Nahi Dekha

by imsujal on June 11, 2006, 07:02:37 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 783 times)
imsujal
Guest

NAHIN DEKHA

Galiyon Se Meri Tum Ne Guzar Ker Nahin Dekha
Ghum Yeh Hai K Khushiyon Ne Mera Ghar Nahin Dekha

Mehroom Hai Woh Piyar Ki Daulat Se Abhi Tak
Dil Jis Ne Kahin Apna Laga Ker Nahin Dekha

Gumnaam Hai Woh Phool Gulistaan-E-Jahaan Main
Khushboo Ki Tarah Jis Ne Bikher Ker Nahin Dekha

Aaeeyna Faqat Uski Tasalli K Liye Hai
Dulhan Ki Tarha Jis Ne Sanwar Ker Nahin Dekha

Yeh Sach Hai Mera Qatl Sar-E-Aam  Hua Hai
Kis Ka Tha Mere Peeth Main Khanjar Nahin Dekha

Dil Cheer Ker Nikle Hain Yeh Ashaar Mere
Afsos Inhein Aap Ne Perh Ker Nahin Dekha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tamasha nahi dekha by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Dekha bhi nahi.. by angel4u in Shayri-E-Dard
Nudh Kar dekha Bhi nahi by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
In Aankhon Ne ‘Chand’ Nahi Dekha by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
-----/// Dhyaan se dekha nahi shaayad /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
imsujal
Guest
«Reply #1 on: June 12, 2006, 06:52:44 PM »
Fursart kise hai zakhm sehlaane ki
Nigahein badal gayieen apne begaane ki
Humsafar bhi saath chor gaya mera
Ab tammana na rahi aashiyaan banane ki
Logged
imsujal
Guest
«Reply #2 on: June 13, 2006, 02:33:52 PM »
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha
   
Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha
   
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #3 on: June 13, 2006, 04:24:58 PM »
wah sujal wah... keep it up...

har pal galti karnewala hi hain insaan,
samajhkar na jiyoge toh khachit hain shamsaan...
Logged
imsujal
Guest
«Reply #4 on: June 13, 2006, 07:38:49 PM »
Thnks MK......

Waqt se waqt ki shikayat karein kiya hum
Jub waqt hi na raha to waqt ki baat karein kiya hum
Logged
imsujal
Guest
«Reply #5 on: June 14, 2006, 09:58:02 PM »
Jab seena ghum se bojhl ho aur yaad kisi ki aati ho
Tab kamre mein band ho jaana aur chupke chupke ro lena
Jab aankhein bheeg jayein aur yaad meri fir se aye
Tab khud ko dhoka mat dena aur chupke chupke ro lena
Jab palkein karb se moondi hon aur sub samjhein tum sote ho
Tab mujh pe takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena
Yeh duniya zaalim duniya hai yeh baat bohot phelaye gi
Tum saamne sub k chup rehna aur chupke chupke ro lena
Tab  baarish chehra dho daalein aur ashk bhi boondein lagti hon
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro lena
Logged
imsujal
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2006, 01:14:18 PM »
Kon kehta hai k koi kisi ka khayal rakh pata hai....................

Woh jinse aanchal bhi mere dupatte ka sambhala na gaya
Un se kiya khaak mere dil ki hifaazat ho gi
Logged
imsujal
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2006, 09:00:58 PM »
Mumkin nahi hai shayad kisi ko samajh pana
samjhe bina bhi kiya kisi se dil lagana
aasaan hai kisi ko piyar kerna
bohot mushkil hai kisi ka piyar paana
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:03:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer