NAHEEN HOON MAIN - ZARRAA

by zarraa on November 15, 2013, 01:26:32 AM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 3200 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #15 on: November 16, 2013, 01:57:45 AM »

waah waah zarra jee..beinteha umda ghazal rahi..
Sabhi aashar ek se badh kar ek par ye quoted aasahr bahut pasand aaye..
Dhero dhero daad..happy9


Nashwani ji ... ji aap ka bahaut bahaut shukriya is ghazal ko kisi layak samajhne ke liye ... inaayat aap ki ... shukriya ....
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #16 on: November 16, 2013, 03:08:54 AM »
Janaab, ye ek naakaam koshish nahiN, balki ek aala darje ki ghazal hai, nihayat asardaar, Ghalib ke mayaar ke saath poora poora insaaf kiya hai aapne. Jitni taareef karuN kam hogi. Ghazal se ye ashaar khaas pasand aaye:


apnee zubaaN se kya kahooN kyaa-kyaa naheeN hooN maiN
tujh ko n ho khabar to kaheeN kaa naheeN hooN maiN


thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN


“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN


Aur mera sab se pasandeeda sher is ghazal ka:


"ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN"


Mujhe ye sher bahut pasand aaya, maiN kaise bayaan karuN is ki khaasiyat, kuch kaan ko yuN na pakad kar yuN ghuma kar pakadne jaisa, kuch poshidgi se baat ko kehne jaisa. Aur shayari ka ye tareeqa bahut asardaar hota hai bajaae baat ko seedhe kehne ke. Magar ek baat- zulf ko "ambar" ke bajaae "badlee" ya is wazn meN kuch aur kaheN to zyaada achha hoga mere khayaal se.


Bahut bahut daad aur mubarakbaad aur saath meN ek Rau bhi.
Logged
khujli
Guest
«Reply #17 on: November 16, 2013, 01:29:22 PM »
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN


apnee zubaaN se kya kahooN kyaa-kyaa naheeN hooN maiN
tujh ko n ho khabar to kaheeN kaa naheeN hooN maiN


chaltaa hooN le ke rakht*-e-safar toote waayde
manzil pe is liye kabhi pauNhchaa naheeN hooN maiN


yaaroN n phir saleeb se aaooNgaa laut kar
badlegaa bhi n kuchh ke maseehaa naheeN hooN maiN


aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN


ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN


kehte haiN mujh ko ishq hai bas be-hayaaoN se
naadaaN hooN maiN ishaare samajhtaa naheeN hooN maiN


khaamoshiyaaN theeN baais*-e-tarq*-e-wafaa magar
shikwe bhi hoN n hoNth pe aisaa naheeN hooN maiN


thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN


“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN


- ZARRAA



*
azaab = punishment
rakht = bag & baggage
baais = cause
tarq = relinquish
tishnaa = thirsty


jaisa ki ahl-e-sukhan samajh gaye hoNge, is ghazal ka radeef ghalib ki ghazal “daayam parhaa huwa tere dar par naheeN hooN maiN” par hai. ghalib ke is azeem qalaam se mutaasir ho kar, ye ek naaqaabil shikastah si koshish ki gayee hai.



 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

boss!!!!!!!!!!! first time , mujhe samajh aaya aap ka likha hua

 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile one rau is ghazal per due raha
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #18 on: November 16, 2013, 02:20:38 PM »
bahut khoob ek rau ke saath daad


Bahaut bahaut shukriya Saini sahab daad aur rau ka !!!
Logged
shara63
Guest
«Reply #19 on: November 16, 2013, 02:42:17 PM »
 Applause Behtareen!......aksar logon ne Ghalib sb ko apna ideal bana unki legacy ke saath chalne ki kosish ki hai aur kuchh isme kaamyab bhi rahe hain...magar aaj jo insaaf aapke is kalaam ne kiya hai woh waqai nayaab hai aur iske liye beshak aap dheron-dher daad aur mubaarakbaad ke haqdaar hain.
zarra ji, meri jaanib se bahut si daad-o-mbaarak qubool kijiye!
'shara'
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #20 on: November 16, 2013, 02:56:13 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
awesome, beautiful, lajawaab, bemishal, aur jitne bhi lafz bane ho tareef me wo sare ish ghazal pe qurbaan... Usual Smile

khush kar diya ji bahut hi umdaa peshkash..
dili mubarakbaad kubul kare.. Usual Smile


Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #21 on: November 16, 2013, 03:31:38 PM »
Bahut khoob.

Aap ka bahaut bahaut dhanyavaad Srishti Raj ji .....
Logged
aqsh
Guest
«Reply #22 on: November 16, 2013, 04:03:17 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Zarraa ji is umda aur ala peshkash ke kya kehne.. tareef ke liye alfaaz nahin mil rahe.. sabhi ashaar zabardastttttttttttt hue... aapko is khoob kalaam par hazaron hazaron daaaaaad qubool ho..khaas yeh ashaar dil ko chhoo gaye..

kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN

aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN

ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN

thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #23 on: November 16, 2013, 05:43:24 PM »
Jabardast zarra ji, har ashar ek se badhkr ek. Saawan.

Inaayat Zaif ji .... hauslafzaayee ka bahaut bahaut shukriya !!!
Logged
mkv
Guest
«Reply #24 on: November 16, 2013, 05:49:13 PM »
Bahut bahut khoob Zarra saheb
in ashaaron par khususi daad

yaaroN n phir saleeb se aaooNgaa laut kar
badlegaa bhi n kuchh ke maseehaa naheeN hooN maiN

aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #25 on: November 16, 2013, 08:21:22 PM »
बहुत खूब ज़र्रा जी...बहुत खूब.....

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

बहुत बहुत धन्यव।द अमित जी ...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #26 on: November 16, 2013, 09:22:28 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP just excellent

Thank you so very much Premdeep ji ...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #27 on: November 16, 2013, 10:22:24 PM »
Clapping Smiley ;clapping: Clapping Smiley

Mai kya kahuN Zarraa Jii... Just Awesome...

Thank you very much Saman ji ...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #28 on: November 17, 2013, 04:01:09 PM »
Janaab, ye ek naakaam koshish nahiN, balki ek aala darje ki ghazal hai, nihayat asardaar, Ghalib ke mayaar ke saath poora poora insaaf kiya hai aapne. Jitni taareef karuN kam hogi. Ghazal se ye ashaar khaas pasand aaye:


apnee zubaaN se kya kahooN kyaa-kyaa naheeN hooN maiN
tujh ko n ho khabar to kaheeN kaa naheeN hooN maiN


thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN


“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN


Aur mera sab se pasandeeda sher is ghazal ka:


"ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN"


Mujhe ye sher bahut pasand aaya, maiN kaise bayaan karuN is ki khaasiyat, kuch kaan ko yuN na pakad kar yuN ghuma kar pakadne jaisa, kuch poshidgi se baat ko kehne jaisa. Aur shayari ka ye tareeqa bahut asardaar hota hai bajaae baat ko seedhe kehne ke. Magar ek baat- zulf ko "ambar" ke bajaae "badlee" ya is wazn meN kuch aur kaheN to zyaada achha hoga mere khayaal se.


Bahut bahut daad aur mubarakbaad aur saath meN ek Rau bhi.

Janaab Iftakhaar sahab ... main kya kahoon ... dil kis qadar mashkoor o mamnoon ho gaya aap ka inaayat nawazish aur mohabbat se bhara paighaam dekh kar ... sach, aap jis lutf baareekee qadradaanee aur zauq se qalaam ko dekhte hain ghaur karte hain aur daad dete hain, us ko us ka sahi muqaam ataa ho jaataa hai ... aur aap ke mashwara bhi hamesha hi qaabil e ghaur hote hain .... barha hi baareek nuktah nikaalaa hai janaab zulf ka kis shai se maqabla karne ka ... ye waqayee ek qaabil e ghaur nuktah hai .... main ne khud bahaut baar socha tha is sher par, kyunki mujhe laga ki zulf ke liye koyee kaale rang ki shai ka istemaal karna chahiye, phir ye laga ki sher ke aakhir tak ye baat saaf ho jaayegi ke baat raat ki ho rahi hai aur usmein ambar kaale rang ka hi hota hai Usual Smile ....lekin aap ka mashwara bhi 100% durust is liye hai ke zulf ke ambar se zyaada natural aur appropriate descriptors definitely ho sakte hain .... zaroor sochenge is par Janaab

bhai, 100 baat ki 1 baat ... maza aa gaya aap ka reply dekh kar ... aur ummeed hai aap ka keemtee saath yoon hi bana rahega .... aur mujh ko aap ke agle qalaam ka intezaar rahega hamesha ki tarah .... duaaein !!!
Logged
khujli
Guest
«Reply #29 on: November 17, 2013, 05:16:34 PM »

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

boss!!!!!!!!!!! first time , mujhe samajh aaya aap ka likha hua

 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile one rau is ghazal per due raha

boss!!!!! rau de diya

 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:19:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer