bhul jayen to achahai!!!!!!!

by roshni246 on March 15, 2006, 01:52:58 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3029 times)
roshni246
Guest
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen' by waheed_rose2004 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Yun hi dahrey guzar jayen, gaatey raho! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
ROOTH JAYEN TO MANA LENA by fakhar sheikh in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
uth jayen palke to by AbhiTamrakar in Shayari -e- Husn
<>*Aaj barf sa pighal jayen hum*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: March 15, 2006, 02:04:13 PM »
Roshu

Bahut achcha! Itna serious...

Very good

Rajbir
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: March 15, 2006, 04:26:34 PM »
wah roshni sis...bohot acha laga mujhe!!

 :D
Logged
roshni246
Guest
«Reply #3 on: March 15, 2006, 06:13:43 PM »
thxx rajbir and meena sis
!!!!!!!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: March 15, 2006, 07:37:30 PM »
bhut hi badiya likha hai aapne Roshni,,!!!


Kya pata kisi din Maut ka Paigam aa jaye
Zindagi ki ho jo akhri,woh shaam aajaye
usse bhoolana toh abb na-mumkin hai
chahe kitna bhi waqt ka faasla humare darmiyan aajaye
Hum toh jee rahein hai issi aas mein
ki shayad usse hi kisi roz humara khayal aa jaye...!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: March 15, 2006, 08:29:34 PM »
Bahut khoob Roshni sis.....and Jeet bhai......

Maut ke paigaam bhi haste hasate chale aate hain......
Le jaake kisi Dil-e-Kareeb ko hume Yaadon ke sahare chor jaate hain.....
Aur hum bhi yoon hee unka Aks apne Khawabon me dhoondte reh jaate hain............!!!!!!!!!!!!!!!!!

~~**Badnaam Shayar**~~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: March 16, 2006, 07:54:05 AM »
"Pyar se kehtey to Jala Talak detey aashiyaane ko"
Kya kya Sitam na sahe Tujhe manane ko
Aarthi talak nilam kardi tere sapne Sajane ko
kahin katra talak na bacha deda-e-tar bahane ko
Tum baatein kartey ho rooh se hanse ki
Yahan aariz tarastey hain Mutabassim ho jaane ko!!!!!



~! Nirbhay !~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: March 16, 2006, 08:25:25 AM »
Jeet, Gaurav aur Neer !

Bahut khoob !

Bahut achcha !

Rajbir
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #8 on: March 16, 2006, 09:57:27 AM »
wow rosh dear very good. Itna dard aur usko itni acchi tarh se likhna kamal hai. very good.

Jeet Gaurav and neer ap sab ne bhi bahut accha saath diya Roshni ka.

keep it bros.
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #9 on: March 16, 2006, 10:01:08 AM »
na kaho bhulne ki bbatein
kahin kuch tut.ta hai dil mai

ashk bhar jaate hai aankho mai
sanase thamne lagti hai

jab bhi tum aisi baate karte ho
dar sa lagne lagta hai.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #10 on: March 16, 2006, 10:55:18 AM »
thxx guys......bro,jeet,neer,vikas aap sabne bohot acha likha......very gud!!!!!!!!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2006, 12:05:24 PM »
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka


~ROSHNI~
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #12 on: March 17, 2006, 08:13:01 AM »
Bhaut khoob roshni sis
Logged
roshni246
Guest
«Reply #13 on: March 17, 2006, 11:27:15 AM »
thx salma sis
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #14 on: March 17, 2006, 01:42:40 PM »
wo mujhe aab bhul jaye to aacha hai ......
wo mujhe na yaad aab kabhi aaye to aach hai .....
pehle ek manzil ek rasta tha humara magar....
wo or mai ye raste ye manzile bhul jaye to aacha hai ....
na aab kabhi roku mai usse samne se jab wo nikle to ....
na wo mujhe bulai kabhi mudker bhi to hi aahca hai......
aalag hue raste manzile bhi aab to juda hui .........
wo jo usse mil gaya (jeewan sathi)jo mujhe mil gaya (gum sara).....
aab hum dono  aaapne aapne sathi ka sath nibhai to aacha hai .....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:54:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer