Naraj__________Baadal

by baadal102 on December 19, 2008, 01:53:54 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1392 times)
baadal102
Guest
Kuch iss rah pe aaj hum pahoonche hai,
Ki kuch dost hum se naraz baithe hai,

Kaise batauen unhe dastaan jindgi ki,
Ki kya kya hum sah ke chup baithe hai,

Nahi the hum kabhi aise kisi ki nazar mai,
Lakin aaj hum khud mai gunehgaar bane baithe hai,

Bahut nibhaya saath jindgi mai yaaro ka,
Fir bhi laakh ilzaam hum liye baithe hai,

Luta dene ka jo jajba tha hamesha dil main,
Aaj us toofan ko sine mai dabaye baithe hai,

Kaise manauen or samjhaun yarro ko apne,
Jo hum se be-wajeh naraz hue baithe hai,

Kash padh late wo humari majboori chehre se,
Jise hum hansi ke piche chipaye baithe hai,

Kaise batauen unhe dastaan jindgi ki,
Ki kuch dost hum se naraz baithe hai...........






Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: December 19, 2008, 01:58:01 PM »
 Applause Applause Applause Applause

wah kaya baat hai baadal ji, bahoot he achi kavita likhi hai apne... good work, ek ek line apne app poori tarah se apki bhawnao ko samjha rahi hai... bahoot khoob
Logged
baadal102
Guest
«Reply #2 on: December 19, 2008, 02:01:06 PM »
Applause Applause Applause Applause

wah kaya baat hai baadal ji, bahoot he achi kavita likhi hai apne... good work, ek ek line apne app poori tarah se apki bhawnao ko samjha rahi hai... bahoot khoob
thanx a lot pooja ji,aaj bahut dino baad mujhe apni koi kavita poori hue se lagti hai,batane ki jaroorat nahi,sab samajdaar hai yanha. bahut bahut sukria pooja ji



Baadal
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 19, 2008, 02:14:43 PM »
Nice One Baadal Ji,.
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #4 on: December 19, 2008, 02:23:23 PM »
nice sharing baadal ji
but ya to bato kon sa dost naraj batha hain aap sa
saloni
Logged
baadal102
Guest
«Reply #5 on: December 19, 2008, 02:31:51 PM »
thanx a lot J@@N ji

N

Saloni ji



Baadal
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: December 20, 2008, 06:57:25 AM »
 Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB BAADAL JI,
AAPNI FEELINGS KO AACHE SE BATAYA HAI,

SHALLY.

NARAZ KOI BEWAJAH KISI APNE SE HOTA NAHI,
PYAAR HO JISE TUMSE WO U HI TUMHE CHODTA NAHI,

DUKH DE JAATI HAI KUCH MAMOOLI SI BAATEIN GEHRA
WARNA U HI KOI HASTI KHELTI DUNIYA KO APNE HI
HAATHON SE TODTA NAHI...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: December 20, 2008, 07:13:57 AM »
Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB BAALDAL JI,
AAPNI FEELINGS KO AACHE SE BATAYA HAI,

SHALLY.

NARAZ KOI BEWAJAH KISI APNE SE HOTA NAHI,
PYAAR HO JISE TUMSE WO U HI TUMHE CHODTA NAHI,

DUKH DE JAATI HAI KUCH MAMOOLI SI BAATEIN GEHRA
WARNA U HI KOI HASTI KHELTI DUNIYA KO KOI APNE
HI HAATHON SE TODTA NAHI...

Nice presentation Shally Ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: December 20, 2008, 07:16:12 AM »
Nice presentation Shally Ji

SHUKRIYA RAJESH JI,

SHALLY.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: December 20, 2008, 07:17:18 AM »
U R Welcome  Shally Ji
Logged
baadal102
Guest
«Reply #10 on: December 20, 2008, 01:15:34 PM »
thanx shally ji
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: December 20, 2008, 01:26:34 PM »
BAHUT KHOOB BAADAL JI Applause Applause Applause
BAHUT KHOOBSURTI SE AAPNE APNE EMOTIONS KO PRESENT KIYA HAI
BAHUT SACHAI HAI ISMEIN
KAHIN NA KAHIN SE MERI ZINDAGI SE MILTI HUI
SHUKRIYA...
notworthy
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 21, 2008, 11:02:30 AM »
U Are Welcome Baadal Ji,.
And NIce One Shally Ji,.
Logged
baadal102
Guest
«Reply #13 on: December 21, 2008, 11:59:42 AM »
thanx a lot diya ji

N

J@@N JI


Baadal
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 21, 2008, 12:29:49 PM »
Naaraaz Humse, Kyun Hua Hai Baadal,.
Kyun Tu Mere Aangan Mein Barasta Nahi,.

Bujh Jaati Meri Pyaas, Agar Wo Aajaata,.
Main Teri Barsaat Ke Liye Yun Tarasta Nahi,.

Tu Kar Ghaman Apni, Barsaat Ki Taal Par,.
Main Kaise, Karoon, Mera To Dil Bhi Dhadakta Nahi,.

____________________________-Jaanasheen-


Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:57:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer