NAAM

by gum on January 22, 2005, 06:39:21 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2249 times)
gum
Guest

Reit pe naam kabhi lekhte nahi,
Reit pe naam kabhi lekhte nahi,
Aap khete ho ki tum pathar dil ho,
par pathar pe likhe naam kabhi mitte nahi
Quote
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mennu Changa Naam Ditta by Devdas_online in Pain in Love : Punjabi poetry
kis naam se pukaroon by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
naam bikta hai............. by purani_jeans_aur_guitar in Shairi - E - Zindagi
BAY NAAM NAZMAIN by Dr Maqsood Hasni in Patriotic Poetry in Punjabi
nikki
Guest
«Reply #1 on: January 22, 2005, 07:17:22 PM »
kya baat hai ji aapki....

dil pathar ka ho ya shishe ka
dil to akhir dil hota hai
muhabbat mein war karne wala
hameshan qatil hota hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: January 23, 2005, 01:44:00 PM »
Thank u very much Gum....main koi shayar to nahi hun par thora bahut try karke toota foota likhne ki koshish jaroor kar leti hun...


muhabbat dil mein hoti hai
nigahen waar karti hain
dimaag samjhana chahta hai
dharkane inkaar karti hain

mohabbat aisa jazba hai
jismein har koi doobna chahta hai
kisi ko manzil milti hai
kisi ko dil ka tootna raas aata hai
Logged
a_simple_boy_4u
Guest
«Reply #3 on: January 24, 2005, 05:17:48 AM »
awesome Gum n Nikki !
 
  this is for you GUM.....

  ishq bimari nahi, ishq judai nahi.....
  karte ho gar saccha ISHQ e ADIL
  isse badi Khudai nahi......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: January 24, 2005, 06:04:32 PM »
nice all!!
Logged
mohd_i'm
Guest
gum
«Reply #5 on: January 26, 2005, 08:24:46 AM »
humesha allah k upar yaqeen karo our bus tumr zindagi tum mielajega our tum iysa kuch galta kaam karoge tho tum ko apna pyaar meeila k be nahi meelaga jub tum in k saat hooge
Logged
pandit
Guest
«Reply #6 on: January 26, 2005, 08:48:48 AM »
Quote from: "nikki"
Thank you very much Gum....main koi shayar to nahi hun par thora bahut try karke toota foota likhne ki koshish jaroor kar leti hun...


muhabbat dil mein hoti hai
nigahen waar karti hain
dimaag samjhana chahta hai
dharkane inkaar karti hain

mohabbat aisa jazba hai
jismein har koi doobna chahta hai
kisi ko manzil milti hai
kisi ko dil ka tootna raas aata hai


nice nikkiji..
mohabbat aisa jazba hai,
jis se har ek dil gugarta hai,
sabhi k dil toot te hai,
sabhi naakaam hote hai.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #7 on: January 26, 2005, 09:08:35 AM »
Quote from: "nikki"
Thank you very much Gum....main koi shayar to nahi hun par thora bahut try karke toota foota likhne ki koshish jaroor kar leti hun...


muhabbat dil mein hoti hai
nigahen waar karti hain
dimaag samjhana chahta hai
dharkane inkaar karti hain

mohabbat aisa jazba hai
jismein har koi doobna chahta hai
kisi ko manzil milti hai
kisi ko dil ka tootna raas aata hai


Gud one nikki ji,

Mohabbat ne kabhi kisi ko dukh nahi diya hai mere dost,
Ye toh wo pak jajba hai jo sukoon e dil deta hai.
Magar insaan ishq mein karar kare toh kya kare koi,
Wo unko pane ka jajba hi toh dard e dil deta hai.
Ishq mein tum iqrar karo karar na karo,
Unko chaho magar pane ki shart yaar na karo.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: January 26, 2005, 02:51:34 PM »
wah!!! bahoot khoob!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 26, 2005, 02:59:55 PM »
her judai sahi teri payar ke khatir
magar bewafai sahi na jayegi
judai mai raha, milane ka sapna
bewafai, har sapane ko das jayegi!!!!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: January 26, 2005, 03:11:33 PM »
Quote from: "Pooja"
her judai sahi teri payar ke khatir
magar bewafai sahi na jayegi
judai mai raha, milane ka sapna
bewafai, har sapane ko das jayegi!!!!!!


Wah pooja ji,

Milan ke geet gao tum, kyu baat e judai karti ho,
Gar tumhara pyar saccha hai toh kis bat se darti ho.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: January 26, 2005, 03:21:26 PM »
suchy payar ka dhaga, kismat se takraya hai
hai us per vishwaas, khud ki kismat ne daraya hai
jab bhi manjil samane aai, kismat ne haraya hai
sabkuch pakar bhi, kismat ne bhikhari ajj banaya hai!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: January 26, 2005, 03:27:52 PM »
Nice one gum ji!!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #13 on: January 26, 2005, 03:45:42 PM »
Quote from: "Pooja"
suchy payar ka dhaga, kismat se takraya hai
hai us per vishwaas, khud ki kismat ne daraya hai
jab bhi manjil samane aai, kismat ne haraya hai
sabkuch pakar bhi, kismat ne bhikhari ajj banaya hai!!!!


Wah Pooja ji,

Kismat ke sahare jo jiya uska yahi haasil hai,
Jisne uska daman pakda, wo iske hi kabil hai,
Ladkar apna haq lena hi deewano ki manjil hai,
Jisne kismat ko dekha, wo hare huo mein shamil hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: January 26, 2005, 03:48:33 PM »
wah!!!! thycreator ji bahoot khoob!!!

baat bahoot paty ki apne batai hai
per meri kahani to khuda se takraai hai
uske kaya kaise haq mangoo
her haq ki karri, ussi ne to banai hai!!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:09:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer