na koi khawab sajaya karo!!!

by Pooja on November 15, 2005, 05:06:44 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2186 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: November 19, 2005, 04:50:16 AM »
Dil ke tootane ka asar ab kahan tak jayega
yah ashaq jo bahe hai, armaano ko kahan tak bahayega!!
Jeevan ka akelapan, na jaane kahan lekar jayega
Mout hi se shayad, is rooh ko karaar ayega!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khawab Sirf Khawab Hi Reh Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
KOI KHWAAB AAKHOH NEH SAJAYA HI NAHI by jasbirsingh in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya by zeisha in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Kaghaz kaghaz haraf sajaya karti hu~ by khushi4pari in Share: Poetry of Pain
FIR SE GULSHAN KO SAJAYA JAYE----------MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 »
Pooja
Guest
«Reply #16 on: November 19, 2005, 06:26:43 AM »
Mujko bhi gale se laga kar koi payaar kare
nahi rahe ab wo din, yah izhaar kare
andhero mai, koi to roshani dikhaye
iss subkati raat ki, kabhi to subah ayye!!

Mana gumo ka dorr hai, magar kabhi to ant ayye
kaya hoty hai khushi, koi yah bhi samjhaye
hansati kheilati hai, najar ke samne yah duniya
kabhi to koi, is duniya se, ek muskaan mere liye bhi laye!!!
Logged
Silence
Guest
«Reply #17 on: November 21, 2005, 06:27:57 PM »
na mango kushiyon ki muskan tum kisi se,
hasi ke saath yeh duniya ankhon me nami bhi deti hai,
kismat ka khel hai hum kya kare
ek puri zindagi me woh hume ek kabhi bhi deti hai!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: December 08, 2005, 04:05:41 PM »
bahoot achy Silence!!!

Hansi ke sath milla Gum humne apna liya
Milan ke sath Judai ka anna bhi gawara kiya
jo hua dard to khud ki Juban ko bhi sil liya
Phir bhi milli judai, E Rub tune yah kaya kiya!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #19 on: December 10, 2005, 02:52:44 PM »
E Rabb Tere bando ney diya Gum..
Haan khule dil se unka izhar kartey hai hum
Ke bata diya hai kisi Isq ke maare ne ye Jahan hai dagabazon ka
Issmein thori hai khusiyan Aaur Beshumar hai GUM!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #20 on: December 10, 2005, 05:13:46 PM »
na koi sunhara khawb banaya kero ....

chuke se kabhi na mere dil me yter jaya kero.....

ker rakhe hai na jane band sawal is dil me......

dil me uterker na kabhi unhe suljhaya kero......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: August 28, 2007, 06:48:32 PM »
Na jaane ab bhi kyun is dil ko dard hota hai
Samjhta hai sab, na jaane kyun nasamjh hota hai

Wafa ki nahi koi kimat is jahan mai samjh le e dil
Bedard jahan main, her insaan pathar dil hota hai

Tanha kati hai zindagi, tanha hi kat jayegi
Ansou ki dhalati sham main, Gum hi bas humdam hota hai

Kis liye karati hai Pooja, intzaar kisi subah ke ane ka
Ghane andhero main kho jaana bhi magar kaha marhum hota hai

Apni inhi socho se tadpati rah bas raat din aise hi
Dekar yah zindagi, wo khuda bekhabar tujhse sota hai!!!!

Na jaane ab bhi kyun is dil ko dard hota hai
Samjhta hai sab, na jaane kyun nasamjh hota hai...............
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: January 09, 2008, 06:28:21 PM »
Dil ke dard, ansoon ban kar na chalak jaya karo
kuch to karo hosh, kahin ander hi mujme rah jaya karo!!

Kis per karu yakeen, her koi hay yahan sirf tamashabeen
Na tarap kar, subak kar, mujko tamashaa banaya karo!!

Jo khud saath de jai to ganimat samjho
Per apni palko per, na koi khawab sajaya karo!!!

BAHUT BAHUT KHOOB POOJAJI...BAHUT SIMPLE WORDS MEIN GEHRI BAAT..
BAHUT ACHE...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: January 09, 2008, 06:31:38 PM »
bahoot bahoot shukria khwaish ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: February 29, 2008, 03:55:02 PM »
Samjha samjha kar haar gai, dil sunta hi nahi
Kyun khush hone se yah ajj bhi darta nahi
Her khushi mili, lipat kar kitne zakhmo main
Itne zakham milane per bhi kyun samjhata nahi

Chal kahin door andhero main kho jaaye
Na dekhein kisi ko hum na kisi ko najar ayye
Maan le mera kahna e Dil, bahoot dukh payega
Na saja koi khwab, khwab to khwab hai, phir toot jayega!!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:53:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer