naam tera pyaar say likhti hain ungaliyaan(personal)

by muneeb on September 14, 2004, 12:15:41 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1139 times)
muneeb
Guest
Jab naam tera pyaar say likhti hain ungaliyaan,
Meri taraf zamanay ki uthti hain ungaliyaan !

Daaman sanam ka haath mein aayaa tha ek pal,
Din raat us hi pal say mehkati hain ungaliyaan !

Jis din say door ho gayey, us din say hi sanam,
Bas din tumharay aanay kay ginti hain ungaliyaan !

Pathar tarash kar na bana Taj ik naya,
Fankaar ki jahaan mein kat-ti hain ungaliyaan !

Jab naam tera pyaar say likhti ungaliyaan,
Meri taraf zamanay ki uthti hain ungaliyaan !
Logged
muneeb
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2004, 07:30:32 PM »
Mehsoos kar raha hoon fir tassavoor mein tazgi
shayad phir tere ehsaas ne chhoo liya mujhe
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2004, 08:12:36 PM »
wah bahoot khoob...
Logged
muneeb
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2004, 08:17:34 PM »
Thank you Pooja

MAIN NAY TUM KO YAAD KIA

1) Chahat Kay Is Dharay Per,
Darya Or Kenaray Per
DIL(L) Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

2) Tanhaee Ke Ratoon Main,
Khud He Batoon Batoon Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

3) Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

4 ) Is Jewan Kay Nesaaboon Main,
Or Ratoon Kay Khawaboon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

5) Phool Yah Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: September 15, 2004, 08:36:58 PM »
wah bahoot khoob
Logged
muneeb
Guest
«Reply #5 on: September 16, 2004, 10:44:39 AM »
Thank you pooja jee
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #6 on: September 16, 2004, 03:28:40 PM »
Kisi kabr ko mera bhi intezaar hoga
ek kafan mera bazaar mein bhi tow pada hoga.
Woh jagah dekhne ko mann mera tarasta hai
jahan iss zameen ke Insaan ko banaya gaya hoga.

Haqeeqat ka saamna mujhe bhi karna hai
bas ek naye pal ko chukar zindagi ko badalna hoga.
Mila kisi ka saath tow jeena aasaan ho jayega
varna iss veeran zindagi mein marr-marr ke jeena hoga.

Pyar mujhko bhi zindagi se bahut hai
magar sone se pehle khud per kafan daalna zaroori hoga.
Maut sochne per main darr bhi jaata hoon
ki khud ko oothane mein mujhe haath tow lagana hoga
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: September 16, 2004, 03:46:36 PM »
nice yasir.
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #8 on: September 16, 2004, 04:06:11 PM »
GR8 YASIR
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #9 on: September 17, 2004, 12:14:53 PM »
Thanx
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: September 17, 2004, 12:31:19 PM »
Nice one Muneeb and Yasir, really too good!!!

Bas ye hua ki usne takalluf se baat ki
aur humne aansuoan se dupatte bhigo liye. (Parveen Shakir)
Logged
muneeb
Guest
«Reply #11 on: September 17, 2004, 03:12:23 PM »
Thank you sir
Logged
limra
Guest
«Reply #12 on: March 28, 2010, 02:00:01 PM »
wah bahut khoob
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: March 28, 2010, 02:04:07 PM »
bahut khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:01:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer