nadaan dil ****

by ranjana on March 30, 2007, 02:52:41 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2364 times)
ranjana
Guest
yun is qadar na chaho hamko
dil  hai yah aksar nadaani kar jaata hai

yah dikahata  hai aksar khawaab wahi hamko
jo kabhi sach zindagi mein  ho nahi paata hai

chura leta hai yah neend aankho ki
fir beqarar ho ke rulaata hai tadpaata hai

kaun samjah paaya hai yahan dard mera
jo bhi aata hai bas ek zakham aur de jaata hai

kyu jaalte ho aas ka deep apne dil mein
yah deep aksar zindagi mein andhera hi bhar jaata hai

mat raha karo yun udas udas meri yaado mein
aksar yah udas dil hi zindagi tanah kar jaata hai !!

ranju
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nadaan Dil by Preet.Dehlvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dil-e-nadaan by Ravi_Dave in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aise Nadaan the Ham.. by NETRAPAL in Shayri for Dard -e- Judai
Nadaan Dil................... by palkhi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dil - e- nadaan by diya786 in Ghazals
paani
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2007, 04:20:52 AM »
Quote from: "ranjana"
yun is qadar na chaho hamko
dil  hai yah aksar nadaani kar jaata hai

yah dikahata  hai aksar khawaab wahi hamko
jo kabhi sach zindagi mein  ho nahi paata hai

chura leta hai yah neend aankho ki
fir beqarar ho ke rulaata hai tadpaata hai

kaun samjah paaya hai yahan dard mera
jo bhi aata hai bas ek zakham aur de jaata hai

kyu jaalte ho aas ka deep apne dil mein
yah deep aksar zindagi mein andhera hi bhar jaata hai

mat raha karo yun udas udas meri yaado mein
aksar yah udas dil hi zindagi tanah kar jaata hai !!

O Ranjana.. badi hi baariki se mohobbat ke dard ka ahsaas karwya hai aap ne

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2007, 06:19:30 AM »
shurkiya paani ......aapne iske jazbaato ko samjha
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: March 30, 2007, 06:26:46 AM »
mujhse kaha hai aaj mere dil ne
ki chaand ko chahao jee bhar ke
par uski tamana yun kiya na karo
woh ho nahi sakata kisi ek ka yahan
yun har pal usko besabab yaad kiya na karo

na kaho apne dil ki baat yahan kisi se
yahan pal mei afsaane ban jaate hain
yun kar ke bhrosa har kisi par tum
yun raaz apne dil ke diya na karo

pee lo yahan har dard ko dil mein
par uska jikar apne geeto mein kiya na karo
rona bhi ho toh chupke se rona yahan
uski bahaaon mein sambhalne ki umeed mein jeeya na karo !!

ranju
Logged
phoenix
Guest
«Reply #4 on: March 30, 2007, 07:02:37 AM »
chand ko chahna koi bhul nahi hoti
zindagi  phoolo.n ki sej nahi hoti
hoti hai mohabbat sabko poonam k chand se
par jo chahe usse amavas mein wo aashiqi sabse nahi hoti
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: March 30, 2007, 12:52:46 PM »
Ranju di... Bahut achha likha hai aapne...  Dono nazm bahut achhi lagii...

Phoenix... Wonderful Reply by you...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: March 30, 2007, 01:36:30 PM »
SHUKRIYA SHIKHA ....BAHUT KHOOB NITTU .....GOOD REPLY ..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: March 30, 2007, 01:51:13 PM »
yun dil mein koi aas ka deep na jalaao
yun fir hame zindagi ka sach na baatao

rahne do mere dil ko yun hi tanha udas sa
fir se koi pyaar ka geet na ab dohaaro

chalata nahi yun koi saath har pal kisi ke
jin rasato ki na ho manzil woh phoolo se na sajaao

jaante hain hum ki zindagi ki haqiqat hai kya
in badrang hoti meri parchaai ko rango se na bharmaao

ranju
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #8 on: March 30, 2007, 02:56:21 PM »
Quote from: "ranjana"



kaun samjah paaya hai yahan dard mera
jo bhi aata hai bas ek zakham aur de jaata hai




 behad umda line hai ........touching 1 and true.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: March 30, 2007, 06:14:28 PM »
bohat khoob ranjana ji,awesome.
Logged
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #10 on: March 31, 2007, 11:32:44 AM »
bahut acche ranjana jeeeee

bahut accha likhti hai aap
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: April 03, 2007, 10:08:23 AM »
shukriya fahi ..nidhi ,,ankur ..




mil na saki koi khusi tere daaman se
toh kyu dard se hum bhar jaaye
tere diye zakahm dete hain sakun
meri zindagi bikhre inhi se
aur fir inhi se kuch sambhal jaaye !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: April 04, 2007, 12:08:29 AM »
Very Nice Ranjana & Nice One Phoenix...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: April 04, 2007, 10:15:39 AM »
dil -e-nadaan ko yahi tasali hai mere
ki wah akela hi is duniya mein  barbaad nahi hai

sab hai yahan ajnabi dil se ek duje ke
par kahne ko yun saath chalte hamsfar kai hai

hai ek naqaab sabke chehare par koi chipka hua
har shaqs mein baste yahan vajood kai hai

bhaag rahi hai zindagi na jaane kis ki talash mein
sab ke dil mein chiapa hua ek sehera sa kahi hai!!
Logged
paani
Guest
«Reply #14 on: April 05, 2007, 05:29:20 AM »
Quote from: "ranjana"
yun is qadar na chaho hamko
dil  hai yah aksar nadaani kar jaata hai

yah dikahata  hai aksar khawaab wahi hamko
jo kabhi sach zindagi mein  ho nahi paata hai

chura leta hai yah neend aankho ki
fir beqarar ho ke rulaata hai tadpaata hai

kaun samjah paaya hai yahan dard mera
jo bhi aata hai bas ek zakham aur de jaata hai

kyu jaalte ho aas ka deep apne dil mein
yah deep aksar zindagi mein andhera hi bhar jaata hai

mat raha karo yun udas udas meri yaado mein
aksar yah udas dil hi zindagi tanah kar jaata hai !!

ranju


Gr8 Ranju
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:07:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer