zarraa
|
kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise
sub'he-dum dekh ke khursheed** sa tera chehra tere baba ne kaha din ye bhala guzrega tune aaNkhoN meiN liye aas jab us se poochha aaj kya shaam ko wo tere liye laayega
us ne baahoN meiN tujhe le ke kaha gudiya meri aaj aaooNga to dikhlaaooNga khir'hkee se tujhe ke sabhi chaaNd sitaare haiN khareede maiN ne aur thaalee meiN falak ki haiN parose wo sabhi in ko mat dekh tu lalchaayee huwee nazroN se chheeN le noch le chakh le haiN sabhi tere liye
bas yahi soch ke baba tera nikla ghar se aur badshakl zamaane meiN qadam daal diye peeth pe parhte hukumraanoN ke chaabuk the jidhar aur kaanoN mein jahaaN-waaloN ke tanz-o-taane dil men ik baar to ye aaya utha de wo bhi sar jaane kya soch ke khaamosh raha tha wo magar
din dhalaa haare hue paaoN utha kar baba dil meiN ik bojh liye ghar ki taraf laut chala us ko tha achchhee tarah yaad subeh ka waada par use poora kare to bhi kare kaise bhala
ab wo kis muNh se kahe tujh se o gudiya meri chaaNd taare sabhi mut’thee meiN teri bhar dooNga dil meiN tere jo kisi shay ki bhi hasrat ho uthee is se pehle tu kahe pooree use kar dooNga
tujh ko jo koh-e-garaaN*** sa hai lage baba tera aaj darwaaze pe wo kitna thaka sa hai kharha khel haule se tera baba pareshaaN hai bahaut kuchh n ab maaNg ke yooN bhi wo pashemaaN**** hai bahaut
jo tu maaNgegee tera baba wo laaye kaise chaaNd taare teri thaalee meiN bichhaaye kaise dil ke armaan sabhi tujh pe lutaaye kaise apni aaNkhoN meiN tere khwaab sajaaye kaise tujh se ab nazreiN tera baba milaaye kaise gar bahaane bhi banaaye to banaaye kaise kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise
- ZARRAA
*roz-e-qabeeh = ugly day **khursheed = sun ***koh-e-garaaN = heavy (big) mountain ****pashemaaN = ashamed
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Advo.RavinderaRavi
Guest
|
|
«Reply #1 on: September 13, 2013, 02:13:24 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nashwani
Guest
|
|
«Reply #2 on: September 13, 2013, 02:17:25 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #3 on: September 13, 2013, 02:35:22 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #4 on: September 13, 2013, 10:46:40 AM » |
|
Zarra saheb ,bahut khoob . aapki is nazm ne ashkrez kar diya . Bahut dard naak andaaz mein zindagi ki masoom khwahishon aur unki adam-takmeel ki kaifyaat ka bayaan kiya hai . Aapko is takhleeq par tah e dil se daad aur mubarakbaad.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ufaq
Guest
|
|
«Reply #5 on: September 13, 2013, 11:07:52 AM » |
|
umda nazm hai.......achchha lagaa padhkar.....dili daad.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #6 on: September 13, 2013, 11:16:31 AM » |
|
bohut khub zarra ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #7 on: September 13, 2013, 01:56:38 PM » |
|
AAnkhen nam ho gayeen
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #9 on: September 13, 2013, 05:26:04 PM » |
|
speechless
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #10 on: September 13, 2013, 06:39:10 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #11 on: September 13, 2013, 09:42:57 PM » |
|
Pasand karne ka bahaut bahaut shukriya Nashwani ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
marhoom bahayaat
Guest
|
|
«Reply #12 on: September 13, 2013, 09:50:23 PM » |
|
kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise
sub'he-dum dekh ke khursheed** sa tera chehra tere baba ne kaha din ye bhala guzrega tune aaNkhoN meiN liye aas jab us se poochha aaj kya shaam ko wo tere liye laayega
us ne baahoN meiN tujhe le ke kaha gudiya meri aaj aaooNga to dikhlaaooNga khir'hkee se tujhe ke sabhi chaaNd sitaare haiN khareede maiN ne aur thaalee meiN falak ki haiN parose wo sabhi in ko mat dekh tu lalchaayee huwee nazroN se chheeN le noch le chakh le haiN sabhi tere liye
bas yahi soch ke baba tera nikla ghar se aur badshakl zamaane meiN qadam daal diye peeth pe parhte hukumraanoN ke chaabuk the jidhar aur kaanoN mein jahaaN-waaloN ke tanz-o-taane dil men ik baar to ye aaya utha de wo bhi sar jaane kya soch ke khaamosh raha tha wo magar
din dhalaa haare hue paaoN utha kar baba dil meiN ik bojh liye ghar ki taraf laut chala us ko tha achchhee tarah yaad subeh ka waada par use poora kare to bhi kare kaise bhala
ab wo kis muNh se kahe tujh se o gudiya meri chaaNd taare sabhi mut’thee meiN teri bhar dooNga dil meiN tere jo kisi shay ki bhi hasrat ho uthee is se pehle tu kahe pooree use kar dooNga
tujh ko jo koh-e-garaaN*** sa hai lage baba tera aaj darwaaze pe wo kitna thaka sa hai kharha khel haule se tera baba pareshaaN hai bahaut kuchh n ab maaNg ke yooN bhi wo pashemaaN**** hai bahaut
jo tu maaNgegee tera baba wo laaye kaise chaaNd taare teri thaalee meiN bichhaaye kaise dil ke armaan sabhi tujh pe lutaaye kaise apni aaNkhoN meiN tere khwaab sajaaye kaise tujh se ab nazreiN tera baba milaaye kaise gar bahaane bhi banaaye to banaaye kaise kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise
- ZARRAA
*roz-e-qabeeh = ugly day **khursheed = sun ***koh-e-garaaN = heavy (big) mountain ****pashemaaN = ashamed
simply excellent,sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #13 on: September 14, 2013, 03:25:24 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #14 on: September 14, 2013, 12:26:26 PM » |
|
Hassan sahab .... Is nazm ke ehsaasaat ko apna bannane ka aur hauslafzaayee karne ka tah e dil se lakhon baar shukriya... apki rehnumaayee se barha sahara milta hai Zarra saheb ,bahut khoob . aapki is nazm ne ashkrez kar diya . Bahut dard naak andaaz mein zindagi ki masoom khwahishon aur unki adam-takmeel ki kaifyaat ka bayaan kiya hai . Aapko is takhleeq par tah e dil se daad aur mubarakbaad.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|