One Of My Best Shayari,. I Hope All The Friends Will Read It

by Jaanasheen on August 28, 2006, 02:07:11 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Author  (Read 9067 times)
Naya_Daur
Guest
«Reply #15 on: August 29, 2006, 02:21:59 PM »
thanks all for appreciation :D .. bhut accha thread shuru kiya Jsheen Bhai....  aur sabne bhut hi badiya contribution di hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #16 on: August 29, 2006, 02:32:43 PM »
Quote from: "burniing_desiires"
Quote from: "BHONDU"
Quote from: "burniing_desiires"
Bhut khoob bhai...

chehre par hassi ka nakaab hai
iss dil mein dard ka chenaab hai
dekh na saku ab khud ki halat ae dost
aisa khud kar liya ajj maine rubaab hai...!!!

chenaab=river name


chehre mein hanski ke rang kabhi aaye nhi,
zamane beet gaye hai ye lab kabhi muskuraye nhi.
paani nhi mila barsoon se mere chaman mein.
phir bhi kehte hai wo aapke dil ki koi bhi kali murjhai nhi.


good one Bhondu ji...

mere chehre ke hain so rang
har rang mein tera aks chalke
log samjhte hain hassi ka paani hai
par aaina jaanta hai,kyun naam hai ankhein


unke chere ke bhi thay sau rang.
ishq ke rang se unhone humein aabard ker diya.
humne jo dekha nhi tha koi rang zindgi ka,
bewafaai ke rang se unhone humein barbaad ker diya.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: August 29, 2006, 02:48:15 PM »
bahut khoob likha hai sabne ...

soch lo auro ko ilzaam dene se pehle
kuch  toh kasur tumahra  bhi hoga
rang bewafa ka dikahaaya unhone
toh daaman  ujala tumhra bhi na hoga!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #18 on: August 29, 2006, 03:02:52 PM »
Quote from: "ranjana"
bahut khoob likha hai sabne ...

soch lo auro ko ilzaam dene se pehle
kuch  toh kasur tumahra  bhi hoga
rang bewafa ka dikahaaya unhone
toh daaman  ujala tumhra bhi na hoga!!!


ranjana ji hum aapki baat se sehmat hai..

maante hai humare daaman mein bhi ek ched hai.
nhi de paaye usay sare khusiyaan iska humein bhi khed hai.
per unke diye dard ka koi paimaana nhi tha.
yu aakela humko chorker unhe jaana nhi tha.
Logged
shyama
Guest
«Reply #19 on: August 29, 2006, 08:56:21 PM »
Hey Janasheen!!! this one's dedicated to you!!!

raaton mein jal kar ae shama rohsni bikherna seekh liya,
naa assar kare gi dua bhi, ke dard ko azmaana seekh liya,
log to phool rahkte hein kitabo mein, hum ne kaanto ko apnana seekh liya,
ae janasheen, tu ne to bass mohabbat ki, hum ne nibhaana seekh liya
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: August 30, 2006, 02:05:53 AM »
Bohat khoob Azeem & All....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: August 30, 2006, 06:00:41 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
thanks all for appreciation :D .. bhut accha thread shuru kiya Jsheen Bhai....  aur sabne bhut hi badiya contribution di hai
Thread To App Doston Ki Meharbaanion Se Chal Raha Hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: August 30, 2006, 06:05:24 AM »
Quote from: "shyama"
Hey Janasheen!!! this one's dedicated to you!!!

raaton mein jal kar ae shama rohsni bikherna seekh liya,
naa assar kare gi dua bhi, ke dard ko azmaana seekh liya,
log to phool rahkte hein kitabo mein, hum ne kaanto ko apnana seekh liya,
ae janasheen, tu ne to bass mohabbat ki, hum ne nibhaana seekh liya


Bahoot Khoob Shyama,..

Humne Maana Ke Humne Mohabbat Ki Hai,..
Apni Hasti Tak Mitaa Di Maine Bhi Isko Nibhaane Mein,,
Shayad Isliye Naam Nahi Hai Mera "Shyama" Mohabbat ke Fasaane Mein,..

Phir Bhi Naaz Hai Mujhe Apni Mohabbat Pe Ke Usne Kuch To Tohfaa Diya,..
Warna Dard Bhi Kaun Deta Hai Aaj Kal Is Bedard Zamaane Mein,..

___________________________-Azeem-_____________________

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: August 30, 2006, 06:09:15 AM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Azeem & All....
Shukriya Bhaijaan..
Gar App Kuch Likhte To Seekhne Ka Maukha Milta,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: August 30, 2006, 06:11:02 AM »
Quote from: "BHONDU"
Quote from: "Jaanasheen"
Banke Aaye The Kabhi Wo Bahaar Meri Zindagi Mein,..
Shayad Isliye Aaj Mere Chaman Mein Sirf Kaantein Hain,..

______________________________________-Jaanasheen-



ek bewafaai ke jhoke se sare phool beh gaye,
isiliye daaman mein bas shool hi shool reh gaye.


Bahoot Khoob Bhondu Ji,..

Shayad Likhe The Kante Naseeb Be Mere,..
Is Liye Bahaar Aane Se Pehle Hi Gulistaan Jal Gaya,..

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #25 on: August 30, 2006, 06:12:28 AM »

Really Very nice Azeem and all....
=D> =D> =D> =D> =D>
[/b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: August 30, 2006, 06:33:36 AM »
Shukriya Shikha Sis,..
App Bhi Kuch Likhte To seekhna hai Accha Maukha Naseeb Hota,,
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #27 on: August 30, 2006, 07:44:26 AM »
IshQ mein fakeer ho gaya
tanha rehna hi taQdeer ho gaya
chaha bhut tujhe pagal kardu,par
pathar dil par ek aor lakeer ho gaya...!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: August 30, 2006, 08:11:35 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
IshQ mein fakeer ho gaya
tanha rehna hi taQdeer ho gaya
chaha bhut tujhe pagal kardu,par
pathar dil par ek aor lakeer ho gaya...!!!


bahut khoob jeet ........

ishq mein hame bhi unse yahi gilla raha
woh hamse mil ke bhi kyu juda sa raha
kam thaa mere pyaar ka pagalpan
ya usko pyaar per bharosa na raha
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #29 on: August 31, 2006, 03:25:20 AM »
bahut khoob jeet,janasheen aur ranju.................

kagaz

zindagi ke shahar me kagazon ka dher hai
dil ke maaron ka basar kagazon se hi to hai
likh saken in par hi ham padh sake inko hi ham
chahaton ko likh diya aansuon ko likh diya
phool shabnam mahtaab sab ko hamne likh diya
silsila jaari hai aaj ek bas kagaz ke saath
zinda koi bhi bashar saath ab mere nahi
chahaten aur furqaten sab hi is pe bah chukin
dil ka aaina sa hai koi sirf kaagaz nahi
aur ab main kya kahun ye mujhe pyare bahut
saare sapne in pe maine apne phailae bahut
in ko koi phadna na inko koi phenkna
sab jagah se tang hokaar aae ye kagaz pe hain
rang inme dekh kar bas khil si jaatin hun kabhi
aur kabhi mere ye kagaz aansuon se bheegate
saara kuchh apna hai in pe ye faqat bas main hi hun
aaj koi zinda bashar na main bhi bas kagaz hi hun
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:58:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer