nazm : raat bhar .... zarraa

by zarraa on August 22, 2013, 11:04:56 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2380 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
raat bhar thandi thandi hawa jo chalee
soz-e-gham se charaaghaaN ye dil ho utha
lab pe aane lagee khud-ba-khud tishnagee
koyee naghma bhi hothoN pe khulne laga
kis qadar ghaibat-e-yaar khalne lagee


(soz = burning, ghaibat = absence)



yaad aaye puraane naye kuchh rafeeq
haadse kuchh puraane bhi yaad aa gaye
kuchh nayee ranjishoN ke naye waaqye
ab shikaayat bhi kis se kahaaN tak kareiN
jab puraane hoN khanjar naye haathoN meiN
dhooNdhtee reh gayeeN aaNkheiN chehra shafeeq


(rafeeq = companions, shafeeq = compassionate)



kis ke hone ka ehsaas hota hai ye
kis ko aawaaz deti haiN khaamoshiyaaN
kis ke qadmoN ki aahat sunaayee si de
kaNpkapaatee si kis ki ye sargoshiyaaN
nak’hat-e-zulf kis ki hawa meiN urhe
kaun haule se hai uNgliyoN se chhuwe
paas kya door bhi tum naheeN ab rahe
ho raha phir hamaare ye kya darmiyaaN


(sargoshiyaaN = whisperings, nak’hat = fragrance)



 - ZARRAA
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: August 22, 2013, 11:33:41 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut khoob Zarraa ji....!!!
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: August 22, 2013, 11:35:40 PM »
yaad aaye puraane naye kuchh rafeeq
haadse kuchh puraane bhi yaad aa gaye
kuchh nayee ranjishoN ke naye waaqye
ab shikaayat bhi kis se kahaaN tak kareiN
jab puraane hoN khanjar naye haathoN meiN
dhooNdhtee reh gayeeN aaNkheiN chehra shafeeq


(rafeeq = companions, shafeeq = compassionate)



kis ke hone ka ehsaas hota hai ye
kis ko deti hai aawaaz tanhaaiyaaN
kis ke qadmoN ki aahat sunaayee si de
kaNpkapaatee si kis ki ye sargoshiyaaN
nak’hat-e-zulf kis ki hawa meiN urhe
kaun haule se hai uNgliyoN se chhuwe
paas kya door bhi tum naheeN ab rahe
ho raha phir hamaare ye kya darmiyaaN


(sargoshiyaaN = whisperings, nak’hat = fragrance)

wah wah wah Zarra jee
khoob bahut khoob
aahista-2..dil me utar gayee aapki ye nazm
kisi naajuk gulaab ko haathon me lene par jo ehsaas hota hai vahee feeling.
dil daad qubool karen is khoobsurat nazm par.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: August 23, 2013, 01:11:20 AM »
bahut khoob , zarra saheb . khubsurat nazm likhi hai .
kai baar parhi aur har baar dil se tareef nikli .
bahut mubarak ho.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #4 on: August 23, 2013, 01:15:21 AM »
tareef se baala, umda aur aala - waah waah waah Applause Clapping Smiley Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: August 23, 2013, 02:05:51 AM »
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah, excellent, bahut bahut khoob Zarra jee, maza aa gaya padh kar. DheroN daad aur ek Rau qubool kareiN.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: August 23, 2013, 12:07:33 PM »
beautiful waah waah
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 23, 2013, 12:34:59 PM »
bahut khoob Applause Applause
Logged
prashad
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2013, 12:57:13 PM »
very nice Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2013, 01:42:22 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Waaaaaaaah zarra ji.. bahut hi umda nazm se nawaza hai aapne... dil ko choo gayi aapki yeh nazm.. hazaron hazaron dili daaaaaaaaaaad...likhte  rahiye..
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #10 on: August 23, 2013, 05:21:34 PM »
waah waah bahut bahut aur bahut khoob zarraa ji.. Usual Smile

Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: August 23, 2013, 10:45:22 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut khoob Zarraa ji....!!!


Bahaut bahaut shukriya Hriday ji ....
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: August 24, 2013, 12:00:21 AM »
Mukesh ji ... Meri khushkismati ki apko ye nazm pasand aayee aur apki nawaazish ki apne itne sneh se ise parha aur itne dil hausla afzaayee ki .... Bahaut bahaut shukriya janaab !


yaad aaye puraane naye kuchh rafeeq
haadse kuchh puraane bhi yaad aa gaye
kuchh nayee ranjishoN ke naye waaqye
ab shikaayat bhi kis se kahaaN tak kareiN
jab puraane hoN khanjar naye haathoN meiN
dhooNdhtee reh gayeeN aaNkheiN chehra shafeeq


(rafeeq = companions, shafeeq = compassionate)



kis ke hone ka ehsaas hota hai ye
kis ko deti hai aawaaz tanhaaiyaaN
kis ke qadmoN ki aahat sunaayee si de
kaNpkapaatee si kis ki ye sargoshiyaaN
nak’hat-e-zulf kis ki hawa meiN urhe
kaun haule se hai uNgliyoN se chhuwe
paas kya door bhi tum naheeN ab rahe
ho raha phir hamaare ye kya darmiyaaN


(sargoshiyaaN = whisperings, nak’hat = fragrance)

wah wah wah Zarra jee
khoob bahut khoob
aahista-2..dil me utar gayee aapki ye nazm
kisi naajuk gulaab ko haathon me lene par jo ehsaas hota hai vahee feeling.
dil daad qubool karen is khoobsurat nazm par.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: August 24, 2013, 02:08:03 AM »
bahut khoob , zarra saheb . khubsurat nazm likhi hai .
kai baar parhi aur har baar dil se tareef nikli .
bahut mubarak ho.

Hassan sahab ....Aadaab .... Aapne waqt diya aur is qadar hausla afzaaee ki us ka Intehaayee shukrguzaar hoon.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: August 24, 2013, 01:15:02 PM »
tareef se baala, umda aur aala - waah waah waah Applause Clapping Smiley Applause

Apka tah e dil se shukrguzaar hoon Iqtedar sahab
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 08:19:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer