Na Apni Taqdeer Se Naraz Hoon,
Na Us Khuda Se Naraaz Hoon,
Khich Di Jinse Khud Mene Apne Hathonki Lakeerein
Aaj Us KalaM Ki Siyahi Se Naaraz Hoon
Na Uski Bewafai Se Naraz Hoon
Na Uske Diye Hue Dard Se Naraz Hoon
Jo Dard Khud Maine Apne DaaMan Se Laga Liye
Aaj Wo DaaMan Ke Daagdaar Hone Se Naraz Hoon
Chal To Diya Tu Ek Hi Pal Me Mujhse Keh Kar Alvida
Na Socha Meri Zindagi Ka AnjaaM Kya Hoga Tere Bina
Na Tere Jaane Se Na Apne AnjaaM Se Naraz Hoon
Bas Apni Shikayat Na Karne Ki Fitrat Se Naraz Hoon
Mohabbat Meri Kabhi Hogi Nahi Puri Ye Pata Tha
Khwab Dekhe The Use Pane Ki Uske Kisi Gair Ke Hojane Ke Baad Bhi
Na Uske Adhurepan Se Na Un Hasin Khwabon Se Naraz Hoon
Bas Jo Dil Ne Kiya Saanso Se SaMjhauta Usi SaMjhaute Se Naraz Hoon
Mere Kaafile Ko Manzil Na Milna Mukarrar Tha
Tera Mujhse Berukhi Karna Tha Barkarar
Na Teri Manzilon Se Na Hi Berukhiyon Se Naraz Hoon
Jo Banayi Raastonke Khone Ke Bawajood Us Manzil Se Naraz Hoon
Yaadein Teri Har LaMha Ashqon Ka Toofan Liye Aati Hai
Teri Aahat Ki Chah Se Hi Rooh Meri Tadap Si Jaati Hai
Na Un Yaadon Se Na Un LaMho Se Na Un Ashkon Se Naraz Hoon
Jinhone SaMayi Teri Har Dhadkan UnMe Un Dhadkano Se Naraz Hoon
Khuda Ne Diya Har Mod Par Mujhe Teri Bewafai Ka IlM
Basaye Baithe The Phir Bhi Khwabonka Hasin TajMahal
Na Us Khuda Se Na Teri Bewafai Se Na Hi Un Khwabonse Naraz Hoon
Apna SaMjha Tha Tujhe Aur Sirf Tujhe Hi Jahan Me,
Aur Tune Hi Zaar Zaar Kiya Meri Rooh Ko
Isliye Main Aaj Khud Apne Aapse Hi Naraz Hoon...
* * * * *
a @ $ Y u d g n m $ o p z
are alfaz dhoon raha hoon tarif karne ke liye!!!