NAHEEN HOON MAIN - ZARRAA

by zarraa on November 15, 2013, 01:26:32 AM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 3201 times)
Dineshkumarjonty
Guest
«Reply #45 on: November 22, 2013, 11:49:54 PM »
dil ke tukde kar diye beshak khuda honge tum
magar insaan nahi hoo ab mai........

mai abhi likhna seekh raha hoo
galib ji sorry......and zarra ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #46 on: November 23, 2013, 02:21:15 PM »


MR PARTICLE, aaj nahin kal RAU doon gi insahaallah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!



ALLAH bachaaye itni lambi ghazal likhne waalo.n se. ghazal mein itni baatein karte hain to seedhe lafzo.n mein kitna kahte hon ge
icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Sheba ji ... aadaab ...

Har baar ki tarah is qadar pur lutf daad paa kar (ise daad hi samajh rahe hain hum Usual SmileUsual SmileUsual SmileUsual SmileUsual SmileUsual Smile ) ghazal likhne ki saaree thakan door ho jaatee hai .... lekin saath saath hansee mazaak mein hi jis tarah aapne kuchhh aashaar ke androonee maanee par paar hone waalee nazar dikhaaye hai ... us par aap ko daad dene ka ji chaahta hai .... aur dil ki gehraaaiyon se shukriya ki aawaaz nikalti hai kyunki wo sher sahi maayne mein muqammal ho jaate hain .... misaal ke taur par aapne matle mein jo maanee pinhaan tha ws ko dhoondh nikaalaa (chaahein taghazzul tanziya hi kyun na tha Usual Smile ).... sher kehne ki sahi khushi use dekh kar hi huwee ...waah waah aap ko !!

baakee, lambi ghazal likhne ke gunaah ka ehteraaf to hum pehle bhi kar chuke hain ... aur is ke liye hum maazrat khwaah the, hain aur rahenge ... sad5sad5sad5sad5sad5

aur rau ka thank you dena to reh hi gaya...so us ka bhi shukriya ...

dua ke saath ... zarraa
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #47 on: November 23, 2013, 03:13:48 PM »
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN


WAAH WAAH ZARRA SAHAB KYA KHOOB BAYANI KI HAI
APNA MUQAAM BARABER RAKHA HAI AUR APNA HAAL BATAYA BHI HAI

BOHUT KHOOB LAJAWAAB

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #48 on: November 23, 2013, 06:12:06 PM »
ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN

thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN

“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN

wah wah wah wah wah!!! Bohat hi khoob likha hai aapnay..yeh 3 sher mujhe bohat zyada pasand aaye..bohat hi khoobsurat takhleeq ki hai aapnay yeh ghazal..aaj mera din bana diya aapnay..bohat bohat shukriya..aapki agli ghazal ka shiddat se intezaar
rahe ga


Admani ji ... Tashreef laane ka bahaut bahaut shukriya. Aapne jo ye dil se daad di hai us ka mashqoor o mamnoon hooN...badi inaayat hai aap ki .... Shukriya janaab !!!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #49 on: November 24, 2013, 08:55:54 PM »
zarra ji !  maazerat k saath kabhi aap k kalaam ko parhnay ki sa'aadat naseeb na ho saki hamen... aaj aisay he yahan say guzray tu nazar pari... Mashallah buhat he zabardast girift dekhnay main aai...  buhat achhi lagi hamen aap ki ye ghazal...

Janaab VB ji ... tashreef laane ka bahaut bahaut shukriya ... aur aapki daad aur hauslafzaayee ka ehsaanmand hoon ... tah e dil se shukriya aap ka .... duaein...
Logged
suman59
Guest
«Reply #50 on: November 24, 2013, 10:29:30 PM »
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN


apnee zubaaN se kya kahooN kyaa-kyaa naheeN hooN maiN
tujh ko n ho khabar to kaheeN kaa naheeN hooN maiN


chaltaa hooN le ke rakht*-e-safar toote waayde
manzil pe is liye kabhi pauNhchaa naheeN hooN maiN


yaaroN n phir saleeb se aaooNgaa laut kar
badlegaa bhi n kuchh ke maseehaa naheeN hooN maiN


aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN


ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN


kehte haiN mujh ko ishq hai bas be-hayaaoN se
naadaaN hooN maiN ishaare samajhtaa naheeN hooN maiN


khaamoshiyaaN theeN baais*-e-tarq*-e-wafaa magar
shikwe bhi hoN n hoNth pe aisaa naheeN hooN maiN


thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN


“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN


- ZARRAA



*
azaab = punishment
rakht = bag & baggage
baais = cause
tarq = relinquish
tishnaa = thirsty


jaisa ki ahl-e-sukhan samajh gaye hoNge, is ghazal ka radeef ghalib ki ghazal “daayam parhaa huwa tere dar par naheeN hooN maiN” par hai. ghalib ke is azeem qalaam se mutaasir ho kar, ye ek naaqaabil shikastah si koshish ki gayee hai.


bahut bahut umda .... keep writing  Thumbs UP Thumbs UP
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #51 on: November 25, 2013, 03:25:19 AM »
dil ke tukde kar diye beshak khuda honge tum
magar insaan nahi hoo ab mai........

mai abhi likhna seekh raha hoo
galib ji sorry......and zarra ji

tashreef laane ka shukriya dineshkumarjonty ji. ghalib ji ka to keh naheen sakta, lekin main ne bura naheen maana to sorry kehne ki koyee wajah naheen hai aap ko mujh se. seekhna jaaree rakkhein
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #52 on: November 26, 2013, 12:58:05 AM »
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN


WAAH WAAH ZARRA SAHAB KYA KHOOB BAYANI KI HAI
APNA MUQAAM BARABER RAKHA HAI AUR APNA HAAL BATAYA BHI HAI

BOHUT KHOOB LAJAWAAB

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause

Sahal bhai ... aap ne jis tarah is ghazal ki rooh ko mehsoos kiya hai, bayaan naheen kar sakta kis qadar mashkoor o mamnoon hoon aap ka ... aur main aap ki nazar ki daad deta hoon .....aur shukriya is koshish ko ek muqaam ataa farmaane ka ...
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #53 on: November 27, 2013, 02:12:35 AM »
bahut bahut umda .... keep writing  Thumbs UP Thumbs UP

Bahaut bahaut shukriya Suman ji aap ka ...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #54 on: December 02, 2013, 08:35:34 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


ek  rau  ke  saaath daaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaad zarra ji.

Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #55 on: December 16, 2013, 12:25:56 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

ek  rau  ke  saaath daaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaad zarra ji.



Bahaut bahaut shukriya Suresh ji
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:36:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer