naam ko mere tumhari hi nazar kar jata

by sakhi1909 on April 14, 2007, 08:12:03 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2243 times)
sakhi1909
Guest
hi dostoin

ek new rachan apki nazar kar rahi hun.......


Ret par likhke mera naam jab tumne
Apne hi hathoin se mitaya tha
Tab kya koi asq tumhari ankho mein
Thodi der bhar aaya tha….

Tab kya itna na hua tumse ki
Kuch der thahar jaao wohin
Aur sagar ki lahroin ka intzaar karo???
Kuch der aur yuhi mere naam ke harfo se pyar karo
Koi na koi lahar aake mita hi deti
naam mera tumhari nigahoin se hata hi deti
ya ye ankho ka samundar bhi yahi kar jata
naam ko mere tumhari hi nazar kar jata
likha tha tumne aur tumne hi mita dala tha
dil ko isi baat ne ghayal bhi kar dala tha

tumhara dil sagar ke kinare pe yun aa kar rota
tumhare asqoin se mera naam mitaya hota
ye kash!!! Mera naam is tarah tumne
ret par likh kar khud hi mitaya na hota
na gum tha mujhe koi phir tu paraya na hota
ya ret se mera naam is tarah mitaya na hota
ya mera naam kabhi ret par laaya na hota
tumne bhi asq bahaya na hota
aur phir meine bhi asq bahaya na hota……

sakhi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 14, 2007, 08:25:33 PM »
NICE sakhi
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #2 on: April 15, 2007, 06:29:43 AM »
Quote from: "sakhi1909"
hi dostoin

ek new rachan apki nazar kar rahi hun.......


Ret par likhke mera naam jab tumne
Apne hi hathoin se mitaya tha
Tab kya koi asq tumhari ankho mein
Thodi der bhar aaya tha….

Tab kya itna na hua tumse ki
Kuch der thahar jaao wohin
Aur sagar ki lahroin ka intzaar karo???
Kuch der aur yuhi mere naam ke harfo se pyar karo
Koi na koi lahar aake mita hi deti
naam mera tumhari nigahoin se hata hi deti
ya ye ankho ka samundar bhi yahi kar jata
naam ko mere tumhari hi nazar kar jata
likha tha tumne aur tumne hi mita dala tha
dil ko isi baat ne ghayal bhi kar dala tha

tumhara dil sagar ke kinare pe yun aa kar rota
tumhare asqoin se mera naam mitaya hota
ye kash!!! Mera naam is tarah tumne
ret par likh kar khud hi mitaya na hota
na gum tha mujhe koi phir tu paraya na hota
ya ret se mera naam is tarah mitaya na hota
ya mera naam kabhi ret par laaya na hota
tumne bhi asq bahaya na hota
aur phir meine bhi asq bahaya na hota……

sakhi


Waah sakhi kya khoob likha hai tumne....ek achhi tehreer ....ab kya kahooN...tumhaari yekavita muzhe un dinoi ki yaad dilati jab kabhi hum instant pratiyogita maiN shareek hone ke liye jaate the jahaaN kavita ka jawaab kavita ke roop main dena hota tha...aaj tumhaari kavita dekh ker wahi waqt yaad aa gaya......Dekho toh.....koshish kertehaiN....

____Un rete ke daanoN ko
____maine khoob udaya tha
dil ke kone se awaaz aati rahi
teri yaad ne muzhe
___is kader rulaya tha.

mehsoos hua tha tera saya
thhehra tha maiN kutchh der!!!
____LehroN ne dastak bhi di~~~~~
intezaar ka pata hi na chala
Ho gayi muzhe wahaN alakh sawer...

_____Main yuiN hi sochta raha
apne aap se bolta raha
yuiN hi mitaya tera naam..
___Is ret ke dano se!!!!!
_____yuiN hi khelta main inse
behla leta apna dil.....
 yuiN hi tere saath gaye
___un anjaan ganoN se!!!!!

___Kaash!! dekh lete tum
mere aansuoN ki pukaar
Samjhoonga uneh
_______tere is janam ka udhaar!!
AshquoN ke Gehre saagar main
Doob jaana kabhi
Jab bhi Guzro idher se
mera naam hai ab
 in ret ke daanoN maiN
Jahaan tumne kabhi likha tha
________apne naam ka sansaar
Yahi hai is janam ka udhaar
__________yahi hai is janam ka udhaar!!!!


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 15, 2007, 07:42:34 AM »
WAH TOO GOOD HARSH JI... bahoot hi acha likha hai apne......
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #4 on: April 15, 2007, 08:25:35 AM »
Quote from: "Pooja"
WAH TOO GOOD HARSH JI... bahoot hi acha likha hai apne......


Pooja ji maine kutchh nahi likha hai...Sakhi ji ki kalam ka udhaar use chukaya hai...meri kalam toh khud-b-khud hi chal padi thi.....bahoot achha likha hai usne....

Apno se abhi talak jo paya hai wahi shabdoN maiN dhala hai
khud hi andaza kareiN kis simt andera our kis simt ujhala hai


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 15, 2007, 08:30:09 AM »
pard kar likhne ka hunar jo apne paya hai
humne bhi ussi hunar ko sarahya hai
Logged
sakhi1909
Guest
«Reply #6 on: April 15, 2007, 08:56:57 AM »
Quote from: "Pooja"
NICE sakhi


thnx pooja ji
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #7 on: April 15, 2007, 09:05:59 AM »
very good.. Nice writings.
Logged
sakhi1909
Guest
«Reply #8 on: April 15, 2007, 09:27:29 AM »
Quote from: "harashmahajan"
wah sakhi kya khoob likha hai tumne....ek achhi tehreer ....ab kya kahooN...tumhaari yekavita muzhe un dinoi ki yaad dilati jab kabhi hum instant pratiyogita maiN shareek hone ke liye jaate the jahaaN kavita ka jawaab kavita ke roop main dena hota tha...aaj tumhaari kavita dekh ker wahi waqt yaad aa gaya......Dekho toh.....koshish kertehaiN....

____Un rete ke daanoN ko
____maine khoob udaya tha
dil ke kone se awaaz aati rahi
teri yaad ne muzhe
___is kader rulaya tha.

mehsoos hua tha tera saya
thhehra tha maiN kutchh der!!!
____LehroN ne dastak bhi di~~~~~
intezaar ka pata hi na chala
Ho gayi muzhe wahaN alakh sawer...

_____Main yuiN hi sochta raha
apne aap se bolta raha
yuiN hi mitaya tera naam..
___Is ret ke dano se!!!!!
_____yuiN hi khelta main inse
behla leta apna dil.....
 yuiN hi tere saath gaye
___un anjaan ganoN se!!!!!

___Kaash!! dekh lete tum
mere aansuoN ki pukaar
Samjhoonga uneh
_______tere is janam ka udhaar!!
AshquoN ke Gehre saagar main
Doob jaana kabhi
Jab bhi Guzro idher se
mera naam hai ab
 in ret ke daanoN maiN
Jahaan tumne kabhi likha tha
________apne naam ka sansaar
Yahi hai is janam ka udhaar
__________yahi hai is janam ka udhaar!!!!


Harash
[/b][/color]

kya kahun ek dam lajwaab ans diya hai mere sawaaloin ka bhaut gahraai tak pahuncha hai ye dil mein.

harsh ji
kai baar hota hai bahut kuch jannne ki chah mein jaise sagar mein lahre aati hai dil mein bhi vaise hi lahre uthati hai.

apka ans pada to dil ko bahut sukun mila laga haan koi cheez mil gai hai jiska intzaar tha woh hai mera khoya hua sukun ...jab kaphi time se gum hua kuch milta hai to bahut acha lagta hai ye to sabhi jante hi.

aapka sath ab yahan bana rahega yahi umeed hai mujhe.
sakhi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: April 15, 2007, 09:46:17 AM »
Lajawab Sakhi...and Harsh ji.....!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #10 on: April 15, 2007, 10:33:55 AM »
Sakhi

Wah! Bahut khoob =D>

Harash ji bahut achcha jawab aap ne diya hai.

Pooja aur Gaurav ka shayad dimag kaam nahi kar raha  :evil:
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #11 on: April 15, 2007, 11:19:30 AM »
Quote from: "Pooja"
pard kar likhne ka hunar jo apne paya hai
humne bhi ussi hunar ko sarahya hai


Shukriya pooja ji...aapne saraha aap bhi kutchh kam nahi
Khuda se iltaza ye hunar  rahe hum na raheiN koi gum nahi


Harash
[/b][/color]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: April 15, 2007, 11:23:36 AM »
Quote from: "sakhi1909"
Quote from: "harashmahajan"
wah sakhi kya khoob likha hai tumne....ek achhi tehreer ....ab kya kahooN...tumhaari yekavita muzhe un dinoi ki yaad dilati jab kabhi hum instant pratiyogita maiN shareek hone ke liye jaate the jahaaN kavita ka jawaab kavita ke roop main dena hota tha...aaj tumhaari kavita dekh ker wahi waqt yaad aa gaya......Dekho toh.....koshish kertehaiN....

____Un rete ke daanoN ko
____maine khoob udaya tha
dil ke kone se awaaz aati rahi
teri yaad ne muzhe
___is kader rulaya tha.

mehsoos hua tha tera saya
thhehra tha maiN kutchh der!!!
____LehroN ne dastak bhi di~~~~~
intezaar ka pata hi na chala
Ho gayi muzhe wahaN alakh sawer...

_____Main yuiN hi sochta raha
apne aap se bolta raha
yuiN hi mitaya tera naam..
___Is ret ke dano se!!!!!
_____yuiN hi khelta main inse
behla leta apna dil.....
 yuiN hi tere saath gaye
___un anjaan ganoN se!!!!!

___Kaash!! dekh lete tum
mere aansuoN ki pukaar
Samjhoonga uneh
_______tere is janam ka udhaar!!
AshquoN ke Gehre saagar main
Doob jaana kabhi
Jab bhi Guzro idher se
mera naam hai ab
 in ret ke daanoN maiN
Jahaan tumne kabhi likha tha
________apne naam ka sansaar
Yahi hai is janam ka udhaar
__________yahi hai is janam ka udhaar!!!!


Harash
[/b][/color]

kya kahun ek dam lajwaab ans diya hai mere sawaaloin ka bhaut gahraai tak pahuncha hai ye dil mein.

harsh ji
kai baar hota hai bahut kuch jannne ki chah mein jaise sagar mein lahre aati hai dil mein bhi vaise hi lahre uthati hai.

apka ans pada to dil ko bahut sukun mila laga haan koi cheez mil gai hai jiska intzaar tha woh hai mera khoya hua sukun ...jab kaphi time se gum hua kuch milta hai to bahut acha lagta hai ye to sabhi jante hi.

aapka sath ab yahan bana rahega yahi umeed hai mujhe.
sakhi



Bahoot bahoot shukriya sakhi ji...aapki kavita maiN itna karun ras tha ke usne khud b khud meri kalam se jawaab maang liya..tumeh maloom hihai...Dard kis kader khoon ki tarah meri kalam se nikalta hai...anyways...bahootkhoob likha hai aapne...us Ghazal ke baad is kavita maiN aapne apni poori jaanphoonk daalihai...bahoot khoob dost....
God bless you always


harash
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #13 on: April 15, 2007, 11:25:55 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Lajawab Sakhi...and Harsh ji.....!!


Shukriya badnaam ji


harash
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #14 on: April 15, 2007, 11:28:27 AM »
Quote from: "Rajbir"
Sakhi

Wah! Bahut khoob =D>

Harash ji bahut achcha jawab aap ne diya hai.

Pooja aur Gaurav ka shayad dimag kaam nahi kar raha  :evil:


bahoot bahoot shukriya aapka....aisa na kaheiN rajbir ji.yahaa sabhi achhe hain  our sabhi log achha likh rahe haiN...

harash
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:27:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer