nazdikyon ke faasle

by Prateek Mardia on December 21, 2008, 07:05:16 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1964 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #15 on: December 24, 2008, 03:11:42 PM »
Yunhi besabab na phira karo Koi shaam ghar bhi raha karo,.
Wo ghazal ki sachi kitab hay Usay chupke chupke parha karo,.

Koi haath bhi na milayega jo galay milo gay tapaak se,
Ye naye mizaaj ka shehr hay zara faslay se mila karo...

Ahmed Faraaz
Kon daita hay umar bhar ka sahara FARAZ..
Log to Janazay me bhi kandhay badaltey rehtey hain...

Ahmed Faraaz
Nice sharing Jaanasheen Bhai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
FAASLE by Dilwala_jatt in Shayri for Dard -e- Judai
Faasle by sarafz in Shayri-E-Dard
faasle by majid in Shayri-E-Dard
Faasle by afrozpasha in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Faasle by Neharika in English
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: December 30, 2008, 10:10:11 PM »
Shukriya,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: December 30, 2008, 10:12:00 PM »

pooja ji,sada k tarah aapne ek baar fir is kaushish ki taareef ki,jiska main shukrguzaar hu.aap ki khaas baat yeh hein,ki rachna maamooli bhee ho to bhee aap taareefon ke pul baandh himmaatein badhaati rehti hein.

Aap ka jawaab khoob bhaaya,aap bhee badhai ki patra hein.

shukaria Prateek ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: December 30, 2008, 10:12:16 PM »
Good work lil bro
Logged
gurinder
Guest
«Reply #19 on: December 31, 2008, 01:48:06 AM »
bahut khoob Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: January 01, 2009, 02:07:25 PM »
Shukriya,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: April 19, 2010, 11:45:45 AM »
Main ruka to wo chale, main uga to wo dhale
Aankhen faad faad ke dekhe maine, nazdikiyon ke faasle!


Garmjoshi se dur  koson, raingtey  se yeh silsile
Barf jaise thande nikle,nazdikiyon ke faasle!


Mun shithil,kamzor rishtey,chahre ka rung kaise khile?
Taazi-khuli saanso pe bandish,nazdikiyon ke faasle!


Zindgi ki umra mein,mil jaate hein,kuch shaks bure,kuch log bhale
Na dosti- na dushmani se, nazdikiyon ke faasle


Shokhiyaa unki mur gayi ,na hum rahe ub munchaale
Bezubaa aur beasar se, nazdikiyon ke faasle


Haasil hi kya thaa, kiska gila aur mujhko kya khale
Nukeele naakhon jaisi kharonchey,nazdikiyon ke faasle!~


________Prateek






Waah Waah Waah...

Bahut Bahut Aur bahut Khoob Prateekji..

Bahut Gehre Jazbaat!!!Har lafz Dil Ko Chuuta Hua..

Bahut Hi Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: April 19, 2010, 11:46:51 AM »
Applause Applause Applause Applause

wah wah wah, kaya baat hai prateek ji, ek ek shabd teekha, ek ek shabd dard main dooba zindagi ki suchaio ko bayan karta hua.. apki is kavita ko padte waqat jo do line man main aai wo yah hai:

Faaslein aise bhi hoge, yah kabhi socha na tha
samne baitha tha mere aor wo MERA na tha (nm)


janati hu apki kavita main kuch aor roop se nazdiki ke faslon ke baare kaha gaya hai... kuch likhne ki koshish kar rahi hu, shayad apko pasand ayye 


hai ek he chat ke niche, magar tu mujhse anjaan main tujhse anjaan
naam jurra hai tera mera, magar dilo main na ab ek dooje ke liye koi armaan

mere ansoo tujhko lage drama, tere ahsaaso se main ab anjaan
khamoshi teri meri main, ghar na jaane kab se ho gaya sunsaan

jhoothi muskaan jamane ke liye, dil main uthe dard ghamasaan
chah kar bhi na kahe kuch ab hum ek dooje se, pyar lafz se ho gaye anjaan

hai ek he chat ke niche, magar tu mujhse anjaan main tujhse anjaan
naam jurra hai tera mera, magar dilo main na ab ek dooje ke liye koi armaan


Bahut Bahut Khoob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: May 13, 2012, 09:29:15 AM »
Main ruka to wo chale, main uga to wo dhale
Aankhen faad faad ke dekhe maine, nazdikiyon ke faasle!


Garmjoshi se dur  koson, raingtey  se yeh silsile
Barf jaise thande nikle,nazdikiyon ke faasle!


Mun shithil,kamzor rishtey,chahre ka rung kaise khile?
Taazi-khuli saanso pe bandish,nazdikiyon ke faasle!


Zindgi ki umra mein,mil jaate hein,kuch shaks bure,kuch log bhale
Na dosti- na dushmani se, nazdikiyon ke faasle


Shokhiyaa unki mur gayi ,na hum rahe ub munchaale
Bezubaa aur beasar se, nazdikiyon ke faasle


Haasil hi kya thaa, kiska gila aur mujhko kya khale
Nukeele naakhon jaisi kharonchey,nazdikiyon ke faasle!~


________Prateek







Prateek Ji kaash Kuch Aisa Ho ke Aap Phir Yoindia Vaps Laut Aaye..Aaj Aap Ki Rachnayen padhne Ka bahut Mann Ho Aaya..U r one of my most fav Poet... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:21:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer