....~~on Tsunami~~....

by HumTum on March 10, 2005, 10:38:52 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1271 times)
HumTum
Guest
DoostooN,
               mein "HumTum" kalam ke mahiroN ke mehfil mein salam pesh kerta hun. Aaj mein kudrat ke barpaaye gye qahar ko aur uss qahar se guzrey logoN ke dukh aur dard ko le ker ke aap sab ke mehfil mein aaya hun. kal baad muddat ke meri baat india mein meri ik dost se hui. BattoN battoN mein Tsunami ka zikr aa gya. uss qahar ke din woh ussi jagah ke aas pass hi khi thi. to jo unsey baat ker ke mahsuus kiya whi likhney ke Koshish ki hai meiney iss kalam mein. to pesh-e-kidmat hai......


suna hay keh samandar main koee toofaan aaya hay
parayshani ki zad main Aalam e insaan aaya hay

samandar say nikal kar aa gaee haiN mouj sarkoN per
gharoN say beh kay paani main sarosaamaan aaya hay

huaa hay youN to Indonasia main zalzala barpaa
magar zad main Srilanka o Hindustaan aaya hay

nahiN poochha ajal nay naam o mazhub marnay waloN say
nah zindah Ram louTa hay nah wapas Khan aaya hay

dawayeN baap ki laynay jo apnay ghar say nikla tha
woh KHidmat main pidar ki be dawa be jaan aaya hay

machhairoN nay samandar main jahaN ik jaal Daala tha
samak kay saath phans kar us main ik insaan aaya hay

main roti laykay aata hooN gaya tha keh k bachchoN say
nah KHud louTa nah khanay ka koee saamaan aaya hay

ilahee mout yeh kaisi hay jis main marnay waloN ko
muyassar nah chita aayi nah qabrastaan aaya hay

luTairay loot main masroof haiN aisi tabaahee main
badal kar apna chehra daykhiye shaitaan aaya hay

"HumTum" hum tasawwur main jo jaa e hadesa ponhchay
nazar manzar hamaiN charoN taraf veeraan aaya hay..... :cry:


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TSUNAMI - Is our ALMIGHTY GOD unhappy with mankind????? by Friend_4uall in Chit - Chat & General Discussion
Tsunami by tamanna1 in Share: Misc. English Poetry
dhadkan
Guest
«Reply #1 on: March 10, 2005, 10:49:24 AM »
Khoob likha Humtum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: March 10, 2005, 10:51:58 AM »
Quote from: "dhadkan"
Khoob likha Humtum

Shukriya dhadkan ji.....
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: March 10, 2005, 04:45:11 PM »
very well written hum tum ji!!!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: March 10, 2005, 04:46:59 PM »
Quote from: "Meena"
very well written hum tum ji!!!

 :D


Shukriya ji ....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #5 on: March 10, 2005, 11:08:22 PM »
YEH AISA GHUM HAI JO DUNIYA BHULA NAHIN SKTI
KITNI BEHIS HAI DUNIYA KUCH KR BHI NAHIN SKTI
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:58:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer