera

by samnoj on August 30, 2005, 11:09:31 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1211 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
na mil saka kahi dhoondne se bhi nishaan mera
tamaam raat bhatakta raha gumaan mera

main gher basa ke samunder ke beech soya tha
utha to aag ki lapto me tha makaan mera

junoon na kahiye ise, khud-aziyati kahiye
badan tamaam hua hai lahu luhan mera

hawain gerd ki surat uda rahi hai mujhe
na ab zameen hai meri na aasmaan mera

museebato ke bhawar me pukaarte hai mujhe
ajeeb dost hai, lete hai imtehaan mera

kisi khat likhu, hal-e-dil sunau kise
na koi herf-shanasa, na hum zabaan mera
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
rehta he is zabaan pe her dum tera hi naam by khalidrawat in Shayri-E-Dard
kabhi meri khamoshi ki zabaan samjo (poet:taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
Zabaan-e-hind hain Urdu...(Manzar Bhopali) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Kaash, mein gaaun teyree eik bey-zabaan gazal!! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Sharafat ki Zabaan.........mazHur by mazHur in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: August 30, 2005, 11:13:31 AM »
Bohot achche Sam !!!
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #2 on: August 30, 2005, 11:17:39 AM »
thanx talat
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #3 on: August 30, 2005, 02:16:30 PM »
nice n gr8 one sam.........................!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: August 30, 2005, 06:15:59 PM »
wow   very  nice  Sam.........................................
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #5 on: August 31, 2005, 07:19:42 AM »
Zindagi mohtaz nahi manzilo ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.
nm
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: August 31, 2005, 03:25:20 PM »
wah samnoj ji!!!

"museebato ke bhawar me pukaarte hai mujhe
ajeeb dost hai, lete hai imtehaan mera "


yeh lines bohot achi hai!!

 :D
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #7 on: September 01, 2005, 11:47:09 AM »
thnax salma, waheed n meena
bahut khoob salma

saans lena bhi saza lagta ahi
ab to marna bhi khata lagta hai
itna mayoos hu sannate se
koi bole to bura lagta hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: September 01, 2005, 11:52:30 AM »
waah waah ... bahut achey Samnoj !!!!


Bicha kai farsh-e-azaa muntazir hoon tu aaye
Tujhey main dekh loon jazbaat pe qabu aaye

Jahan jahan main chaloon karbala bhee saath rahey
Ke har taraf sey mujhey khoon ke khushbu aaye

Kahan talak main bhala karb-e-aagahe ko sahun
Ke mere sochoon main musbaat koi pehlu aaye !!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #9 on: September 01, 2005, 12:09:50 PM »
bahut khoob humtum n sam n sukriya sam




zindagi aise pehlu mein aa khadi hai...
na gam hai zindagi mein na khusi hai...
ab baath karne se jee gabara tha hai...
har shaks baaton me burai dunta hai...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: September 01, 2005, 12:15:49 PM »
Salma

...

hummmmmmm  

agar manzil na ban paaye
manzilon tak ka raasta hojayen
der se soch may hain parwane
khak hojayen ke hawa hojayen
bandagi hum ne chod di hai "HumTum"
kya karen log jab khuda hojayen !!!

Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #11 on: September 01, 2005, 12:16:38 PM »
thanx n bahut khoob humtum

her tamashayi fakat sahil se manzar dekhta
koun dariya ko ulat ta koun dohar dekhta

wo to dunya ko meri awaargi pasand aa gayi
tere haatho me warna, pahla pathther dekhta

aankh me aansu jade the, per sada tujhko na di
is intezaar me, ki shayed tu palat ker dekhta

zindaghi phaili hui thi sham-e-hijra ki trah
kisko, kitna housla tha, koun ji ker dekhta

doobne wala tha main, aur saahil per chehro ka hujoom
pal ki mohlat thi, main kisko aankh bher ker dekhta

tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha ai faraz
aankh hoti to katre me samunder dekhta

nm
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: September 01, 2005, 12:20:52 PM »
Sam

....

hummm....... faraz sahab to na jane kin gehraiyon mein dubey aur hamare liye nayaab tofe chod gaye ..... hota hai yun bhi ... lekin har haal mein jeena padta hai .... ansuu mile ya muhoobat ....... zindngi to kat hi jati hai .... kissi ki bevvfaai ka shara liye .. kissi ki berukhi ka nazara liye ....

kitna mila hai gam yeh hame yaad to nahi
baki hai fakat dard ye fariyad to nahi

anshu hi miley mujhko to wo bhi aziz hai
anshu hai mere chiz gunahgaar to nahi

tujhse karu shikwa to ho tauhin e ibadat
mera ishk ibadat hai fakat pyar to nahi !!!  
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #13 on: September 01, 2005, 12:41:25 PM »
sahi kaha aur bahut acha likha hai

kis pe guzre ye haadsaat ahi
sirf makhsoos meri hi zaat nahi

umer ek chahiye byaan ke liye
mukhtaser kissa-e-hyat nahi

zaher-e-ghum muskura ke pi jana
sab ke bas ki ye baat nahi

aur bhi ghum hai muhabbat ke siwa
kuch ye hi dil ki kaynaat nahi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:34:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer