One Of My Best Shayari,. I Hope All The Friends Will Read It

by Jaanasheen on August 28, 2006, 02:07:11 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Author  (Read 9068 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #60 on: September 05, 2006, 04:49:05 PM »
Bahut khoob Jaann bhai and Vikram bhai

Likh rahe ho kya Lafz....
Jo ab Dil ko choone lage hai......

Kya hai Dawa aur kya Marz.....
JO ab Pathar bhi pighalne lage hai.....

Gumnuma Roshni se dekho hume......
Hum hai yahin aaj bhi tere Intezar me ro rahe hai.......

likh rahe ho kya Lafz.....
Jo ab Dil ko Choone lage hai.....!!!!!!!!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #61 on: September 05, 2006, 04:58:24 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Bahut khoob Jaann bhai and Vikram bhai

Likh rahe ho kya Lafz....
Jo ab Dil ko choone lage hai......

Kya hai Dawa aur kya Marz.....
JO ab Pathar bhi pighalne lage hai.....

Gumnuma Roshni se dekho hume......
Hum hai yahin aaj bhi tere Intezar me ro rahe hai.......

likh rahe ho kya Lafz.....
Jo ab Dil ko Choone lage hai.....!!!!!!!!!!!


sukriya gaurav ji....aapne bhi aacha likha hai.

chahte hai her lafz unke dil ko chu jaaye.
ro pade aankhe bhi unki meri yaad to unko bhi ho
lafz hi banker nastar unke seene mein utar jaaye.
main dard saha itna kuch dard ka ehsaash unko bhi ho.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #62 on: September 05, 2006, 05:07:46 PM »
Waah...

Dillagi na kar Husn se.....
Yeh tujhe Raakh bana jayegi.....

Kar na sakegi kabhi Wafa tujhse.....
Aur tujhe Dunia me Badnaam kar jayegi......

Gumjayega tera Nishaan kahin Veeran raston me.....
Aankhein nahi par meri tarah teri bhi Kalam ro jayegi.....!!!!!!!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #63 on: September 06, 2006, 08:24:46 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Waah...

Dillagi na kar Husn se.....
Yeh tujhe Raakh bana jayegi.....

Kar na sakegi kabhi Wafa tujhse.....
Aur tujhe Dunia me Badnaam kar jayegi......

Gum jayega tera Nishaan kahin Veeran raston me.....
Aankhein nahi par meri tarah teri bhi Kalam ro jayegi.....!!!!!!!!!!


sukriya & bahut khoob gaurav ji...

dil lagaya tha to dil jala diya.
pehle paas bulaya aur phir dil se nikal diya.
kuch wo tadpaker gayi kuch unki yaadein tadpa rhai hai.
unhone dil jalaya tha ye mujhe jala rahi hai.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #64 on: September 06, 2006, 08:40:18 AM »
Waah Kamaal Ka Likha Haiu Bhondu Bhai And Gaurav Bhai,...
Nice One,..


Muskuraakar Hume Wo Zakham Dete Gaye,..
Hum Bhi Wo Zakham Apne Dil Par Lete Gaye,..
Ye Adaa Bhi Meri Unhe Raas Na Aayi "Jaanasheen',..
Dhaate Gaye Wo Sitam Par Sitam Mujhpar,..
Aur Hum Unke Har Sitam Sehte Gaye,..

__________________________-Jaanasheen-
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #65 on: September 08, 2006, 07:33:13 AM »
Quote from: "Jaanasheen"
Waah Kamaal Ka Likha Haiu Bhondu Bhai And Gaurav Bhai,...
Nice One,..


Muskuraakar Hume Wo Zakham Dete Gaye,..
Hum Bhi Wo Zakham Apne Dil Par Lete Gaye,..
Ye Adaa Bhi Meri Unhe Raas Na Aayi "Jaanasheen',..
Dhaate Gaye Wo Sitam Par Sitam Mujhpar,..
Aur Hum Unke Har Sitam Sehte Gaye,..

__________________________-Jaanasheen-



zindgi aapni dekh li ab maut dekhna hai.
denge kitna dard wo humein ye dekhna hai.
Logged
deepak_dux
Guest
«Reply #66 on: September 10, 2006, 07:07:36 AM »
really a fantastic one of your janasheen

" Mere haal-e-dil ke dard ko kisne dekha hai
  Jisna dekha haisirf mujhko hi dekha hai
  Aksar main bhi ro leta hoon tanhaiyon me
  Mehfil me to sabne mijhe sirf haste dekha hai"
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #67 on: September 10, 2006, 07:44:11 AM »
Quote from: "deepak_dux"
really a fantastic one of your janasheen

" Mere haal-e-dil ke dard ko kisne dekha hai
  Jisna dekha haisirf mujhko hi dekha hai
  Aksar main bhi ro leta hoon tanhaiyon me
  Mehfil me to sabne mijhe sirf haste dekha hai"


bahut aache deepak ji....

wo mujhse nhi mere jism se pyaar kertein hai.
aur.. hum soochte rahe ki wo humper martein hai.
jinkey liye humnein aapni zindgi aansoon se bhari.
aaj loot ker mera sukh chain wo aaram se hastein hai.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
t
«Reply #68 on: September 10, 2006, 03:23:23 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Quote from: "Just_Hate_Love"
Ho chuke badnaam hum teri mohabbat mein,
Dard to waise hi dhool gaye the teri muskurahat mein ...


Bahoot Khoob Bhai,..

Mohabbat Humne Maana Zindagi Barbaad Karti hai,..
Ye Kya Kam Hai ke Marjaane Se Duniyaa Yaad Karti Hai,..

___________________________________-Shakeel Badayuni-


Mohabbat zindagi nahi dhadakte dil barbaad karti hai,
Aur is khel mein dil toot jaaye to khud mohabbat hi fariyaad karti hai ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
t
«Reply #69 on: September 10, 2006, 03:24:19 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Quote from: "Just_Hate_Love"
Ho chuke badnaam hum teri mohabbat mein,
Dard to waise hi dhool gaye the teri muskurahat mein ...


Bahoot Khoob Bhai,..

Mohabbat Humne Maana Zindagi Barbaad Karti hai,..
Ye Kya Kam Hai ke Marjaane Se Duniyaa Yaad Karti Hai,..

___________________________________-Shakeel Badayuni-


Mohabbat zindagi nahi dhadakte dil barbaad karti hai,
Aur is khel mein dil toot jaaye to khud mohabbat hi fariyaad karti hai ...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #70 on: September 11, 2006, 03:03:40 AM »
good 1 jhl ji
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #71 on: September 18, 2006, 05:18:11 PM »
Thanks a lot Bhondu ...
But may i know why dint you wrote anything here Huh?

Saath nahi chhoda karte aise jism ko thirakne de hawa ke saath,
Chalne de shayari ka silsila khuda ki dua ke saath ...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #72 on: September 25, 2006, 04:26:49 AM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Thanks a lot Bhondu ...
But may i know why dint you wrote anything here Huh?

Saath nahi chhoda karte aise jism ko thirakne de hawa ke saath,
Chalne de shayari ka silsila khuda ki dua ke saath ...


khuda ki dua ke saath likhte hai sher,
maaf kerna agar likhne mein ho jaaye thodi deer.
aapki dosti ki judai na lenge.
asha rakhna aap hum jawab zarur denge.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #73 on: October 03, 2006, 06:38:07 AM »
Hame tumpe itna to aitbaar karte hai,
Par khuda ke banaye usoolo se darte hai,
Hota hai hame bhi tere dard ka ehsaas,
Jab bhi hum tere shair ke sheher se guzarte hai ...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #74 on: October 03, 2006, 05:12:41 PM »
Tere gale me jo baahon ko daal rakhte hai,
tujhe manane ka kaisa kamaal rakhte hai,

tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum,
bahut se kaam muqaddar pe taal rakhte hai,

Kio bhi faisla hum soch kar nahi karte,
Tumhare naam ka sikka uchhal rakthe hai,

Tumhare baad yeh aadat si ho gayi apni,
bikharte sookhte patte sambhal rakhte hai,

Khushi si milti hai khudko aziyatein de kar,
so jaan bujh ke dilko nidhaal rakhte hai,

Kabhi kabhi wo mujhe has ke dekh lete hai,
kabhi kabhi mera behad khayal rakhte hai,

tumhare hijar me ye haal hogaya apna,
kisika khat ho usse bhi sambhal rakhte hai,

khushi mile to tere baad khush nahi hote,
hum apni aankh me har dal malaal rakhte hia,

Zamane bhar se bacha kar wo apni panaah mein,
mere wajood ke tukde sambhal rakhte hai,

kuch is liye bhi to behaal ho gaye hum log,
tumhari yaad ka behad khayal rakhte hia...
* * * * *
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:34:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer