palat kar tune bhi aansu bahaaya tha... Intezar !

by Intezar on December 14, 2010, 07:08:54 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1880 times)
Intezar
Guest

Tere us inkaar ne mujhe khud mein kaheen ek dard banaaya tha
Jaanta hu mere jaane ke baad palat kar tune bhi aansu bahaaya tha

us mod par aakar rishta tumse ab aur bhi bahut naazuk ho aaya tha
palke bheeg gayi thi jab tu bichhadne ke liye mujhse milne aaya tha

Mujhe ab khwaab dikha kar neend bhi meri chheen le gaye tum to
Khwaab mein tanhaa aakar tumne kaisa kaisa khwaab dikhaaya tha

Kuch door ka safar tha us roz jo tu mujh tak kheencha chala aaya tha
Kuch khala sa de gaya us roz jab raah badal kar tu ghar laut aaya tha

Teri aankhon me padhta raha main sab ehsaas jo mere liye qaid the
Main aur kareeb na aa jaaun sochkar tune palko ko tab jhukaaya tha

Tu simti thi meri baahon me ya dard meri aagosh me samaaya tha
Dheeme paanv chalkar jab us roz tu bhi mere bahut kareeb aaya tha

Mujhe chhupakar apne daaman me bheegne se jo tune bachaaya tha
Phir teri garm saanson ne mujhe us roz bahut kareeb se jalaaya tha

Bas kadam do kadam main tere dil ko rukh karta raha tha har roz
Phir sadiyon kaa safar tay karke main tere dil tak pahunch aaya tha

Ki ab faasla degaye tum bahut lambe ‘Intezar’ ka mujhe tanha kar ke
phir usi dard me chhod gaye tum jis dard se mai kabhi nikal aaya tha...!


Shukriya
Intezar !

Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 15, 2010, 04:05:54 AM »
bahut Khoob Intezaar ji..
ehsaaso se paripurn peshkash
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 15, 2010, 04:26:00 AM »
Nice work Intezar
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #3 on: December 15, 2010, 06:13:39 AM »
kuchh bahut purana yad aa gaya...bahut khoob..

dher saari daad~


wo subah jo teri mujh sang shuru hua karti thi
wo raate bhi ab kaha rahi jo sath dhala karti thi~

wo tere izhaar par mera athkheli me mukarna kya hua
bikhar gayi jo saanse tujh sang chalne ko bhara kartin thi~

aaj bade din bad roya hun teri yad me fir se
bhool gaya tha ki dhadkan bas tere liye hi chala karthi thi~
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: December 15, 2010, 06:15:32 AM »
Bahut umda Abhi Ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: December 15, 2010, 11:06:13 AM »
bahut bahut shukriya... KillBill ji... aapka saath hai hamaare bahut bahut shukriya...

Intezar !

bahut Khoob Intezaar ji..
ehsaaso se paripurn peshkash
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: December 15, 2010, 11:08:16 AM »
Thankyou pooja ji... bahut bahut shukriya aapka...

Intezar !

Nice work Intezar
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: December 15, 2010, 11:12:38 AM »
kya baat hai abhi ji sabse pehle shukriya aapka...
aur aapne bahut hi badhiya jawaab likha hai bahut khoob... yun hi likhte rehiye saath rehiye... shukriya aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !
kuchh bahut purana yad aa gaya...bahut khoob..

dher saari daad~


wo subah jo teri mujh sang shuru hua karti thi
wo raate bhi ab kaha rahi jo sath dhala karti thi~

wo tere izhaar par mera athkheli me mukarna kya hua
bikhar gayi jo saanse tujh sang chalne ko bhara kartin thi~

aaj bade din bad roya hun teri yad me fir se
bhool gaya tha ki dhadkan bas tere liye hi chala karthi thi~
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: December 15, 2010, 01:51:00 PM »
Bahut Khub intezar Bhai Bahut Sunder Likha hai Aapne
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: December 15, 2010, 02:10:42 PM »
Shukriya... Rishi ji... aapka bahut bahut shukriya... ummeed hai aapka saath humesha rahega... shukriya ji shukriya... !

Intezar !

Bahut Khub intezar Bhai Bahut Sunder Likha hai Aapne
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: December 15, 2010, 03:08:01 PM »
behad dilkash kalaam intezar ji....aapke likhe me itna dard nazar aata hai k padhte padhte aansu apne aap chhalak jate hain..kuch aisa hi iss nazm k sath bhi hua...laakh chah k aankhein num na hon par jitni bar padhi palkein bheeg gai......

behad khubsurat peshkash..yunhi likhte rahiye khush rahiye....khuda aapko hamesha salamat rakhe ..tandurust rakhe...

koshish karungi iska reply shayri me dene ak par abhi waqt ki kami k karan ye mumkin nahin...
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: December 15, 2010, 08:29:10 PM »
ji kasak ji Intezar rahega aapke jawaab ka... 

Intezar !

behad dilkash kalaam intezar ji....aapke likhe me itna dard nazar aata hai k padhte padhte aansu apne aap chhalak jate hain..kuch aisa hi iss nazm k sath bhi hua...laakh chah k aankhein num na hon par jitni bar padhi palkein bheeg gai......

behad khubsurat peshkash..yunhi likhte rahiye khush rahiye....khuda aapko hamesha salamat rakhe ..tandurust rakhe...

koshish karungi iska reply shayri me dene ak par abhi waqt ki kami k karan ye mumkin nahin...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #12 on: December 16, 2010, 05:32:02 AM »
kya baat hai abhi ji sabse pehle shukriya aapka...
aur aapne bahut hi badhiya jawaab likha hai bahut khoob... yun hi likhte rehiye saath rehiye... shukriya aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !
shukriya intezar ji~
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:47:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.171 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer