doston prastut kavita me maine
Tawayaf par likha hai ki vo
insaano se bilkul alag nahi
ye shabd kahin se bhi kharaab nahi
vo bhi hamare samaaj ka banaya hua
aur samaaj ka hi ek ang hai.
isme maine apne yahan ki senior kaviyatri
Nira ji ki kavita se inspire hokar likha hai
http://www.yoindia.com/shayariadab/shayriedard/sub-yeh-kahte-hain-main-tawaaiif-hoon-t46944.0.htmlkis tarah se unhone ek dard ko mehsoos kia
aur likha jiski tareef nahi ki ja sakti
maine bhi ek koshish ki kuch likhne ki
ye prayaas unki poem ko dedicate karna chahta hun
aur ye kavita unhe tha aap sabko samarpit
asha hai prayaas ko sarahenge
vo bhi ek pyari si pari thi
apne babul ke bagiya ki kali thi
uska bhi bachpan hansta khelta
uske dil me bhi armaano ki ladi thi
hamesha sabko khush rakhti sabhi ko pyaar deti
kabhi dil kisi ka dukh jae to maafi maang lia karti
vo jab bhi roti to bahot sahne ke baad hi roti
vo jab bhi roti phir bahot der tak roti rahti
bholapan shuru se hi usme racha basa tha
masoomiyat ka rang uske chehre me basa tha
vo laad pyaar khoob pakar bhi bigdi nahi
padhai likhai me bhi kabhi pichhdi nahi
babul ki aakhon me maa ki saason me uske sapne the
unhone pyari bitiya ka khyaal swapn sareekhe rakhe the
uske dil me bhi ma baap ke armaan poora karne ka sapna tha
par use ye soch kar dukh hota ki use ek din is aagan se bichhadna tha
sabkuch acha chal raha tha ki jane vaqt ki kaise aandhi aayi
jo tod gayi khwaabon ka gharonda,aur use mili ek tanhaayi
vo tanhaayi jo uski kabhi saathi kabhi dushman ban jaati hai
vo tanhaayi jisme doobkar use beete palon ki yaad bahot aati hai
ye kaisi tanhaayi jisne use tavayaf ka naam dia
par isi tanhaayi ne use sabse ladne ka haq aur utsaah dia
isi tanhaayi se usne jana ki tawayaf bhi ek insaan hai
isi tanhaayi ne ye mana ki uske dil me bhi rahta bhagwaan hai
samaaj ke chand logon ke dwara vo chhali to gayi hai
par phir bhi usne dil se kabhi kisi ko thokar nahi di hai
jab bhi vo udaas aur behad tanha ho jati hai
kabhi babul kabhi maa ki yaad me kho jati hai
jab bhi uska dil kisi se beintaha dard pata
use ghar ke aangan ka vo ped bahot yaad aata
aksar uska dil tanhaayi me bhi hasne lagta hai
bachpan ki shararaton ko yaad kar dil khone lagta hai
Tawayaf ek majboori sirf majboori ka naam hai
tawayaf shabd hargiz nahi koi daagh ya nishaan hai
vo bhi hamari tarah aur kai dafe hum se bhi achi insaan hai
kitne pandit pujaari kai baar peeche rah jate aur vo pa jati bhagwaan hai
Tawayaf bhi ek insaan hai
nahi iska naam apmaan hai
Tawayaf bhi ek insaan hai
vo pyari si pari thi hi nahi hai bhi
apne baabul ki bagiya ki kali thi hi nahi hai bhi