NAHEEN HOON MAIN - ZARRAA

by zarraa on November 15, 2013, 01:26:32 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 3230 times)
Risk
Guest
«Reply #30 on: November 17, 2013, 06:16:16 PM »
bohat umda
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #31 on: November 17, 2013, 07:55:27 PM »

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

boss!!!!!!!!!!! first time , mujhe samajh aaya aap ka likha hua

 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile one rau is ghazal per due raha


chaliye sahab ... aakhir wo din aayaa to sahi Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile ji ye aaj meree khuskismati hai aur ab tak meri badkismati rahi ... beshaq ye mere pehle ke qalaam ki kamzorI hai .... chaliye dekhiye aage kaisa rehta hai ... I hope for the best Usual SmileUsual SmileUsual Smile ... waise bahaut bahaut shukriya Qalb sahab ki aap ne is koshish ko pasand kiya .... bahaut bahaut shukriya aap ka ...aur rau ki advance booking karwaane ka bhi shukriya ... aapne apna waayda poora kar diya hai, ye bhi dekha maine ... thanks again .... aur aap ke pur lutf qalaam ke bhi hum kaayal hain .... thx & take care !!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #32 on: November 17, 2013, 07:56:40 PM »
boss!!!!! rau de diya

 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile

Thank You Boss !!!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #33 on: November 18, 2013, 12:25:44 AM »
Applause Behtareen!......aksar logon ne Ghalib sb ko apna ideal bana unki legacy ke saath chalne ki kosish ki hai aur kuchh isme kaamyab bhi rahe hain...magar aaj jo insaaf aapke is kalaam ne kiya hai woh waqai nayaab hai aur iske liye beshak aap dheron-dher daad aur mubaarakbaad ke haqdaar hain.
zarra ji, meri jaanib se bahut si daad-o-mbaarak qubool kijiye!
'shara'

Shara ji ... bahaut bahaut inaayat hai aap ki aap ne jis tarah hauslafzaayee ki hai .... waqai, Ghalib jaise azzem shayar ne kayee generations ko inspire kiya hai aur unki legacy hamari tehzeeb ko ek naayab tohfa hai, to dar bhi lagta hai ki kaheen us ke saath naainsaafee na ho jaaye us se kuchh seekhne ki koshish mein ... aapki daanishmand daad se tasalli bhi huwee aur hausla bhi mila .... aap ka main behad shukrguzaar hoon !!!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #34 on: November 18, 2013, 01:31:35 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
awesome, beautiful, lajawaab, bemishal, aur jitne bhi lafz bane ho tareef me wo sare ish ghazal pe qurbaan... Usual Smile

khush kar diya ji bahut hi umdaa peshkash..
dili mubarakbaad kubul kare.. Usual Smile


Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Touhid ji ... is mohabbat bhari daad ka shukriya karne ke liye bhi alfaaz naheen mere paas ... bas tah e dil se aap ka shukrguzaar hoon main ...
Logged
khujli
Guest
«Reply #35 on: November 18, 2013, 03:51:37 PM »

chaliye sahab ... aakhir wo din aayaa to sahi Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile ji ye aaj meree khuskismati hai aur ab tak meri badkismati rahi ... beshaq ye mere pehle ke qalaam ki kamzorI hai .... chaliye dekhiye aage kaisa rehta hai ... I hope for the best Usual SmileUsual SmileUsual Smile ... waise bahaut bahaut shukriya Qalb sahab ki aap ne is koshish ko pasand kiya .... bahaut bahaut shukriya aap ka ...aur rau ki advance booking karwaane ka bhi shukriya ... aapne apna waayda poora kar diya hai, ye bhi dekha maine ... thanks again .... aur aap ke pur lutf qalaam ke bhi hum kaayal hain .... thx & take care !!



boss!!!!!!!!!!!! kamee aap kee shayree me.N nahin hai meree samjhdaanee bahut hee tungg hai. khwaab me.N , ghalib uncle, meer uncle,daagh uncle, majaz uncle, aksar aate rahe hain aur laat maar ku kahte hain kamabkhat jab tujhe sher-o-shayree kee tameez nahin hai toh YOINDIA pe kyon jaata hai.


 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #36 on: November 18, 2013, 10:53:25 PM »

boss!!!!!!!!!!!! kamee aap kee shayree me.N nahin hai meree samjhdaanee bahut hee tungg hai. khwaab me.N , ghalib uncle, meer uncle,daagh uncle, majaz uncle, aksar aate rahe hain aur laat maar ku kahte hain kamabkhat jab tujhe sher-o-shayree kee tameez nahin hai toh YOINDIA pe kyon jaata hai.


 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile

Ha ha ha .... chaliye achchha hai aap ne uncles ki baat naheen suni Usual SmileUsual SmileUsual SmileUsual SmileUsual Smile
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #37 on: November 19, 2013, 04:32:50 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Zarraa ji is umda aur ala peshkash ke kya kehne.. tareef ke liye alfaaz nahin mil rahe.. sabhi ashaar zabardastttttttttttt hue... aapko is khoob kalaam par hazaron hazaron daaaaaad qubool ho..khaas yeh ashaar dil ko chhoo gaye..

kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN

aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN

ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN

thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Aqsh ji ...  aapne jis tarah is koshish ko tawajjo di aur is par ghaur kiya ..... shukriya ke alfaaz humein naheen mil rahe hain aur hazaar hazaar baar shukriya humein adaa karna chaahiye aap ka .... aap ki hauslafzaayee bahaut ahmiyat rakhti hai ... aur jis tarah aap is bazm ko aabaad aur charaaghaan banaaye rakhne  ke liye baraabar jatan karteen rehti hain us ka bhi main ehteraam karta hoon ...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #38 on: November 19, 2013, 07:25:50 PM »
Bahut bahut khoob Zarra saheb
in ashaaron par khususi daad

yaaroN n phir saleeb se aaooNgaa laut kar
badlegaa bhi n kuchh ke maseehaa naheeN hooN maiN

aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN


Inaayat Mukesh ji ... pasand karne ka bahaut bahaut shukriya
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #39 on: November 19, 2013, 10:42:21 PM »
bohat umda

Shukriya Risk ji ...
Logged
khujli
Guest
«Reply #40 on: November 19, 2013, 10:47:14 PM »
Ha ha ha .... chaliye achchha hai aap ne uncles ki baat naheen suni Usual SmileUsual SmileUsual SmileUsual SmileUsual Smile



boss!!!!!!!!!!!!!!!! aisee baat nahin hai .maine unn UNCLES kee baat ko bahut ghambheerta se liya. phir mere mandd buddee ne ek kamaal kiya vo ye ....kee....

main ne uncle ghalib ko meer kee ghazal suna dee.
        uncle meer ke mazaj ko suna dee.

phir minjumla saare uncles iss conclusion pe pahoonch gaye kee QALB sher-o-shayree kee achee samjh rakhta hai. isee liye mujhe YOINDIA per aane kee ijaazt mil gayee.


 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
sbechain
Guest
«Reply #41 on: November 22, 2013, 03:17:35 AM »
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))yaani sab se badaa aazaab hoon main

apnee zubaaN se kya kahooN kyaa-kyaa naheeN hooN maiN
tujh ko n ho khabar to kaheeN kaa naheeN hooN maiN
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))mujhe khoob khabar hai kya-kya ho tum. chaalbaaz, phandebaaz, bundlebaaz , aur jitne tarah ke baaz honge sab.....
 

chaltaa hooN le ke rakht*-e-safar toote waayde
manzil pe is liye kabhi pauNhchaa naheeN hooN maiN
mujhe safar ka saathi rakh lete to manzil ke paar pahoocha deti icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

yaaroN n phir saleeb se aaooNgaa laut kar
badlegaa bhi n kuchh ke maseehaa naheeN hooN maiN

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN
buss ek zara pyaar bhi saath rakh lete to kya kahne. waise ek baat kahoon yehi nafrat jab dheere dheere pyaar mein badalne lagti hai naaa ...to phir aisi mohabbat hoti hai ki mat poochho...... tajurbe ki baat kah rahi hoon Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))tauba -tauba meri khoobsoorti aisi bhi nahin ki neend udaa de

kehte haiN mujh ko ishq hai bas be-hayaaoN se
naadaaN hooN maiN ishaare samajhtaa naheeN hooN maiN
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard ishq ke bhi ishaare hote hain kya. mere liye news hai. main ne to traffic ke signal sune hain ji

khaamoshiyaaN theeN baais*-e-tarq*-e-wafaa magar
shikwe bhi hoN n hoNth pe aisaa naheeN hooN maiN
haan insaan ho. reaction karna laazmi hai warna log pattar samjhein ge icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN
to paani peeo. aur kisi liquid se pyaas nahin bujh ne waali janaab Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
chhahe nazro.n se pee lo, paimaane se pee lo balaaaa balaaaa tongue3 tongue3 tongue3 tongue3 tongue3!


“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN
ji aap apne aap mein ek poora circus hain ji, bi scope hai ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

- ZARRAA



*
azaab = punishment
rakht = bag & baggage
baais = cause
tarq = relinquish
tishnaa = thirsty


jaisa ki ahl-e-sukhan samajh gaye hoNge, is ghazal ka radeef ghalib ki ghazal “daayam parhaa huwa tere dar par naheeN hooN maiN” par hai. ghalib ke is azeem qalaam se mutaasir ho kar, ye ek naaqaabil shikastah si koshish ki gayee hai.



MR PARTICLE, aaj nahin kal RAU doon gi insahaallah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!



ALLAH bachaaye itni lambi ghazal likhne waalo.n se. ghazal mein itni baatein karte hain to seedhe lafzo.n mein kitna kahte hon ge
icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
admani
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 1 hours and 45 minutes.
Posts: 213
Member Since: Oct 2006


View Profile
«Reply #42 on: November 22, 2013, 07:45:01 PM »
ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN

thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN

“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN


wah wah wah wah wah!!! Bohat hi khoob likha hai aapnay..yeh 3 sher mujhe bohat zyada pasand aaye..bohat hi khoobsurat takhleeq ki hai aapnay yeh ghazal..aaj mera din bana diya aapnay..bohat bohat shukriya..aapki agli ghazal ka shiddat se intezaar rahe ga
Logged
sbechain
Guest
«Reply #43 on: November 22, 2013, 09:02:27 PM »


MR PARTICLE, aaj nahin kal RAU doon gi insahaallah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!



ALLAH bachaaye itni lambi ghazal likhne waalo.n se. ghazal mein itni baatein karte hain to seedhe lafzo.n mein kitna kahte hon ge
icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

            MR PARTICLE,rau de diya maine icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
vb
Guest
«Reply #44 on: November 22, 2013, 11:33:11 PM »
zarra ji !  maazerat k saath kabhi aap k kalaam ko parhnay ki sa'aadat naseeb na ho saki hamen... aaj aisay he yahan say guzray tu nazar pari... Mashallah buhat he zabardast girift dekhnay main aai...  buhat achhi lagi hamen aap ki ye ghazal...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:45:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer