na koi khawab sajaya karo!!!

by Pooja on November 15, 2005, 05:06:44 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2209 times)
Pooja
Guest
Dil ke dard, ansoon ban kar na chalak jaya karo
kuch to karo hosh, kahin ander hi mujme rah jaya karo!!

Kis per karu yakeen, her koi hay yahan sirf tamashabeen
Na tarap kar, subak kar, mujko tamashaa banaya karo!!

Jo khud saath de jai to ganimat samjho
Per apni palko per, na koi khawab sajaya karo!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khawab Sirf Khawab Hi Reh Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
KOI KHWAAB AAKHOH NEH SAJAYA HI NAHI by jasbirsingh in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya by zeisha in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Kaghaz kaghaz haraf sajaya karti hu~ by khushi4pari in Share: Poetry of Pain
FIR SE GULSHAN KO SAJAYA JAYE----------MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 »
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: November 16, 2005, 04:26:20 PM »
Bohat khoob Pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: November 16, 2005, 04:29:23 PM »
Thanks Aryaan!!! app bhi kuch likhaty to acha lagta!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: November 16, 2005, 04:39:41 PM »
Ji zaroor kyun nahi...

Arz kiya hai..

     Sach yeh hai bekaar mein gham hota hai
     Jo chaaha tha duniya mein kam hota hai

     Dhalta sooraj, phaila jangal, rasta gum
     Hum se poocho kaisa aalam hota hai

     Ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki
     Jab hota hai, koyi humdam hota hai    

     Zakhm tau humne in aankhon se dekhein haiN
     Logon se sunte hain marham hota hai

     Zehan ki shaakhon par ashaar aa jaate hain
     Jab  teri yaadon ka mausam hota hai  



NM
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: November 16, 2005, 04:46:35 PM »
very  nice Pooja..........bahot  khoob...

Main Hi Na Tha K Jisko Bichahrne Ka Dard Tha
Us Roz Jaane Wale Ka Chehra Bhi Zard Tha.....


Zard =  Yelow
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2005, 04:49:49 PM »
well said pooja...nice aryaan ji aur waheed!!!

toote khwabon ko anhkon ki dehelez pe sajaye hai humne,
gum ke mausam me jane kitne ansoon bahaye hai humne,
aaj sochte hai kya mila humee wafa karke sabse,
jo dil ko jane kaise kaise ummedon ke khwab dikhaye hai humne!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: November 17, 2005, 05:47:11 PM »
WB   Meena......................thanxxxxxxx......very  nice meena.....

kaise kahen hum dard ki aanch mein kaise jalte hain
mitakar anpe haathon ki lakeeron ko har pal dekhte hain
sonchte hain shayad meri  kismat  badal jaaye
isi aas  mein hum har roj jeete aur marte hain....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: November 17, 2005, 06:26:56 PM »
Roj ka marna kuch kaam na ayya
Dil ka subkana kuch kaam na ayya
Jab tak saha, bas ek bharm sa hi raha
Tmaam umar ka bharam kuch kaam na ayya!!

Jis din bole, wo bhi bol parre
Tera yah Jeevan, na kuch hamare kaam ayya!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: November 17, 2005, 06:45:49 PM »
nice  again Pooja.......

Waqt ke hathon bikharne se khud ko  na rok paaye hum,
yeh alag baat hai tumhare  dil ko jeet na paaye hum
ho gayee shaam meri jindagi ki tum dua karo
kahi  aisa na ho waqt  ke pehle mar jaaye hum....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: November 17, 2005, 07:22:57 PM »
wah!! good one waheed!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: November 17, 2005, 08:08:43 PM »
thanx waheed ...tumne aur pooja sis ne bohot acha likha!  :D

bar bar haath ki lakeeron ko kored ke kismat nahin badalti,
gumon ke mausam me yeh nani si jaan nahin sambalti,
kitni duayen ki humne Khuda se kushiyon ke liye,
par dekh ke mere yeh ansoon Khuda ki Khudai nahin pigalti!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: November 17, 2005, 08:10:06 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob Meena!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: November 17, 2005, 08:25:50 PM »
Wah..Bohat achey Meena, Waheed & Pooja....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 18, 2005, 04:09:17 PM »
Galiyoun se meri tum ne guzar ker nahin dekha
Gham yeh hai k khoushioun ne mera ghar nahin dekha

Mehroom hai woh pyar ki dolat se abhi tak
Dil jis ne kahin apna laga ker nahin dekha

Gumnaam hai woh phool gulistaan-e-jahan main
Khushboo ki tarah jis ne bikher ker nahin dekha

Aaiine faqat us ki tasalli k liye hain
Dulhan ki tarah jis ne sanwar ker nahin dekha

Yeh sach hai mera qatl sar-e-aam hoa hai
Kis ka tha mere peat main khanjer nahin dekha

Dil cheer ker nikle hain yeh ashaar mere
Afsous inhein aap ne pharh ker nahin dekha (nm)
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: November 19, 2005, 01:02:17 AM »
Very Nice Pooja....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:12:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer